You are on page 1of 2

Aao k koi Khwaab buneiN Aao k koi Khwaab buneiN, kal ke vaaste

varnaa ye raat, aaj ke sangeen daur ki


Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaano-dil
taa-umr phir na koi haseeN Khwaab bun
sakeiN
go hamse bhaagti rahii ye tez-gaam umr
KhwaaboN ke aasre pe kaTii hai tamaam
umr
zulfoN ke Khwaab, hoNToN ke Khwaab,
aur badan ke Khwaab
mairaaj-e-fan ke Khwaab, kamaal-esuKhan ke Khwaab
tahzeeb-e-zindagii ke, faroGh-e-watan ke
Khwaab
zindaa ke Khwaab, koocha-e-daar-orasan ke Khwaab

ye Khwaab hii to apni jawaanii ke paas


the
ye Khwaab hii to apne amal ki asaas the
ye Khwaab mar gaye haiN to berang hai
hayaat
yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai
hayaat
aao k koi Khwaab buneiN kal ke vaaste
varnaa ye raat aaj ke sangeen daur kii
Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaano-dil
taa-umr phir na koii haseeN Khwaab bun
sakeiN
Sahir Ludhianvi

You might also like