You are on page 1of 3

Bachchon tum taqdeer ho kal ke

hindustaan ki -

BachchoN tum taqdeer ho, kal ke


hindustaan ki
baapu ke vardaan ki, Nehru ke armaan ki
bachchoN tum taqdeer ho
Aaj ke TooTe khaNDaroN par tum kal ka
desh basaaoge
jo ham logoN se na huaa, vo tum kar ke
dikhlaaoge
tum nanhii buniyaadeN ho duniyaa ke
naye vidhaan ki
bachchoN tum taqdeer ho.
Deen-dharam ke naam pe koii beej
phoOT kaa boye na
jo sadiyoN ke baad milii hai vo aazaadii
khoye na
har mazhab se ooNchii hai, qeemat
insaanii jaan ki

bachchoN tum taqdeer ho


Phir koii Jaichand na ubhare, phir koii
jaafar na uThe
GhairoN ka dil Khush karne ko apnoN
par Khanzar na uThe
dhan-daulat ke laalach meiN, tauheen na
ho eemaan kii
bachchoN tum taqdeer ho
Naari ko is desh ne devi kah kar daasii
jaanaa hai
jisko kuchh adhikaar na ho vo ghar kii
raanii maanaa hai
tum aisaa aadar mat lenaa, aaR ho jo
apmaan ki
bachchoN tum taqdeer ho
Rah na sake ab is duniyaa meiN yug
sarmaayaadaari kaa
tumko jhaNDaa lahraanaa hai, mehnat ki

sardaari kaa
tum chaaho to badal ke rakh do qismat
har insaan ki
bachchoN tum taqdeer ho

Sahir Ludhianvi

You might also like