You are on page 1of 1

BHEEGI YAADEIN

Ek khwaab sanjoya dil ne bhi, Kuch baat kah gaye aansu bhi, Jo shaam ki aahat aane par, Hain yaad aa jate kabhi-kabhi. Bhule baithe the jinko hum, Saari khushiyan aur saare ghum, Na jaane wo aate-jaate, Kar dete kyun lamhein kuch kam. Kahin-kahin kuch hansi suni, Kuch rone ki aahat bhi thi, Kahin kabhi kuch khel atakahe, Kabhi kahin rangraliyan thi. Jaane kyun lagta hai aisa, Ab jeevan hai tanha bisra, Thode thode jazbaaton ka, Ye pyar ka lamha hai kaisa. Jo jaane ko hi aate hain, Na jaane kyun aa jate hain, Iss paakhandi duniya mein, Sachche sapne de jaate hain. Par jaane ko hi aate hain, Toh sapne kyun dikhlate hain, Jeevan bhar ko in aankhon mein, Aansu hi bas de jaate hain.

You might also like