You are on page 1of 3

Bhool sakta hai bhalaa kaun ye

pyaari aaNkheiN -

Bhool saktaa hai bhalaa kaun ye


pyaarii aaNkheiN
raNg meiN Doobi huii neeNd se
bhaarii aaNkheiN
bhool saktaa hai bhalaa kaun
meri har sos ne har soch ne
chaahaa hai tumheIN
jab se dekhaa hai tumheiN tab se
saraahaa hai tumheIN
bas gayii haiN mirii aaNkhoN
meiN tumhaarii aaNkheiN
raNg meiN Doobii huii, neeNd se
bhaari aaNkheiN
bhool saktaa hai bhalaa kaun
tum jo nazaroN ko uThaao to

sitaare jhuk jaayeiN


tum jo palkoN ko jhukaao to
zamaane ruk jaayeiN
kyuN na ban jaayeiN in aaNkhoN
kii pujaarii aaNkheiN
raNg meiN Doobii huii, neeNd se
bhaari aaNkheiN
bhool saktaa hai bhala kaun
jaagati raatoN ko sapnoN ka
Khazaanaa mil jaaye
tum jo mil jaao to jeene ka
bahaanaa mil jaaye
apnii qismat pe kare naaz hamaarii
aaNkheiN
bhool saktaa hai bhalaa kaun ye
pyaarii aaNkheiN
raNg meiN Doobii hui neeNd se
bhaarii aaNkheiN

bhool saktaa hai bhalaa

Sahir Ludhianvi

You might also like