You are on page 1of 14

Sangeet sandhya Anchoring

Hi,
Ganesh vandana se start kerte hai jisme aap teen betiya ya bahuo se dance kerva sakte hai.
1. Anchor=Aaee sangeet ki ye raat
laai sapno ki baarath
sajaniya hai saajan ke saath
rahe sada haatho main aise haath
aai sangeet ki ye raat
Aaiye swagath kerte hai hamaare nanhe kalakaroo se
Jo school main kerte hai intejaar ki kub bajegi chuti ki belll
taaliya bajaker swagat kijiye kyunki aapke saamne leker aaye hai ye
All is well.
Ab yahaa aap bachoo ka 3 4 gaano ka remix dance dikha sakte hai.
2.
Khushiyo ki raat hogi ' jasna jara datt ke hoga
Meri bahan ki shaadi ,andaaz jara hatt ke hoga|
Phir hone wale dulhe se
AAiye aapko hum hamaari puri family se milate hai waise tho aap sabhi se mil chuke hai lekin
ek modern introduction tho bantha hai.
Yahaan per koi bhi dance ya remix add ker sakte hai.
3.
Tho introduction shuru kerte hai dulheji aapke dada sasur aur sasuji se
Maa papa hai ye mere
aur dada hai ye tere
sanghvi hai ye India ke....nahi nahi sanghvi hai ye mann ke
chahe kitni bhi taklif ho sharir main
per bhagvan se milne jaayenge tann ke
Iske baad aap jo dance aanee wala hai uske baare main keh sakte hai jaise
Ye betiya tho mahendi racha ke nakhre dikha ke
udd jaayegi phur se hame tadpa ke
Yahaan pe ladies ya ladkiyo ka dance kerva sakte hai

4.
Tho aaiye dulhe ji aapko ab aapke saas sasur se milate hai
Bhai ne apni jindagi ki shuruaath "S"se ki
S" se Suraj
S" se subah
S" se saaj
S" se sangeet
S" se swagat
S" se sukhi
Aur kismat ki baath dekhiye ki bhai ki " S" se yaani sushila [bhabi] se S se Sagai aur S se shaadi
ho gai. Phir kya tha ...
S" se saas
S" se sasur
S" se saala
S" se saali
S" se sasuraal
S" se sankat ho gaya yaar
S" se shaadi hui aur ghar S" se swarg ban gaya
Aur main S" se "swargwasi'.
Yahaan pe aap dostho ka dance kerva sakte hai ye kehker ki
DEKHIYE DOSTHO KA DHAMAAL
BAJAOOGE THALI THO DIKHEGA KAMAAL
5.
Ab miliye aapke kaka aur kaki sasur se
Subah dukaan jaana , shaam ko ghar aana|
Paisa kamana aur Khakra khana
Khakra khane main jinko aata hai aanand
jeevan main muskerate rahna jinko hai pasand
aise hai hamare Ramesh bhai jinko dekhker
Man main muskera rahi hai hamaari bhabi mand mand....
Yahaa bhi koi dance kerva sakte hai
6.
Ab aapko milate hai aapke chote kaka kaki sasur se

Bhai bhabi dono bahuth hee hai shoukin


Inko chahiye apni life namkin
Kuch kaaranvash aaj hai ye thode gumgeen
Nahi tho ker dete is mahfil ko aur bhi rangeen
Karj dosti ka ada keraga koun
Dosth na ho tho dosthi karega koun
E khuda in dostho ko salamath rakhna
Warna dostho ki shaadi main dance karega koun|
Ye kehker again ek dostho ka dance kerva sakte hai.
7.
Ab dijiye Sali ka introduction
Waise tho aapki bahuth saari saaliya hai lekin main tho ek hi hai, jise dekhker aap bahuth khush
ho rahe hai aur soch rahe hai ki saali tho aadhi gharwali hoti hai ,
lekin jayada khush math hoiye dulhejo kyuki hamari dulhan soch rahi hai
DEVAR THO AADHA WARR HOTHA HAI
Saaliji bahuth khush hoker naach rahi hai kyuki "DI" ke chale jaane se line ho jaayegi "Clear"
Aur chala jaayega "Fear
Kabja ho jaayega ab mera
Tere kamre pe tere kapdo pe
Raj karoogi pure ghar pe aur
Rok lag jaayegi hamaare jaghdo pe'
Ye bhi kah sakte hai
Sali is Beauty
Wife is Duty
Sali is Passion
Wife is Tension
Sali is cool
Wife is fool
Sali is Tuty fruity
Wife is Kismat futi
Sali is freshcake
Wife is Earth quake.
Is beech main ek aur dance kerva sakte hai.
8.

Ab saale ka parichay
Jaise ki aap sub jaante hai ki
Waise tho saari khudai ek taraf
aur joru ka bhai ek taraf
Cricket khelna mujhe hai pasand
per papa kehte hai ki PADH PADH PADH
T.V dekhna mujhe hai pasand
Per Mummy kahti hai ki CUT CUT CUT
Fighting kerna mughe hai pasand
Per didi kahthi hai aa mujse LAD LAD LAD
H ER EXAM KE BAAD ye khud kahtha ha
Exam abhi khatam nahi huee hai mere dosth
RE TEST abhi baaki hai
Phi ek Dance......
9.
Ab aap public se dulhe aur dulhan ka intro kerva sakte hai
Dulhan ko bachpan se cartoon dekhne ka bahuth shauk hai shayad isiliye inke mummy papa jab
ladka dekhne gaye tho khub jaanch parakhker chun ke pasand kiye jisse ab dulhan jindagi bhar
cartoon ko miss na ker sake..
Aur jab dulhe ke maa papa ne ladki chuni tho unhe yaad aaya ki hamare bete ko bachpan se
bhuth preth ke serial pasand aate hai tho ab aap hi sochiye unhone kya dekher ladki ko chuna....
Wasi hamare ghar ki beti hai NO .1
School main bhi jo lathi thi NO.1
Sundertha main bhi jo lagthi hai NO.1
Kaam kaaj aur sanskaar main bhi jo NO.1
Khushkismath hai aap jo aapko mili hai
Hamaare ghar ki beti NO.1
Yahaa ek aur dance dikha sakte hai..
10.
Emotional commentry on beti
Betiya sagai hone ke baad apne papa se puchthi hai -- papa kyu aapne apne beto ko apna naam
diya kyu apni beti ko kyu nahi.....

Bhai se puchthi hai-Bhai bachpan se hum saath main khele saath main padhe , saath main khaye piye , masthi,
dhamaal kiya phir kyu mujhe is ghar se durr bhej rahe ho
Maa se puchthi hai-Maa tune thoo mujhe janam diya , teri laadli hoo main maa , tere kaleje ka tukda hoo main maa
phir aap muje apne ghar se paraye ghar bhej rahi hai
Tub maa papa aur bhai kehte hai-Beti ye tum kaisi baath ker rahi ho , Bachpan se teri shaadi ke sapne sanjoye the Ab tho wo sapne
pure kerne ke din aaye hai , hame jeevan ka sabse bada daan kerna hai jo hai KANYADAAN .
Aur beta ye tho duniya ki reet hai ki beti ko apne ghar bhejna hee padtha hai beti tho parai
amanath hothi hai, Ek na ek din tho usee jaana hee padtha hai,
Aur tumhe tho ek nahi do do gharo ki maan maryada ko sambhalna hai
Ek nahoi do do maa papa ki Kul ki Ijjath ko bhadana hai
HUm bhi ro ro ker tumhe khush hoker aashirwaad ke saath vida kerna hai.............
Is tarah ye sangeet sandhya ke END kiya jaatha hai
Is emotional commentry ke baad mahoul relax kerne ke liye Ek game rakh dijiye
11.
Game-"Mr and Mrs Ilahabaad waale'" jub "Pratigya " ka "Pavitra Ristha" leker "Gulaal" chantthe hue
"Laaptaganj" pahunche tho unki "Bahanee" boli "Baba aiso var dhundo" ki "Tarak mehta bhi
apne chasma ulta kerke dekhe" "Tere liye" "Sathiya" yahaan "Main ghar ghar kheli" "Dance
India dance" main gai "Comedy circus" main bhi gai, aur tum..."Sajan re jhoot math bolo "Tere
mere sapne ek hoge tabhi tho "Hamari devraani " aayegi warna "Krishna ben khakkra wala"
khakra banate banate "Master chef India" main pahuch gaithi "C.I.D" bhi kuch nahi ker paayega
aur meri "Bidaai" rah jaayegi please ek baar keh do ki "Bath hamari pakki hai" warna mera
"Sasural gada phool" ki tarah "Papad pol' ki tarah "Jhalak dhikla ja" kehta rahega, aur Log
kahenge-----------hmmm-----"YE kya ristha kehlata hai"...
Isme aap puchiye ki ye kya story hai
Ye serial ki story hai
Aur isme kitne serial ke naam hai...
12.
Thaliyo ke liye
Wo hoth kya jisme laali nahi
Wo upwan kya jisme maali nahi
Wo sasuraal kya jisme saali nahi
Aur wo mahfil kya jisme taali nahi

Lab surkh sharbathi ho jaaye


Gaalo per cha jaaye laaliya
aur is dance per ho jaaye jordaar Taliya
Bahaaro ki mahfil suhani rahegi
lab pe khusi ki kahani rahegi
chamakte rahege khushiyo ke ye sitare
agar aapki taaliyo ki meharbaani rahegi.

Sangeet sandhaya script


aaj ke is subh sangeet me hum aap sabhi ka swagat karte h abhinandan karte h.....
hum sabhi jante h shaddi ke sabse pehle mehman ganpati ji hote h to ...............
Sangeet ke is mahool ko karna h subh sakar to aaiye sabse pehle hum karte h ganpati ji ka
gaan......
After Ganpati vandana..........
ganesh ji ka aagman hua ghar kasumadhur vatavaran hua aap sabke aane se hridya hamara pulkit
huaa.....
Let begin 2day's rockin evening by the performances of dulha/dulhan sister n brother's dance....
Aankhe aapki mast h ,
Dance b jabardast h ,
studies me koi jawab nhi,
har kaam me aap first h.
(dis way v can call performer for dance)
If there is a performace by jiji n jiju then v can call them by this lines ...
tarron bhari raat h,
chand b hamare saath h,
palke bichaye hamare naina,
jiji-jijaji ke dance ke chah h.

for friend's dance....


kabhi udasi,
kabhi masti,
kabhi jhagda,
kabhi aasu,
kabhi hansi,
chotta sa pal chotti chooti khushi..
bas iska hi naam h DOSTIII...
So dulhan ke frndzz plz cum on stage n rock it.....
here add some jokes or drama to make evening more memorable...
FOR DULHA N DULHAN DANCE.....
Duniya ki saari khushi tumhare daman me ho
Mehkte hue phooolon se hansi tumhare chehre pe ho
behti hui hawa ki khusboo tumhari saason me ho
chand sitaroon ki chamak tumhari aankhon me ho.

Sample Ladies Sangeet Script


Anchor=Aaee sangeet ki ye saam laai sapno ki baarath
Bhaiya aur bhabhi ka rhe hamesha saath aai sangeet ki ye saam
Jaisa ki aap sabhi jaante h ki kisi b shubh karya ki suruwaat hm
apne jinendra dev ko yaad krke krte h to Aaiye swagath kerte hai
hamaare nanhe kalakaroo ka jo aapke saamne present krne jaa
rhe h namokaar mha mantra .
Anchor = Dekha aapne abhi nanhe bachcho KA DHAMAAL
Ab dekhiya hamare mummy papa ka KAMAAL

Song1: Ye chand sa roshan chehra julfon ka rang sunhara.


(by_mummypapa)
Next Songs Present krne jo aa rhe unke bare me aapko kuch
btatae h.
Ye h hamare dulhe k brother
Cricket khelna inhe hai pasand
Nikle h dhoondhne apne brother ki dulhen
Song2: Mere brother ki dulhan (brother)
Anchor :=
Shadi k liye sabne keh keh kar had kr di.
Finally dulhe ne dulhan pasand kar li.
Song3: Shadi k liye rzamand kar li(Groom)
Anchor :=
Dulhe ko dulhan h bhaaie
Aaj h inki sagaai
Hum sab milkar dete h inhe badhai
Song4: wah wah ramji jodi kya banai (by all bros and sis)
Anchor :=
Lo ab to ho gyi sagaai
Ab baat mulakat ki aayi
Ye hai dulhe ki pehli date
Jiska vo kar rhe the besabri se w8
Song5: chup chup khade ho jaroor koi baat h and achcha to hum
chalte h. (couple dance)
Anchor :=
Date me aaya dulhe ko bda hi maza
Unhe pta nhi h aage ki sza
Zor ka jhatka dheere se lga
No more comments ab nakhre b utha
Song6: shadi jo kiya h tune to ab nakhre b utha and

Zor ka jhatka joro se lga (sister and jiju)


Anchor :=
Aa gyi vo raat, saj gyi baraat
Bhabhi chali h lekar apne devar ki baraat
Song7: lo chali me apne devar ki baarat leke(Bhabhi jee)
Anchor :=
Aa rhi hai hamari ekloti behna
Inhe b h aaj kuch kehna
Song8: mera pyara bhaiya and chote chote bhaiyon k bde bhaiya
(groom sister)
Anchor :=
Aa rha h ek chota baccha
Jo keh rha h ki khana milega yahan achcha achcha
Song9: khana milega pina milega (kids)
Anchor :=
Aa rhe hai yahan dulhe k saathi
Samjhane inko baari baari
Abhi b dikhao thodi samajhdari
Fir nhi hai hamari koi jimmedari.
Song10: Ek kunwara fas gya maara (friends)
Anchor :=
Aayi hai ye shubh ghadi
Dekhkar inko humne suni
Gori Shankar k jaise inki Jodi bani


|

|
Shayari for God In Hindi




(1. - , ,
2. , , . )

:

|
Welcome Shayari In Hindi For Sangeet Marriage Function





Song : Pyaara Bhaiya Mera Dulha Raja Banke Aa Gaya

Shayari For Sister Of Groom In Hindi For Sangeet Marriage Function


,
,

Song: Jaana hai tujhko (Film : mere baap pehle aap)
|
|
Shayari For Sister Of Bride In Hindi For Sangeet Marriage Function




,
Song : Mere brother ki dulhan.
|
Shayari For Brother Of Groom In Hindi For Sangeet Marriage Function




,
song : Meri Pyaari Bahaniya Banegi.
Shayari For Brother Of Bride In Hindi For Sangeet Marriage Function





|


Song : Yari Hain Iman..
Shayari For Friends Of Groom In Hindi For Sangeet Marriage Function





Song: Sadi Galli
Shayari For Friends Of Bride In Hindi For Sangeet Marriage Function


..

lines relation |
,
- |
,
- |
,
|
, ,
-|
,
||
lines
|

,
|
,
|
,
, ||
lines
|
,
|
, ,
|
,
||

lines |
,
|
, ,
|
, ,
,
||
lines
,
|
,
||
|

|
, ,
, |
,

|
,
||


|
,
|
,
|
,
||
|
, ,
|
,
|
|
,
, |
, ,
, |
,
||

You might also like