You are on page 1of 10

MOHAMMED NASEER SIRCILLA

Kya aap jaan te hai?


Sub se pahle quran majeed kab najil huva? 610 me ramzan ke lailatul qadar ke din nazil huvi. Quran majeed me sub se pahle ayat kaunse nazil huvi?95 sura al alaq me pahli 5 ayat bismi rabbikal lazi khalak. Quran majeed kitne din me najil huvi?22 saal 5 mahine 14 din. Quran majeed me sub se bada sura kaunsahain?sura al baqara is mein 286 ayat 40 ruku hain. Quran majeed me sub se chota sura kaunsa hain?sura al kausar is mein 3 ayat 1 ruku hain. Quran majeed me sub se badi ayat kaunsi hai?sura al baqara 282 ayat . Quran majeed me bismilla ke bagair kaun sa sura pada jayega? 9 wa sura touba. Quran majeed me bismilla 2 baar kaun se sura me aye hain? 27 wa sura al naml. Quran majeed me pure kitne sure hain?114. Quran majeed me kitne pare hain?30. Quran majeed me kitne manzil hain? 7.

Quran majeed me 30 wa paara ka naam kya hain? paara amma. Paara amma me kitne sure hain?36 hain.78 wa sura an naba se 114 wa sura an naas tak. Quran majeed ne sub se akhri nazil kaun si ayat huvi? sura al baqara 281 ayat. Sub se zyada Hadees kin se Ham Tak Pahunchi Hain? Hazrat Syedna Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Ke Zarye 5374 Hadees Ham Tak Phahunchi Hain. Quran Majeed Me Kitni Suratain Ambiya -ekaraam Ka Name Sa Hai 1- Surah--Yunus. 2- Surah--Hood. 3- Surah--Yusuf. 4 - Surah--Ibraheem . 5- Surah--Nuh. 6- Surah-Muhammed Quran majeed me 4 masajid k naam hain wo kaunsi hain?1) Masjid-ul-Haram2) Masjid-ulZiraar 3) Masjid-ul-Nabawi 4) Masjid-ul-Aqsa Quran majeed ko urdu me mutarjim ( translate ) karne wale pahle shakhs ka naam kya hai Sab say pehlay Quran e Majeed Furqan e Hameed ka Urdu Tarjuma Hazrat Shah Waliullah Muhaddis Dehelvi Alaih Rehma k do Sahabzadon Hazrat Shah RafiUddin and Hazrat Shah Abdul Qadir nay kiya . Insha Allah kahne ka tajkira Quran majeed ke koun de surah me hai ? Para-26,Surah -Kahaf , Ayat no. 23.

Kaun sey Ambiya Kahan Dafan hain.


Hazrat Adam (Alaihis Salaam) Sri Lanka Hazrat Nuh (Alaihis Salaam) Jordan Hazrat Hud (Alaihis Salaam) Yemen Hazrat Saleh (Alaihis Salaam) Lebanon Hazrat Lut (Alaihis Salaam) Iraq Hazrat Ibraheem (Alaihis Salaam) Israel Hazrat Ishaq (Alaihis Salaam) Palestin Hazrat Yaqub (Alaihis Salaam) Palestin Hazrat Yosuf (Alaihis Salaam) Palestin Hazrat Ayuob (Alaihis Salaam) Amman Hazrat Shoaib (Alaihis Salaam) Jordan Hazrat Musa (Alaihis Salaam) Israel Hazrat Harun (Alaihis Salaam) Jordan Hazrat Dawood (Alaihis Salaam) Israel Hazrat Sulman (Alaihis Salaam) Israel Hazrat Youns (Alaihis Salaam) Lebanon Hazrat Zakriya (Alaihis Salaam) Syria HazratYahya (Alaihis Salaam) Syria Hazrat Ismaeel (Alaihis Salaam) Or Hazrat Nabi-e-Pak ( sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Saudia Arabia.

ALLAH Nai 9chezon Mai Shifa Rakhi Hai 1 Quran 2 Sadqa 3 Sila Rehmi May 4 Surah Fateha May 5 Safar 6 Shehad(Honey) 7 Kalonji 8 Zumzum May 9 Zetoun May

Nabiyo ki umar
1.Hazrat Idrees Alaihis Salaam . 356 years. 2.Hazrat Nooh Alaihis Salaam . 950 years. 3.Hazrat HUD Alaihis Salaam . 265 years. 4.Hazrat Saaleh Alaihis Salaam . 586 years. 5.Hazrat Ayyoob Alaihis Salaam . 146 years. 6.Hazrat Shoayb Alaihis Salaam . 882 years. 7.Hazrat Ibraaheem Alaihis Salaam . 195 years. 8.Hazrat Sulaimaan Alaihis Salaam . 150 years. 9.Hazrat Zakariyya Alaihis Salaam . 207 years. 10.Hazrat Ya'qoob Alaihis Salaam . 139 years. 11.Hazrat Moosa Alaihis Salaam . 125 years. 12.Hazrat Ishaaq Alaihis Salaam . 120 years. 13.Hazrat Haaroon Alaihis Salaam . 119 years. 14.Hazrat Ismaael Alaihis Salaam . 137 years. 15.Hazrat Yuusuf Alaihis Salaam . 110 years. 16.Hazrat Yahya Alaihis Salaam . 95 years. 17.Hazrat Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Sixty-three (63) years.

7 Asmaano k naam aur rang (colours) 1.Rafi(pani jaisa) 2.Qaydoom(tanbay-jesa) 3.Madoon(peetal-jesa) 4.Arfloon(chandi-jesa) 5.Hayoon(sonay-jesa) 6.Aroos(yaqoot-jesa) 7.Aima(safiaf-jesa) 3 logo ka ahtram karo: Ustad, Waldain, Buzurg. 3 Chezon ko yad rakho: Ahsan, Nasehat, Mout. 3 Chezo k lie laro: Watan, izzat, haq. 3 chezo pe qabu rakho: zuban, ghussa, nafs. 3 chezo se bacho:Burai, chughli, Hasad.

Jahannum ke naam Jahannum, Ladhaa, al-Hutamah, as-Sa'eer, Saqar, al-Jaheem, aur al-Hawiyah. Jannat k 8 darwazo ka naam 1.Jannatul mava2.Darul maqam3.Darul salam 4.Darul huld5.Jannatul adan6.Jannatul naim 7.Jannatul Kashif8.Jannatul firdos. shaitan ke naam 1- Pehle Asmaan Par ABID, 2-Dosre Par ZAHID, 3-Teesry Par ARIF, 4-Chauthy Par WALI, 5-Panchwy Par TAQI, 6-Chhaty Par AZAZEEL, 7-Saatwy Par'IBLEES' Wo Kaunse 5 Jandar Hai Jo Bagair Maa Ke Paida huvi? 1) Hazrat Adam Aleh Salam 2) Hazrat Bibi Hawwa Aleh Salam 3) Hazrat Saleh Aleh Salam Ki Ountni 4) Hazrat Moosa Aleh Salam Ke Asa Mubarak Se Banne Wala Azdaha. 5) Hazrat Ismail Aleh Salam Ki Qurbani Ke Waqt Jannat Se Aanay Wala Dumba. Un 2 jandaron k nam bataen jinhen baghair halal kiye khaya ja skta hai? Machki and tidda

3 Chizen Insan Ko Allah Se Door Karti Hen 1> Apne Aamal Ko Ziyada Samjna 2> Apne Gunahon Ko Bhool Jana 3> Apne Apko Sab Se Behtar Samjna (Hazrat Ali)

3 Kaam Kisi K Dil Main Ap Ki Izat Barhatay Han.. 1- Salam Karna, 2- Kisi Ko Jagah Dena, 3-Asal Nam Se Pukarna (Hazrat Ali (R.A)...

Azab-e-Qabar se bachne wali 7 cheezain: 1) Namaz ki Pabandi 2) Sadqe Ki Kasrat 3) Tilawat-e-Quran 4) Tasbihat Ki Kasrat 5) Jhoot Say Bachna 6) Khayanat Say Bachna 7) Chugli Say Bachna Duao Ka Taalib Insaan Ki Tabaahii 3 Baton May Hai 1) Tauba ki umeed par gunah karna . 2) Zindagi ki umeed per tauba na karna 3) Tauba kiye baghair rehmat ki umeed rakhna.

Huzur (SAW) K Irshaadat Ki Roshni Main JHOOT Ki 6 Iqsaam. 1. Hansane K Liye Jhoot. 2. Namood-O-Numaish 3. Bat Brha Charha K Byan Krna 4. Beghair Tahqeeq K Bat Ko Byan Krna. 5. Ilzaam 6. Jhooti Gwahi.

3 Cheezen IBN-E-ADAM ka Sarmaya hain, 1 Woh Apni Mushkil ki Shikayat na kare 2Apni Takleef kisi ko Bayan na kare 3Apni Zuban se Apne Aap ko Acha na Kahe...

JANNAT ME PAACH NAHRE HAI JINKE NAAM HAI


1.KAAFUR ,2.KAUSAR ,3.TASMEEN ,4.SALSBEEL ,5.RAHEEQ

Abu Jahel Ka Sir Kat Ker Kis Sahabi ne Huzoor (Salallaho Alehi Wassalam) K samne Peesh Kia Tha ? Hazrat Abdullah ibn Masud Radi Allahu anhu Bani Israil K Sab Say Awwal (First) Aur Aakhri Nabiyo K naam kya hain ? Hazrat Yousuf ALEHISSALAM Hazrat Esa ALEHISSALAM ALLAH Nai 9chezon Mai Shifa Rakhi Hai 1 Quran 2 Sadqa 3 Sila Rehmi May 4 Surah Fateha May 5 Safar 6 Shehad(Honey) 7 Kalonji 8 Zumzum May 9 Zetoun May Firaun (Pharoh) ka asal naam kya hain? Firaun Ka Naam WALID BIN MUS'AB THA

Kya aap ye jaan te hain


Sabun (Soap) Hazrat Saleh Alaih Salaam ki ijaad hay Pull (Bridge) Hazrat Yousuf Alaih Salaam ki ijaad hay Kashti (Boat) Hazrat Nooh Alaih Salaam ki ijaad hay Sheesha (Mirror) Hazrat Yousuf Alaih Salaam ki ijaad hay Sui (Needle) Hazrat Idrees Alaih Salaam ki ijaad hay Kanghi (Comb) Hazrat Ibrahim Alaih Salaam ki ijaad hay

HUZOOR PAK ( sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Ki Kuch Pyari Cheezon K Naam


AAP ( sal-lal-lahu QAB'Tha AAP ( sal-lal-lahu 'AYAAN'Tha AAP ( sal-lal-lahu AAP ( sal-lal-lahu alai hi wa sallam) K"JHANDEY"(Flag) Ka Naam'Ualai hi wa sallam) K"PIYALEY"(Bowl) Ka Naam alai hi wa sallam) K"KHACHAR"Ka Naam'DULDUL'Tha alai hi wa sallam) Ki"TALWAR"Ka Naam'ZULFIQAR'Tha

Jab Qibla Badalney Ka khukam Aya Tu AAP (Salallaho Alehi Wassalam) kia ker Rahey thay ?? Hazrat Muhammad (Salallaho Alehi Wassalam) Asar ki Namaz Parh Rahey, 2 Rakat Parh Li Tu QIBLA Badalney ki WAHI Nazil Huvi. Aap (Salallaho Alehi Wassalam) Ney Foran Apna Mooh Khana-kaba Ki Taraf Phair Dia.. Tu sath hi Sarey Sahaba Ikram Ney Bhi Apna Mooh Phair Lia khana-kaba Ki Taraf.. Is Tarah 2 Rakat Bait-ul-Muqadas ki Taraf Parhi Aur 2 Rakat Khana-kaba Ki Taraf. Quran majeed mein pahli sajda ayat kaun se sure me hain? 7 wi surah al araf 206 wi ayat. Quram majeed mein kitne sajda ayat hain?14 Madina munawwara ka purana naam kya hain?yasrib. Makkah mukarrama ka dusra naam kya hain?ummul qura Ayatul kursi kaunse paara me hain?3 wa paara surah al baqra ki 255 wi ayat. Quran shareef me pure kitne ayat hain? 6666 ya 6236 Quran majeed allah ka naam kitne baar aya hain?2697 Quran majeed aap sallallahu alai sallam ka naam kitne baar aya hain?5 baar aya hain.mohammed ka naam se 4 baar ahmed ka naam se 1 baar aya hain. Quran majeed me sub se zyada kaunse nabi ka naam aya hain?musa alaissalam 136 baar Quraan majeed mein kaunsi qatoon ka naam aya hain? Hajrat mariyam Quraan majeed mein kaunsa sahabi ka naam aya hain? Hajrat jaid bin harees

Kya Aap jaan the hain


Duniya me pahla nabi kaun hain?adam alaisalam Duniya me pahla rasool kaun hain?nuh alaisalam Nabi aur rasool me farq hain, har nabi rasool nahi ho sakta,lekin har rasool nabi ho sakta . Adam alaisalm aur hawwa alaisalam ke aulad kitne the ? 40 isi mein 20 ladke aur 20 ladkiya. Hawwa alaisalam ko har viladat mein judwa hote ek ladka ek ladki. Adam alaisalm aur hawwa alaisalam ke pahli aulad kaun hain? Qabil us ki bahen aur habil us ki bahen. Adam alaisalm aur hawwa alaisalam ke aulad me nabi kaun hain?shit alaisalam. Adam alaisalm pahli baar duniya me kaha utare gaye? hind (india) Hawwa alaisalam pahli baar duniya me kaha utare gaye?jeddah(saudi Arabia) Adam alaisalam ki unchain kitni thi?60 haat Adam alaisalam hind se paidal 40 baar hajj kiye. Duniya aur asmaan mein pahla gunah hasad hain,asmaan mein iblis ne adam se kiya,duniya mein qabil ne habil se kiya. Duniya mein pahla jurm kaunsa hain?qatal hain .qabil ne apna bhai habil ka qatal kia..

You might also like