You are on page 1of 1

mamta kalia ke kahani sangreh prtidinka samajik sandharabh

Main amandeep kaur Punjabi university Patiala ke hindi vibhag mein m.phil ki shodh chhatra hoon mera vishya hai mamta kalia ke kahani sangreh prtidinka hai. mnushyon ka sanhthit smouh ya smudaye ek hi udeshye ko leker kisi nishchit disha me matlab hai ki smaaj samajik sandharabh . smaj ka shabdik arth veyktion ka smouh matar nhi hai unke ansar smaj smajik smbndhon ki jtil vyavstha hai . sndhrbh ka arth hai bare me . is prkar smajik sndhrbh ka arth hua smaaj ke bare mein ki gyi baat . smajik sandharbh mein smaj ke sbhi kshetar aate hain jaise smajik aarthik , raajnetik dharmik , Sanskrit ityadi,sahitye or smaaj ka atoot smbhndh hai sahityekar smaaj mein rehte huye is se prbhavit hota hai . gulabrai ke anusaar smaaj kavi or lekhak or kavi smaaj ko bnate hain mamta kalia ka janam 2 november1940 ko Mathura, vrindavan mein hua. 1963 mein delhi vishavvidhyalye se inhone angreji sahitya mein M.A krke vahin pradhyapan shuru kiya . mamta ji 1960 se lgataar lekhan karye mein skriye hain . mamta kalia ne upnyaas beghas narak dar narak , prem kahani, ladkian. Ek patni ke nots, andhere ka taala ityaadi , ekanki sngreh, yahaan aana manna hai, app na bdlenge aadi . karye sngreh kitne prashan krun , kahini sngreh- chhutkaran, seat number6 . ek adad aurat , prtidin, uska yovan , nirmohi , aadi, angreji kavye sngreh- tribute to papa and other poems , porms 78. Mamta kalia ko apne lekhan ke liye uttar pardesh hindi snsthan ka mahadevi purskaar or yashpal smriti smaan, abhinar bharti Kolkata ka rachna amaan savitri bai phoole smmaan . hindi sahitye prishd smaan , hindi sahitye smelan ka amrit smaan milte hain . mamta kalia ne apne kahania sngreh prtidin mein smaaj ke vivid ayamon ko sukshm smvednaon ke maadhyam se prakat kiya hai . inhone apne smya or smaaj ko pribhashit karne ka serjnatmak jokhim bhrpoor kadam uthaya hai . yeh unki prtaik kahani se prilakshit hota hai . mamta is privesh mein nye sndharabh dhundti hai or naari ashmita or sangharsh ka abhivyakit deti hai . kaali saadi kahani mein aarthik abhavon mein jivan yapan krte huye mandvargiye maansikta ka chitran hai. Ek jinias ki prem katha mein prem ke vikrat roop ko or laila majnu mein prem ke aadarsh roop ka chitran hai. Maa kahani mein mamta or matartav ka bhav dikhaya gya hai. Aapki chotti ladki kahani mein baal manovigyan hai. Basant ek taarikh mein lekhak ka aadarshvadi antardvand dikhayi deta hai. Tohmat mein smaaj ka nari ke prati dristikar or ladke kahani mein dharmik aadambar or bhruht raajniti ka chitran hua hai. Is parkaar is sampuran kahani sangreh mein smaaj ke sabhi pehluon ko jaise naari ki stithi , aarthik kathnayon aadarshvadi prem , baal manovigyan , raajniti , dharmik aadamber , matrtav bhaav ka sukshm or manoram chitran ke saath parstut kiya gya hai. In sabhi kahanion ke doara lekhika ne smaaj ka asli roop hmare samkash rakha hai or apni parbudh mansikta ke doara smaaj mein privartan lane ka prayas kiya hai.

You might also like