You are on page 1of 142

1

A
COLLECTION
OF
BEST
LOVED
SHAYARIS
2015

INTRODUCTION

Shayari

is basically a form of writing in


which you can write on any topic: love,
sadness, sorrow, joy or loneliness. The basic
rule of shayari is that the words should be as
concise as possible but can also have hiiden
meaning or imagery. There are many forms of
shayari like nazm, ghazal, rubaayi, sehra,
qawwali and many more but the most popular
forms of shayari are nazm and ghazal. A lot of
features can be compared with standard
poetry.
Nazm is a form of shayari which is written on
a single topic which means the subject of
writing is same throughout. There are different
forms of nazm. Like the poems in English
Shayari alo has rhymes and rhythms, ideas
and other linguistic features.
Urdu Shayari will be standard poems which
are indigenous to Pakistan and India. Shayari
indicates poetry or even finery. Urdu finery
assimilated high for their modern-day variety
on the local and also Arabian countries. Urdu
shayari is usually upheld as a possible
significant component of common American
Indian as well as Pakistani lifestyle nowadays.
You can find different types of Urdu shayari as
a result of their prosperous ethnic and
historical past.

Even so, there are many most important styles


which can be recognized these days. Ghazal
may be the earliest type of Urdu finery.
All these brief forms of shayari ordinarily
contain adoreable words of the melody
however; these are designed to incorporate
normal themes with present day Shayars or
Lyricists. These types of poetry most often
have similar rhyme through the poetry and are
also thought to be typical along with the
created ones.
Qasida shayari will be odes. They might be
panegyric and also satirical. These types of
poetry could be authored that will reveal
correct and significant occasions. These types
of poetry likewise adhere to a new rhyme and
rhythm although are generally accepted by the
readers.
Marsiya shayari usually are elegies or for a
dear one who has passed away. This is an
accolade, in mermorial or homage to the loved
ones. Most of my shayari in this collection fall
under this category.
Marsiya shayari ordinarily possesses stanzas
using half a dozen ranges in each one. These
may wrinkle and most of them can develop the
exact rhyme (aaaabb).
Urdu shayari likewise designed the intimate
variety. That is Masnavi shayari. A lot of the
present day, along with classic intimate
shayari, was prepared with this kind.

All types of poetry could be providing a huge


number of ranges. Even so, a lot of
romanticism restricts you to lessen the
amount
of
the
collection.
Numerous
romantics, that sort of Urdu Poems, help deal
with common sociable plus household
incidences of love, sorrow, loneliness and
suffering.
Numerous contemporary romantics opt to
employ his or her fictional treats in order to
correct political as well as socio-cultural
personal injuries throughout their culture.
Nazm shayari can be normally applied in this.
This kind of Urdu poems is as used by
numerous significant romantics. Urdu shayari
handles many ideas like situation belonging to
the people, nationwide sociable along with
political concerns, prevalent in our life
challenges and also philosophical imagining.
I have collected these shayaris which are a
mixture of Urdu and Hindi thus Hindustani
and therefore I have created stanzas with
deeper and relevant feelings and emotions.
I am sure my readers will enjoy these.
Remember that shayaris are meant to be
recited or sung because of their rhythmic
composition. People at a specific gathering
present these Shayris from the pulpit.

MERE DO SABDH
Dimaag se shaayari tab nikalti hai
jab dil par koi chot lagti hai ya man
bahut pulkit hota hai. In shayariyon
ka sambandh hamari dono bhav se
judi huyi hai. Kuchh dukh ke maare
hain to aur kuchh khushi ke
guldasta hain.
In shayariyon ko ya to hamne khud
racha hai ya apne doston aur
shayaron se churaayi hai. Jo kuchh
bhi ho vichaar aur aachaar mere hi
hain. Yeh sab mere hi dil ke
dhadkan hain.
Jara padh kar mere dil ke dhadkan
ko mahsoos keejiye.
Dr Ram Lakhan Prasad



}



|

MAIN KOI SHAYAR TO NAHIN


LEKIN UNKE VIYOG MEIN MAIN
LIKHNA SEEKH GAYA HOON

1
Wo jo jeewan bhar mere
kareeb thi ek din mudd kar
guzar gayi
Kuchh khaas aysa hua ki meri
sari jindgi ek dam badal gayi
Ab to mujhe dukh ke sagar
mein doobne ki tamanna bhi na
rah gayi
Tufaan anek aaten hain jindgi
mein jo aati hain wo bhi guzar
gayi.

10

2
Yeh tajurba bhi karoon yeh bhi
gham uthaawoon main
ke khudko yaad rakkhoon ya
unko bhool jaawoon main.
3
Ab to shabnam se bhi haath jal
jaata hai to aag se kyun
daroon,
Phoolon se bhi ab ghayal ho
jaata hoon kaanton ko kya
karoon,
Hamare is jeewan mein ab do
hi raasten nazar aaten hain,
Ayse tanhai mein rah lete
hain ya ghayal ho jaaten hain.

11

4
Dard duniya ne diye jakham
sahane ke liye
Ham mile the tumhe dost
banane ke liye
Unse phir mil jaata apni
chaahat ke liye
Mil jaawo phir hamko khush
karne ke liye.
5
Aayi thi idhar bahaaren wo
udhar chali gayi
Abaad karne aayi thi barbaad
kar gayi
Jab tha unka sangam to koi
gham nahi rahi
Jab hosh aagaya to meri jaan
nikal gayi
Behisaab gham hai meri
tanhaai aa gayi
Har pal dhoonthata hoon meri
Rani kahan gayi.
12

6
Lafzon ki tarha mujh se tum
kitaabon mein milaa karo
Logon ka tujhe dar hai to
khawabon mein mila karo
Phoolon se to khushboo ka
taluk hai zaruri,
Tum mujhse mehak banke
gulabon mein mila karo
Surahi ko main chhu kar tujhe
mehsoos karunga
Masti ki tarha mujh ko
sharabon mein mila karo
Main bhi hoon insaan mujh ko
bahakne ka bhi dar hai
Is waaste tum mujh se hijabon
mein mila karo.

13

7
Sabhi muskurahat ko ham muskan
nahi kahte
Nafrat ho ya mohabbat ye aasan
nahi hote
Aansu khushi ke gham ke hote hain
ek jaise
In aansuon ki yahan koi pehchan
nahi rahte
Hote hai is jahan mein chehre bhi
ek jaise
Ghunghat bhi ek jaise, sehre bhi ek
jaise
Sab jaanti hai nazrein, pehchaan
bhi hoti
Apni parayi surat aajkal anjan nahi
hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaye
jab akela
Rehta hai saath iske yadon ka ek
jhamela
Duniya bhi chhoot jaye, har aas
toot jati
14

Mehfil kabhi bhi yeh dil ki viran nahi


hoti.

8
Sheesha chaahe toot bhi jaaye
dil na kisi ka tootne paaye
Sheesha kahin mil jayega
dil nahi jo bazaar me mil jaaye
Yeh nahi wo phool jo phir
baagh mein khil jaaye
Khilta nahi wo phool jo ek baar
murjha jaaye
Thehro to zara main hosh mein
aa jaawoon
Tukdey apne dil ke chun ke
utha laawoon
Na koi tukda ho jo unko kahin
chubh jaaye
Sheesha chaahe toot bhi jaaye
dil na unka tootne paaye
Rukiye to zara sa main khud ko
sambhaal loon
15

Aisa na ho kahin main apni


jaan ganwa doon
Bas hamko to ab unka hi rehta
hai gham
Apna kya hai, ab rahein ya na
rahein ham
Sheesha to phoot gaya ab dil
bhi toot jaaye
Khata to meri hai ilzaam unpe
nahi aa jaaye.
9
Jameen kharid sakta hoon
aasmaan kharid sakta hoon
Mil jaaye meri Jaan phir to
duniyaa kharid sakta hoon.

16

10
Khushiyan aur gham saheti
hain phir bhi chupp rahti hai
Ab tak kisi ne na jaana yeh
zindagi kya kahti hai
Apni kabhi to kabhi ajnabee
ban kar rahti hai
Aansoon kabhi to kabhi hansi
bhi deti hai
Dariya kabhi to kabhi saagar si
lagti hai
Dil se kaho aur dil ki suno yeh
yahi kahti hai
Manmeet apna koi apna pyara
chunlo tum
Kuch bhi kahe duniya, duniya
ko chhordo tum
Palkon mein unko bithaake
jhilmil sapnay dekho tum
Khushiyon aur ghamo ko
jindagi bana ke rakkho tum.
17

11

Meri taqdeer mein jalna hai to


jal jaaunga
Kisi ka wada to nahi hoon jo
badal jaaunga
Aag bhar do mere seene mein
gham E ulfat ka
Main koi mom to nahi hoon jo
pigal jaaunga
Dard itna hai ke ghabrake sab
E furkat mein
Aah bankar tere pehalu se
nikal jaaunga
Mujhko samjhao na sahil main
khud samajh jaaunga
Main ek din khud hi Thokare
khake sambhal jaaunga.

18

12
Koi aysi hawa to chal jaati is
pedh ke patte to hil jaate
Yahan kaun apna hai kaun
paraya yeh pata to chal jaate
Kitne sitam aayengi kisi ki
karengi nahi bhala
Aur bhi hoga bura kuchh din
yeh silsila jo chala
Hamari manjilein khud karib
aayengi jara sabre to karle
Ay mere doston ayse hi ab
mera kafila to chale
Chahe sahar ho ya koi gawn ya
ghar hi apna rahe
Aabodaana hi jab uth jaaye to
yahan apna kawn kahe
Is liye har kisi se jhoom ke
mila karo ye jahaan wale
Yahaan kaun apna hai kaun
paraya kuchh pata to chale.
19

13
Sab ko is duniyan mein sab
kuchh nahi milta,
Sagar ki har badi leharon ko
saahil nahi milta,
Yeh duniya to dil walo ka bazaar
hai khilta,
Kisi se dil nahi milta to koi dil
se nahi milta
Main dilruba se dilse mila aur wo
dil se mili
Ab wo chali gayi to marne pe
meri aankh rahegi khuli
Aysa na ho ki ham jab fir mil
jaayen to dhokha ho
Dekh ke ek dooje ko hamari phir
pehchaan ho.

20

14
Mehnat lagti hain sapno ko sach
banaane mein,
Housla laga tha hamko un
bulandion ko paane mein,
Hamko barso lag gaye the apni
zindagi banaane mein,
Zindagi fir bhi kam pad gayi yeh
rishte nibhaane mein.

15
Humko waqt aur guru dono
sikhaate rahte hain,
Par un dono sikhane waalo mein
itna sa farq hai,
Hamara Guru to hamko sikhaa
ke imtihaan leta hai
Par yeh waqt jalim imtihaan
lekar hi sikhaata hai.
21

16
Mohabbat mein har ek ka
maqsad ek hi hota hai
Khud chahe wo kitne hi bewafa
kyun na hota hai
Lekin talash wo hamesha
wafadaar ka hi karta hai
Yahan to wafadaar ke bhesh
mein bewafa bhi milta hai.

17
Chhoti chhoti si baaton pe ham
log rooth jaate the,
Hamaare haath unse anjaane
mein chhoot jaate the
Mere liye bade najuk the wo
apnepan ke sabhi rishte
Hamne dekha hai ki haste haste
bhi dil toot jaate the.
22

18
Waqt aur samajhdaari ye dono
ek saath khush kismat logo ko
hi milte hain
Kyun ki aksar waqt pe samajh
nahi aati aur samajh aane tak
yahan waqt nahi hain.

19
Apne buland ummeedon se mat
fislo kabhi koi tumko uthaane
waala nahin hai,
Yeh soch ke bhari dariya mein
na koodo koi tumko bachaane
waala nahin hai.
Yeh saari duniya to ek adda hai
sabhi prakaar ke tamaasgiron ka
jagah hai,
Agar dekhenge tumko musibat
mein to har koi yahan majaa hi
leta hai.

23

20
Aajkal haanth mein mere mera
kalam ka aanaa suhaana lagtaa
hai
Dil aur dimaag par mere jo jahar
bhara hai un ko ugalna aa jaata
hai
Tanhaai ne hamko mazboor kar
diya warna jo yeh kalam likhta
hai
Mere padhne waalon ko bhi uska
bojh uthaana achha lagne lagta
hai.

21
Aaj kal mausam mein kuchh
rimjhim to hai magar wo saawan
gayab hai
Mujh mein kuchh bachhon ka
sulook hai par mera bachpana
gaayab hai
Na jaane kaysi taaseer is
jamaane ke logo ki ho gayi hai
Hamaare log hamko apna to
maante hain magar apnapan
gaayab hai.
24

22
Chaahe waqt ki kadi dhoop ho ya
aandhiyon ki tez bayaare hain
Ham kuchh apne puraane kadmon
ke nisaan nahin kho sakte hain
Jin ko har waqt yaad kar kar ke
yeh aankhen muskuraati hain
Wayse madhur saathi door ho kar
bhi kabhi door nahin hote hain.
23
Jis din is dharti par hamaare
mullon ke maszid mein Raam
nazar aayega
Aur jis din Hamaare purohiton ke
mandir mein Rahmaan nazar
aayega
Us din yeh dharti ek jannat ban
jaayegi aur ek bada karishma ho
jaayega
Kyun ki is duniya ke har insaan ko
insaan mein insaan nazar aa
jaayega.

25

24
Hamare raste kitne bhi saaf
suthare hon unmein dhool to
aahi jaati hai
Chaahe ham kitna bhi hoshiyaar
hon ham sab se bhool to ho hi
jaati hai
Is liye main jindagi mein har
kisi ko yahi ahmiyat deta hi
rahta hoon
Jo achhe hain unka saath deta
hoon bure logon se sabak seekh
leta hoon.
25
Mohabbat karne wale zindgi bhar
kuch nahi kahete hai
Bewafa aavaz karta hai par wafa
kuchh nahi kehta hai.

26

26

Wafa ki sahi keemat yahan lagai


nahi jaati
Hamse apni chahat chhupayi
nahin jaati,
Mohabbat karne wale bahut hain
par sabko pyar nahin aati
Hamein is kadar hai mohabbat
unse,unki khata batayi nahin
jaati.
27
Dil toot gaya hai par koi khanak
nahi hogi,
Har dhadkan roti hai par ye
palak nahi roti,
Meri mohabbat naam hai kudrat
ki bandagi ki,
Jo koi sharto pe milte woh
mohbbat nahi hoti.

27

28

Is kadar ham unki mohabbat


mein kho gaye,
Ki ek nazar dekha aur bas unhi
ke hi ho gaye,
Aankh khuli to andhera tha
dekha ki wo sapne the,
Aankh band ki to unhi sapno
mein phir se kho gaye.
29
Ishq Tujse Karta Hu Main
Zindagi Se Bhi Jyada,
Main Darta Nahi Maut Se Teri
Judaai Se Jyada,
Chahe Tu Aajmaale Muje Kisi
Aur Se Jyada,
Meri Zindagi Mein Kuch Nahi
Teri Pyar Se Jyada.

28

30
Usne ham se poochha pyar kya
hai?
Maine kaanto pe chal ke bataa
diya,
Poochha, Kitna pyar karte ho
mujhko?
Maine pura aasman dikha diya,
Poochha, Kayse rakhoge is pyar
ko?
Maine mehkta hua gulab dikha
diya,
Poochha, Kayse rahoge bina
mere saath?
Maine zameen par unka saaya
dikha diya.
31
Chehre mein unke sirf meri hi
noor thi,
Uske baad phir wo na kabhi
mujhse door thi,

29

Jara soch ke dekha to phir


kitna khushi mila,
Jab unke maang mein mere
naam ki sindoor thi.
32
Mohabbat hamari mukaddar thi
koi khwab nahi,
Ye wo ada hai jisme sab log
kaamyab nahi,
Jinhe kushi mili unko ungliyo
par gin lo sahi,
Jo mere tarah barbad huye
unka to koi hisab nahi.
33
Ab to sukhe patton se bhi pyar
kar leta hoon,
30

Ab to unke parchhain se bhi


ikrar kar leta hoon.

Ab unko kahin raaste mein


dekh leta hoon,
Marte dum tak ham unka intzar
kar leta hoon.
34
Ab to intezaar ki aadat si ho
gayi hai,
Tanhai ki ab ek muddat si ho
gayi hai,
Na shikwa na shikayat karne ki
zaroorat hai
Kyunki ab is tanhai se
mohabbat si ho gayi hai.

31

35
Hamara pyar sabdon ka mohtaj
nahi rahta tha,
Dil mein unke pyar ka sada
raaj rahta tha,
Ham intezar nahi karte the koi
khaas din ka
Saal ka har din hamare pyar
ka haqdaar rahta tha.
36
Tanhaion mein ab unko hi yaad
karte hain,
Wo salamat rahein yahi fariyad
karte hain,
Hum unke hi mohabbat ka
intezaar karte hain,

32

Unko kya pata hum unse kitna


pyaar karte hain.

37
Ek Mohabbat Hai Aur Uss Ki Ek
Nishani Hai
Ek DiL Hai Jaise Koi Haweli
Purani Hai
Safar Raat Ka Hai Aur Raat Bhi
Tufani Hai
Samandar Hi Samandar Hai,
aur Kashti Bhi Doob Jaani Hai.
38
Ibteda-e-IshQ Se le kar Inteha-eIshQ Tak
Main Hi Tha Bewafa Aur Maine Hi
Wafa Nibhai Hai
Ab Main Laut Aaya Hoon Manzil Ko
Dekh Kar
Yahan To bas Yaadon Ki veerani Hi
veerani Hai

33

Yeh Intezaar Khatam Kyun Nahin


Hota Kis Se Poochoon,
Ye Manzil Mera Muqadar Hai, Yahi
Meri Adhoori Kahani Hai.

39
Najaane Kab Tak Ye Aankhen Uska
Intejar Karengi,
Uski Yaad Mein Kab Tak Khud Ko
Bekarar Karengi,
Usey To Ehsas Tak Nahi mere
Mohabbat Ka Yaaro,
Kab Tak Ye Dhadkane Uska Aitbaar
Karengi.

40
Humne dil diya wo mere pyar ki
hadd thi,
Jaan di wo mere aitbaar ki hadd
thi.
Mar gaye par khuli rahi yeh aankhe
meri,
Yeh to meri pyar aur intzaar ki
hadd thi.

34

41
Wo Sadak Ke Us Paar Thi
Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe,
Kuch wo Aage Badhin
Hum Kuch Aur Aage Badhe,
Wo Bhi Kuch Aur Aage Badhin
Hum Kuch Aur Aage Badhe,
Wo Bhi Kuch Aur Aage Badhin
Ab Hum Sadak Ke Us Paar The,
Aur wo Sadak Ke Is Paar Thi
Yahi hamare jeewan ki haal the
Ham idhar to wo udhar thi.

42
Zindagi Mein Hamesha Naye
Log Milenge,
Kahin jyada To Kahin Kam bhi
35

Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
aaj ki sham

Mumkin hai Har Jagah Tumhe


Hum hi Milenge
Teri yaadon ke chiragon ko
jalaya har shaam,
Teri baato ko seene Se lagaya
har shaam,
Maangi Rab se teri khushiyon
ki duayein,
Tanha baith ke haatho ko
malte hain har shaam.
43
Chaha ke ye sara Aasma hamaara
hota,
Mere khwahishon ka bhi koi
kinaara hota,
Ye soch kar na Roka us musafir ko
humne,

36

Door jaata hi kyun agar wo


hamaara hota.

43(i)
Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar
Ubharta Hai,
Samandaron Hi Ke Lahre Mein Baat
Karta Hai
Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh
Gaye Hote,
Koi To Hai Jo Hawaawon Ke Par
Kaatata Hai
Sharaafaton Ki Yahaan Koi Ahmiyat
Hi Nahin,
Kisi Ka Kuchh Na Bigaado To Kaun
Darta Hai.
43 (ii)
Zameen Ki Kaisi Vaqaalat Ho Phir
bhi Nahin Chalti,
Jab Aasmaan Se Koi Faisla Utarta
Hai
37

Tum Aa Gaye Ho To Phir Chaandni


Si roshni milti,
Zamin Pe Chaand Kahaan Roz Roz
Utarta Hai.

44
Kisi insaan ka pehla pyar banjaana
koi badi baat nahi,
Banana hai to kisi ka akhri pyar
banawo to sahi
Mat socho ki tumse pehle wo kisi
aur ki thi,
Koshish karo usko phir kisi aur ki
zarurat na padi.
45
Geet to hum bhi gaaten agar wo
aavaaz hoti,
Baaja to hum bhi baja lete agar wo
saaz hoti.
Kya bas Shahjaha hi Taj Mahal
bana sakta hai,
38

Ham bhi to bana sakte the agar dil


mein koi Mumtaz hoti.

46
Kuchh Nahi Kehta Yeh Dil
Chupchaap Sa Rehta Hai,
Dard-E-Dil Itna Hai Ki Har Pal Ashq
Behta Hai,
Dekhta Hun Jab Bhi Kisi Toote
Huye Taare Ko,
Na Jaane Kyun Wo Kuchh Keh
Raha Sa Lagta Hai.
46(i)
Yeh Duniya Kyun Itni Matlabi Ban
Chuki Hai,
Rishto Se Jyada Ab Paise Pe Kyun
Tik jaati Hai,
Har Ek Saks Dil Ko Seeshe Ki Tarah
Pehle Todta Hai,
39

Jaroorat Padti Hai To Phir Kyun Ise


Jodne ki koshish karta Hai.

47
Main Alfaz Hoon Tera Har Baat
Samajhta Hoon,
Main Ehsas Hoon Tera har Jazbaat
Samajhta Hoon,
Jab Poochha Maine Ki Kyun Door
Ho Gayi Mujhse,
Main khud nahi jaanti aur kuchh
nahin Samajhti Hoon.
48

Apne Karam Se Wo Mera


Muqqaddar Bana Gayi,
Ek Qatre Ko Pal bhar Mein
Samundar Bana Gayi,
Phoolon Se Bhi Jyada Narm
40

Tha wo Dil unka,


Itna pyar kiya Ki hamko mom
Bana Gayi.

49
Tere liye dhadakta hai yeh dil
mera,
Tere liye hi jeeta hai yeh banda
tera
Phir bhi is dil ki dhadkan kyun
udaas hai,
Shayad dil mera yeh janta hai,
tere liye yeh khas hai.
50

Ek raat rab ne mere DIL se


poochha,
Tu apne pyar mein itna kyun
khoya hai,
41

Tab Dil bola unhon ne hi di hai


saari khushiya,
Ab unke pyar mein yeh dil
hamesha rota hai.

51
Nigahein Nigahon Se Mila Kar To
Dekho,
Jara Hamse Rishta Bana Kar To
Dekho,
Hasrate Dil Mein Dabane Se Kya
Faiyda,
Apne Honto Ko Hila Kar meri orr To
Dekho,
Aasman Simat Jayega Tumhare
Aagosh Mein,
42

Jara Chahat Ki Bahein Fayla Kar To


Dekho.

52
Bahot Khubsurat hai ye aankhe
tumhari,
Guzarish hai Isko bana do kismat
hamaari,
Hame is ke siwa kuchh nahi
chahiye is zindagi mein,
Agar mil jayegi ham ko wo
mohabbat tumhari.
53
Nigahon se wo is dil mein sama
gaye,
Jab ashk bahe to palko par aa
gaye,
Dar tha wo dusare duniya mein na
jaye,
Palko ko se aansoo bahenge agar
ham jhuk jaye.
43

54
Meelon ke faaslo mein bhi doori na
ho,
Baat koi aisi na ho aur majburi na
ho,
Meri tamanna thi hum Dost rahtein
umar bhar,
Aap bhi dua karna ye chahat meri
adhuri na ho.
55
Justaju hai meri tumhe phir se
paane ki,
Jarurat nahi hai ab kisi bhi bahaane
ki,
Door na raho mita do ye sabhi
duriyan,
Bas maan lo baat apne is diwaane
ki.
44

56
Woh ishq bhi kya gajab raha hoga,
Woh ishq bhi kya rang laaya hoga,
Saroj jis mein pyar ki putli huyi thi,
Lakhan jis mein diwaana raha hoga.
57
Duniya se hamko mile gham to
bahut hain,
In gamo se ankhein num bhi bahut
hain,
Kab ke marr jaate in ghamo ko sah
kar.
Par pyar ki duawon mein dum bhi
bahut hain.
58
Unse Door Rahoon Magar yeh bhi
Kaise
45

Haal-E-Dil Bhi Kahoon Magar yeh


bhi Kaise
Bahut Samjhaya Is Pagal Dil Ko Ay
Sanam

Dil Ko Mazboor Karoon Magar yeh


bhi Kaise
Kuchh To Kehti Hain Aankho Se
Woh Bhi
Woh Baat Kagaz Pe Likhoon Magar
wo bhi Kaise.
59
Mere Nazdeek Aa Ke Dekho Mere
Ehsaas Ki baat
Mera Dil Kitna Dharakta Hai Sirf
Tere Naam Ke Saath.
60
Dil aur Pyaar ki ladaayi ne mujhe
barbaad kar rakha hai,
Na to pyaar shikasht khata hai aur
na dil haar maanta hai.

46

61
Hum aapko dil hi dil mein chahte
rahenge,
Apne mohabbat ka ham izhar bhi
karenge.

Tum na aawoge sanam ye jaante


hain hum,
Phir bhi har mod pe aapka intezar
karenge.
62
Mohabbat mere liye ab woh haseen
gunaah hai,
Jise ab main chhup chhup ke karte
hai,
Mere mohabbat mein Intezaar to ab
wo saza hai,
Jo sirf yeh dil suchh mein karta hi
rahta hai.
Teri Khushi Se Nahi Gham Se Bhi
Rishta Hai Mera,
Tu Zindagi Ka Ek Anmol Hissa Hai
Mera,
47

Meri Mohabbat Sirf Lafzo Ki


Mohtaaz Nahi hai,
Teri Rooh Se mere Rooh Ka Rishta
ho gaya Hai.

63
Badi Mushkil Se Bana Hoon, Toot
Jane Ke Baad
Mai Aaj Bhi Ro Deta Hoon,
Muskurane Ke Baad
Tujhse Mohabbat Thi Mujhe
Beintihan dil E nashaad
Aksar Yeh Mehsus Hua Tere Jane
Ke Baad
Ab Tak Dhoondh Raha Hoon tujhe
tere jaane ke baad
Jo Nazar Se Kho Gayi Hai Nazar
Aane Ke Baad.
64
Logo Ne Kaha Ki Main Sharabi ho
gaya Hoon,
48

Maine Kaha Unki Ankhon ne hi Pila


di Hai,
Logo Ne Kaha Ki Mai Ashiq ho
gaya Hoon,
Maine Kaha Ashiqi Unho ne hi
Sikhayi Hai,

Logo Ne Kaha Tu Diwana shaayar


ban gaya Hai,
Maine Kaha Unki Mohabbat hi ab
Rang Lai Hai.
65
Har savaal mein ek jawaab chhipa
rehta hai,
Har baat me ek baat bhi chhipi
rehti hai.
Dhyaan se dekho to is dil mein
unka dil hai
Lekin ab ek anjaan sa dard chhipa
rakha hai.
65 (i)
Uska haal kya hoga Yahi gham
satata hai
49

Neend bhi nahi aati dard badhta


jata hai
Jindagi ki raho mein ab log hamse
khelte hain
Ek mein bhi tanha the sau mein bhi
akele hain.

65(ii)
Sona chahta hoon par neend nahi
aati hai,
Badal badal ke karwaten yun hi
raat guzar jati hai,
Kar bhi le pyaar ka izhaar ye meri
jaane jigar,
Akhir kyun tu ab mujhe itna
tadpasti rahti hai.
66
Pyar Ki ek Anokhi Murat thi meri
mehbooba
Zindagi Ki Ek Zaruat thi meri
mehbooba
Phool To Hote Hi Hain khoobsurat
50

aur azooba
Phoolo Se Bhi Khoobsurat thi meri
mehbooba.

67
Haan mera har lamha chura liya hai
aapne ,
Aakho ko ek chaand dekha diya hai
aapne ,
Hume zindagi di thi rab ne pyar diya
aapne ,
Par pyaar itna dekar jeena sikhaya
tha aapne.
68
Meri koi bhi Khata Pe Naraz Na
Hona,
Apni Pyari Si Muskaan Ko Kabhi Na
Khona,
Sukoon Milta Hai Aapki Hansi
51

Dekhkar janaa
Mujhe Maut Bhi Aajaye Tab Bhi Mat
Rona.

69
Kitab-E-Ishq Padhta Raha jindagi
bhar main
Ham dono ka Naam Usme Juda
dekha tha main
Tere Naam Ka Panna jab Khol kar
dekha main
Kismat Dekho Wahi Panna pe akela
tha main.
70
Baadalon ke darmiyan kuchh aisi
saazish hui thi
Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar
baarish hui thi
Unko bhi yahi zid thi mujh pe
bijliyan giraane ki,
52

Aur hamein bhi zid hai ab wahin yeh


aashiyan banaane ki.

71
Dil ko adat si ho gai hai chot
khaane ki
Bhigi palko ke sang ab roj
muskurane ki
Jaan jaate gar pahle se hi halat
apne anjaam ki
To koshish na karte kabhi ye Dil
lagaane ki.
72
Aaj hamko ye duniya tera deewana
kahta hai,
Main tujhe pyar karta hoon ye dil
bhi maanta hai.
Maine aapse kitni mohabbat ki thi,
koi jaane ya na jaane,
53

Duniyan maane ya na maane


magar mera dil to jaanta hai.

73
Jee Bhar Ke Dekhta rahoon Tujhe
Agar Ganwara Ho;
Betab Meri yeh Nazrein Ho aur Pyar
Tumhara Ho;
Jaan Ki Fikar Ho Na Zamaney Ki
Parwah ho;
Ham yahi chaahen Tera Pyar Hi Sirf
Hamara Ho.
74
Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si
Shaam Hone Do
Khud Hi Laut JaawonGa Mujhe thak
ke bayth jaane Do
Mujhe waapas bhejne Ke Bahane
kyun Dhoondti Ho
54

Mein Khud hi chala jaawunga Pehle


subah to Hone Do
Abhi Main nahin maanunga koi
apne kisi haar ko

Chala to jarur jawunga mujhe gale


lag jaane do
Teri Hasti to Anmol hai mujhe pyar
karne do
Wafein kar Longa par is dilko Zara
Nelaam Hone Do.
75
Tum hamko ChhoR gaye Meri Halat
bigad gayi
Tumhare Dam Se yeh Zindagi thi ab
wo bhi gayi
Meri Aankhon Mein Neend Ban ke
Kyun na Rah gayi
Tumhre Intezar Mein Kitni Raton ki
meri need gayi.
55

76
Tumse milne ka hausala hai Kyon
door Baythe Ho
Ham Sab Kuch Jeet Jayenge Zara
tum paas to ho

Tum ab Meri Qismat Mein Nahi


suna Hai kahte Logo ko
Phir Sochta Hoon Qismat hoti hai
badal dene ko.
76(i)
Tum phir Sath ho To Muqaddar ban
jaaye apni
Bin Tere is Zindagi Ki Auqaat Hi
Kya apni
Mujhe mera praan shareer Chhorne
ko Roz Kahta Hai
Magar UskA BaS Nahi Chalta Mera
Wafa kahta hai
Itna Na Tarpawo Ke Koi Gunaah
Kar Loon Main,
56

Phir log na kahen ki diwana ho


gaya hoon main.

77
Toofan jayse Dard Ko sah loonga
Sambhal Jaunga main
Kisi ka Julf Nahi Jo dard se Bikhar
Jaunga main
Yahan Se Udunga To Mat Poochhna
Kahan Jaunga main
Mein To pyar ka Dariya Hoon tere
atma se mil Jaunga main.
78
Ek Sawaal Hum is Zindagi Se Kiya
Karte Hain
Ke Hum Is Duniya Mein ab Kyun
Jiya Karte Hain
Jab Kisi Ke Liye Kisi Ke Pass Waqt
57

Nahi hain
Toh Log Kyun ye Rishta Bana Liya
Karte Hain.

78(i)
Is zindagi Se Badi ab aur koi Saza
Hi Nahin,
Ab mera Kya Jurm Hai hamko Pata
Hi Nahin
Kitne Hi dukh dard sah Gaya Hoon
Main,
Dil ke kitne tukde huye ab toot
gaya hoon main.
78(ii)
Sach Ghat jaaye To phir Sach hi
kahan rahe
Jhooth to jhooth hai uski Koi
Intehaan nahin rahe
Mere jigar pe chot lagi ab wahi ek
sach hai
58

Mera aayna jhooth kahata nahin wo


sach hi kahta hai
Zindagi bhar ke liye tera saath
Nibhana chahte the,

Tumhari in ankho mein sada ke liye


bas jana chahte the,
Suna tha pawitr pyar sada amar
rahti hai
Par Yahan To meri Zindagi hi lut
gayi hai.
79
Ujaale unki yaadon ke ab humare
saath na rahi
Na jaane kis gali mein is zindagi ki
shaam ho gayi
Jaane Kahan meri Wo Duniya Hai
jo hari bhari rahi
Jaane kyun yeh Zindagi Itni Khafa
ho gayi
59

Kaate Nahin KatTe Lamhe yeh


Intezaar Ke
Nazaren Bichaein Baithe Hain
Raste mein apne Yaar Ke
Dil Kahta Dekhlo Jalwa apne Husne
Yaar Ke
Laye koi unko hamare liye Falak Se
Utaar Ke.

79(i)
Saroj meri aatma thi. Saroj meri
pyaari thi. Saroj meri nyaari thi.
Unki paydaish wastrheen huyi thi
unka nidhan wastrheen huwi thi
Wo na kuchh le ke aayi thi
wo na kuchh le kar gayi thi
Unki jindagi sirf mere liye thi
Meri jeewan kewal unki thi.
80
Ab main sapna Aisa Dekhta hoon Ki
Aasmaan bhi Thak Jata hai
Dua main Aisi Karta hoon Ki Rab
bhi pighal jaata hai
60

Yu To yeh Zindagi Jine ke liye


Bahot Kam Pal Hai,
Jeeta Aise hoon Ki Har Pal yeh
Zindagi unke liye hai.

81
Unse ab bahut hi door rahte hain
ham
Magar apne dil se dua karte hain
ham
Unko pyaar bepanah karte hain
ham
Yeh farz yahin se ada karte hain
ham
Unki yaadon ko saath rakhte hain
ham
Khushi ya gham unko yaad karte
hain ham.
82
Kis hadd tak chalna hai yeh kawn
jaanta hai
61

Kis manzil ko paana hai yeh kawn


jaanta hai
Pyaar ke ye do pal yahan ji bhar ke
jeena hai
Kis roz bichhad jate hain yeh kawn
jaanta hai.

83
Jeewan bhar main khushiyon ke
chaah mein khoya tha
Kabhi kabhi to dukhon ke panah
mein roya bhi tha
Hamare yeh jindagi ka ajeeb silsila
aur ek maksad tha
Bharosa ke liye ya kabhi kisi pe
bharosa kar ke roya tha.
84
Aaj bhi wo mere hak mein sada dua
karti rahti hain
Dukhon ke dariya mein doobta bhi
hoon to bacha deti hain
62

Ab meri yeh sooni jindagi ghamo se


giraftaar ho gayi hai
Un dino ki tarah koi bhi khushiyan
kareeb nahi aati hai
Jayse jamane bhar ka jahar bhi
ham ne ab pi liya hai
Yeh jaan hai ki kambakht nikal kar
jaati bhi nahi hai.

85
Ab kuchh is tarah maine apne
jindagi ko aasaan kar liya
Apne mehbooba se maafi maang li
aur unko maaf kar diya
Apne dil ki aawaz ko sunte hain aur
unke aankhon se dekhte hain
Sirf paane ka naam pyaar nahi
khone ko bhi ham isq kahte hain.
86
Unko yaad karne ki sab lamhe to
apne aap hamko mil hi jaati hain
Koshish jaari hai waqt mil jaati hai
jab unki yaade aati hain
63

Hamare rishton ka dhaaga kachcha


nahi dil ki aawaz hai
Mera pyaar ab ek tarfa to lagta hai
lekin sada sachcha rahta hai
Mera ghar ab ek mandir hai mera
juban unki pooja karta hai
Yeh juban kabhi unka naam leta hai
kabhi chup rahta hai.

87
Mere har lafz mein ab arth hota hai
aur tark bhi hota hai
Log kahte hain main hansta bahut
hoon par dil rota hai
Hansne waale bahut mil jaate hain
par rone waale kam nahi hai
Mera tazurba hai ki hansne waale
ke dil mein bhi dard hoti hai.
88
Mere is jeewan mein unka saath
kaafi tha
64

Mere dil pe unka haanth ka rahna


kaafi tha
Ab wo chahe door ho ya paas koi
fark nahi hai
Hamare sachche rishte ka bas yeh
ehsaas kaafi hai.

89
Ab agar doobta hoon to dariya ko
dosh deta hoon
Girta hoon to raaste ke patthar ko
dosh deta hoon
Unke bina kuchh kar nahi paata to
unko dosh deta hoon
Ayse mein apne aap ko nahi kismet
ko dosh deta hoon.
90
Yeh ajnabi shahar ke ajnabi raste
hain
65

Log meri tanhai pe muskurate rahe


hain
Ham bahot door tak yun hi chalte
rahe
Wo bahot der tak mujhe yaad aate
rahe.

91
Kal kuchh aisa hua mai bahot thak
gaya
Is liye baat sun ke bhi ansuni kar
gaya,
Kitni yaado ke bhatke huwe karwan
rahe
Jo dil ke jakhmo ke dwar khat
khtaate rahe .
92
Judai mein ham jahar peete rahe,
Roj marte rahe aur roj jeete rahe,
66

Meri jindagi humko aajmati rahi,


Aur hum bhi us ko aajmate rahe.

93
Badi sakht halaat ke in tej tufaano
mein,
Main ghir gaya tha apne junoon-Ewafa mein
Hum apne chirag-E- tamanna
jalaate rahe,
Wo apne chirag E-tamanna
bujhaate rahe.

94

67

Dosti ke liye ek pyaara sa dil hona


chahiye jo nafrat nahin karta ho
Dosti ke liye ek pyaari si muskaan
chahiye jo kabhi fiki nahin padti ho
Dosti ek aysa pawitra ehsaas hai jo
kabhi kisi ko dukh nahin deta hai
Dosti ek aysa mahaan rista hai jo
kabhi bhi khatam nahin hota hai.

95
Mera dil yeh chaahe ki bas teri hi
baat ho
Tu rahe har jagah chaahe din ya
raat ho
Maine maanga ki bas sada teri hi
jeet ho
Tujhko phir paana hai chaahe jo bhi
baat ho
Tere pehlu mein meri har subah aur
shaam ho
Teri aankhon mein meri hi jindagi
ka raaj ho.
68

96
Ham sab ki safar jindagi ki bahut
haseen hogi
Jab ham sab ko kisi ek haseena ki
talash hogi
Ho sakta hai ki kisi ke paas mazil
hai to raah na hogi
Par jiske paas raah hai uske paas
manzil nahi hogi.

97
Hamare liye to itna hi bahut hai ki
hamare sabhi rishte bane rahen
Hamare liye to itna hi bahut hai ki
is pariwar mein sab hanste rahen
Kyunki main jaanta hoon har koi
har waqt ek saath nahin rah saken
Is liye itna hi bahut hai ki hamare
sab log ek dooje ko yaad Karen.

98

69

Jis din main is sansaar mein aaya


tha aasmaan bhi khoob roya hoga
Us ke aansoo thamte kayse jab wo
mere baare mein socha hoga
Aasmaan se utar kar ham sab ko ek
din is Jameen par aana hoga
Parmatma ki kripa hai ki wo apna
pyara sitara yahan bheja hoga.

99
Har shardi ka mausam ka maza
kitna alag sa lagta hai
Tanha raat mein kisi ka intazaar
kitna alag sa lagta hai
Dhoondhali ho gayi hai aakaash
mera sitaara chhip gaya hai
Unki judaai ka ab sab ehsaas kitna
alag sa lagta hai.

100
70

Unki madhur yaadon mein ham aaj


ayse khoye the
Palken dekhne se pata chala ki
ham raat bhar roye the
Subah jab aahat mili kisi ke
kadmon ki to wo sapne the
Kyun aysa lagta hai ki ham roj unko
yaad kar ke sote the.

101
Ab mere dil se unki khayaal na
jaaye to main kya karoon?
Koi to bata de mujhe jab wo yaad
aayen to main kya karoon?
Mere dil mein to hasrat yahi hai ki
ek nazar unko dekha karoon?
Lekin meri kismet wayse din na
dikhaye to main kya karoon?

102
71

Apne dilruba ko jab main phir se


dekhne ko sochta hoon
Meri hosh udd jaati hai jab main
apne pari ko dekhta hoon
Aaj kal main unke chehre par ek
aaftaab sa dekhta hoon
Raat to raat hai din mein bhi main
khwab dekhne lagta hoon.

103
Unke liye ham ne apna sab kuchh
luta diya tha
Ab wo bhi kahte hain ki hamne
unko bhula diya tha
Un dino main bhi unka aansoo
pochhne jaata tha
Mujh pe ilzaam lag gaya ki unko
maine rula diya tha.
104

72

Jab muskurana mushkil ho jaye un


mushkilon mein muskurana farz hai
Jab jina hamko namumkin sa lage
us waqt har insaan ka jina farz hai
Jab samundar mein ho laharen aur
sagar ko toofaan ka nasha hai
Jab tej hawa ke jhonkhe deepak
bujhayen tab deep jalana farz hai
Jab manzil nahin milti ho aur rah
chalna aasaan nahin hai

Apne manzil ko dhoondhna aur sahi


rah par chalna hamara farz hai
Jab koi dard se sari umar rote kate
us dard ko mitaana jaroori hai
Chahat aur pyaar mohabbat har
insaan ka janam siddh adikaar hai
Jis chahat se sabhi ka laabh ho us
chahat pe hasti mitana farz hai
Bhool jaane ki aadat ho to usi ka
naam lene se sukoon milta hai
Uski khabar mein apna safar ho jo
tumhare liye bekhabar rahta hai
73

Jis insaan ko dukh dard dene ki


aadat ho use pyar dikhana sahi hai
Jis ko aankhen churana ho us
aankh se aankhen milana farz hai.

105
Agar main apne dil ki sunta rahta to
haar jaata
Ham dono ke pawitr pyar jaysa
pyar kaha se paata
Mar mitne ki baat nahin jindagi
banaane ki baat ki
Ek dooje ko dekhte rahe hamko
naaz tha apne aukat ki
Yakin pyar pe hamko itna tha
peechhe dekhne ki jurrat na ki
74

Yaadon ke saagar mein doob gaye


the kuchh is tarah se
Kabhi bhi juda nahin hona chahate
the ham ek doosre se
Yeh kya pata tha ki takdeer dhokha
degi is kadar se
Unka ashiyana swarg mein aur
mera bhara ho jahar se.

106
Wo sab puraane suhane lamhe
bhulaye nahi jaate
Yaado ke wo sab parinde yun hi
udaaye nahi jaate
Unka mere jindagi mein aana un
julfon ko lehrana
Un sab pegaamon ko aaj likhkar
bataaye nahi jaate
Mere jeewan ko hara bhara bana ke
sukhi banana
75

Un meharbaaniyon ko aasaani se
bhulaye nahi jaate
Mere dilo O jaan mein baskar itne
dino tak rahana
Wayse dildaar aur jigri dost ab
banaaye nahi jaate
Un dino ke mohalle ki shaadi mein
saj-dhaj kar jaanaa
Ab hamko hamesha aysi jalwe
dikhaaye nahi jaate
Tanhaai mein kisi kone me chhup
kar aansu bahaana

Aysi ehsaas to mere dosto ab


hamse kiye nahi jaate
Ho kar itna mayoos yun shaam ki
tarah dhalte rahana
Zindagi mein subah ugte suraj ki
tarah nikale nahi jaate
Usi jagah par thahroge to lajim hai
niraash ho jaanaa,
Chaahe dhire hi sahi par ham inn
raahon mein chalte jaate.
76

107
Jin haanthon mein lagi ho hathkadi
wo kaidi ban gaye hain
Aazaad to ham ho gaye hain aur aaj
apna haq maangte hain
Rab ne jo bhi kuchh diya hai ham
ko ham usse santusht hain
Jo kho gaya hai unki madhur
yaaden to hamare dil mein hain
Jab unki yaad satati hai to unki
tasveer ka sahara lete hain
Chahe geet gaana jurm ho par ham
to unke hi geet gaate hain.

108
Ab wo muskurate khilte phool
kahaan unko to aagaya hai
murjhana
Ab wo bagiche ke raunak deep nahi
hain jinko aa gaya hai bujh janaa
Ab wo aakaas ke baadal hain
jin mein warsha ki chah nahin
Ab wo umad ghumad ke udte nahi
jin mein chalne ki chah nahin
77

Ab wo taara nahi aur chand nahin


jinko chamakne ki chah nahin
Ab wo nayan sooje sooje hain
jin mein ab aansoo bhi nahin
Ab unka wo tej nahin unka wo bhes
nahin koi aas nahin koi lagan nahin
Khushi chali gayi, ab rote bhi hain
to aankhon mein koi asQ nahin
Aysa unka haal hai na koi apna hai
na hi ab koi paraya hai

Unke jeewan mein vedna bhari hai


jayse kismet ka wo mara hai
Umar bhi ab dhal gayi hai
aur parlok jaane ki taiyaari hai
Ab Lakhan ka jeena kathin hai
marne ka unko adhikaar nahin
109
Kya bataawoon kya kya hua mere
is jindgi ke saath
78

Unse lakhon khushi mili phir choot


gaya unka saath
Chaand sa chehra tha unka dil mein
pyar bhara tha
Aankhen thi laajawaab aur julf unka
ghatawon sa tha
Koyal si unki boli thi badan pariyon
se achchi lagti thi
Chaal haal aur dhang hiraniyon se
bhi achhi lagti thi
Jab unke aankhon se kaliya khile
aur aanchal lahrati thi

Dekhe jo mor unki in adaawon ko to


naachna bhool jaati thi
Pachpan saalon se yeh pyar hamko
bekhud bana rakha tha
Unke jaane ke baad ab bikhar gaya
sab jo saja ke rakha tha
Un aankhon ke chhlakte jam ko ab
dekh nahi sakta main
Tasveer unki dekh kar ab apne dil
ko bahla leta hoon main
79

Itne sunahare yaaden hain ki unko


bhoolna namumkin hai
In yaadon ko liye ab jee raha hoon
aur koi chaara nahi hai
Intazaar us din ka hai jab ham bhi
yahan se chale jaayenge
Unse phir se mil gaya jo to apne
tadapte dil ko manayenge
Kudrat se dua karenge ki phir kabhi
kisi se aysa pyar na ho
Na phir milegi aysi mehbooba jiske
liye mera dil tadapta ho.

110
Pyaar to hamko wo bepanah kar ke
chale gaye hain
Lekin na jaane kyun hamko yahan
tanha kar gaye hain
Ham to unke isq mein sab din se
fanna hote rahe hain
Lekin wo mujhko apne paas aane
ko mana kar gaye hain
Sochta hoon ki bhula doon un beete
huye sabhi kal ko
80

Is dil mein ab basa loon apne un


aane waale anjaan kal ko
Kya main hansoon aur hasaawoon
bhula ke unki yaadon ko
Kayse main khushi se dekh sakta
hoon apne aane waale kal ko
Kuchh sochta hoon to unka hi
khayaal aa jaata hai
Kuchh bolta hoon to mere jubaan
pe unka naam aa jaata hai
Kab talak aur kayse bayaan karoon
badi nazuk dil ki haal hai
Mere har ek saason mein unka hi
madhur ehsaah aa jaata hai.

111
Meri yeh jindagi ab kisi ki jaageer
nahin hai
Yeh andheri kothariyan ab meri
takdeer hai
Hamko na jaane ab kyun ayse
sataaya jaata hai
Kyun ki in haanthon mein ab lakeer
nahin hai
Yeh jindagi ab ek haseen khwaab
ban gayi hai
81

Jis mein ab jeene ki koi bhi


chaahat nahin hai
Khushi khud hi gham mein badalti
jaati hai
Muskuraane ki wo aadat bhi ab
chalti jaati hai.

112

Musafir hain ham to chale ja


rahen hain bada hi suhana
ghazal ka safar hai
Pata poochhte ho to itna bata
doon ki hamara thikana ab
Saroj Niwaas hai
82

Ghazal hi hamara anokha jahan


hai ghazal hi wo pyaar ki
hanseen daastaan hai
In ko jo sunta hai wo jhoomta
hai in mein wo jaadu hai
Us mein kuchh aisa asar hai
na koi thakaan na koi khalish
hai
Mohabbat ki jaane ye kaisi
kashish hai jisse dekhiye wo
chala jaa raha hai
Yahi jahan E ghazal ki suhaani
dagar hai

Wali meer momin ne isko


nikhara Jigar Daag Galib ne
isko sanwaara hai
Isse mausiki ne gale se lagaya
isliye ghazal aaj duniya mein
pesh E nazaara hai

83

Yahi hai hamara taaluk ghazal


se ham ab iske liye hain aur
ye hamare liye hai
Aaj ki apni kahani is jamane
mein sabhi ko pata hai aur
sabhi ko khabar hai
Musafir hain ham to chale ja
rahen hain bada hi suhana
ghazal ka safar hai
Pata poochhte ho to itna bata
doon ki hamara thikana ab
Saroj Niwaas hai.

113
Baaten to aamne saamne hoti
rahti hai par asli pyar ki gehrai
judai mein hoti hai
Bina baton ka pyar jab jinda
rahe tabhi us mein sachchai
hoti hai.
84

114
Unki madhur yaadon ke sahaare ab
baaki umar guzaar lenge ham
Bahut umar ho gayi ab baaki bhi
yunhi guzaar lenge ham
115
Aqal aati hai hamko thokren
khaanay ke baad
Rang laati hai hina patthar pe piss
jaane ke baad
Hosh aaya hamko unke chale jaane
ke baad
Keemat pata hota hai hira ka usko
kho jaane ke baad.

116
Hamko mili thi meri manzilen
thokaren khaane ke baad
Jayse rang laati hai hina patthar
par pis jaane ke baad
Meri jindagi bhi mauj ban gayi
maujon se takrane ke baad
85

Beej ban gaye phoolon ko mitti


mein mil jaane ke baad
Baat sab aagayi samajh mein mere
hosh aane ke baad
Sara jahan naraz hai mere
jaaneman ke chale jaane ke baad
Dil par kitne teer chale ham ro liye
thoda hansne ke baad
Zjndagi mein jaruri nahin jeena
dildaar ke bichhad jaane ke baad.

117
Kitne din huye hamne swarg jaane
ke sapne chhor diye
Apne karm achche hon to swarg to
yahin hai hamare liye
Nark ki dar kyun karoon wo theek
nahin hai hamare liye
86

Main jaanta hoon paap kya hai


punye kya hai mere liye
Ab ham chhor diye hain kisi ka dil
dukhaana apne swarth ke liye
Yahi soch ke hamne baaki sab
bhagwaan par chhor diye.
118
Yeh jeewan karm bhoomi hai is liye
parishram hamko karna hai
Parmatma ne hanthon mein lakir
diya usmein rang hamko bharna hai
Subh karm hi hamara sahi dharm
hai isi par hamko chalte hain
Satyam achhutam sundaram mera
naara hai yahi ham bhajte hain.

119
Hamara is sansaar mein hai hi kya
jis par hamko gumaan hai
Ham sab khaali haanth aaye the
aur wayse hi hamko jaana hai
Janam maata ne diya, naam pita ne
diya aur illam guru ka daan hai
87

Rishta bhi dusare se juda, kaam


karna bhi gayron ne sikhaya hai
Ek din is sansaar se jaana hai to
kyun apna gathari bharta hai
Antim samay jab aayega aksar
samsaan bhi gayr hi le jaata hai.
120
Ishwar kripa se jeewan paya guru
kripa se gyaan mila
Nek karam aur bachan se is dharti
ka sukh shanti mila
Guru Govind ke bandagi kar ke
hamko sara aaram mila
Door ho gayi sab vipada apne logon
ka gehra pyaar mila.

121
Mohabbat karne wale zindagi bhar
kuch nahi kahete hai
Bewafa aavaz karta hai par wafa
kuch nahi kehta hai
Vidhwaan wahi jo gyan se kaam
leta hai
88

Saitan wo hai jo har waqt apna gaal


bajata hai.
122
Wafa ki sahi keemat to lagai nahi
jaati
Hamse apni chahat chhupayi nahin
jaati,
Hamko kis kadar hai unse
mohabbat,
Hamko unki khata bhi batai nahin
jaati.

123
Dil toot jata hai par khanak nahi
hoti,
Har dhadkan roti hai par palak nahi
roti,
Mohabbat naam hi hai kudrat ki
bandagi ka,
89

Jo sharto pe pyar ho woh mohbbat


nahi hoti.

124
Iss kadar hum unki mohabbat mein
kho gaye,
Ki ek nazar dekha aur bas unhi ke
hi ho gaye,
Aankh khuli to andhera tha dekha
wo ek sapna tha,
Aankh bandh ki to unhi sapno mein
phir se kho gaye.

125
Ishq Tujse Karta Hu Main Zindagi
Se Bhi Jyada,
Main Darta Nahi Maut Se Teri Judai
Se Jyada,
Chahe Tu Aajmale Muje Kisi Aur Se
Jyada,
90

Meri Zindagi Mein Kuch Nai Teri


Pyar Se Jyada.
126
Usne ham se poochha pyar kya
hai?
Maine kaanto pe chal ke bataa diya
Poochha, Kitna pyar karte ho
mujhko?
Maine pura asman dikha diya
Poochha, Kayse rakhoge apne pyar
ko?
Maine mehkta hua gulab dikha diya
Poochha, Kayse rahoge uske
saath?
Maine zamiin par apna saaya dikha
diya.

127
Chehre me tere sirf mera hi noor
hogi,
Uske baad phir tu na kabhi mujhse
door hogi,
Jara soch ke dekh kya khushi
milegi,
91

jis pal Teri maang me mere naam


ka sindoor hogi.

128
Mohabbat mukaddar hai koi khwab
nahi,
Ye wo ada hai jisme sab kaamyab
nahi,
Jinhe mili unhe ungliyo par gin lo
sahi,
Jo barbad hue unka hisab to koi
nahi.

129
Sukhe patto se pyar kar lenge,
Teri parchhai se ikrar kar lenge.
Tu dekh lena raasto me hame,
Marte dum tak apka intzar kar
lenge.
92

130
Ab intezaar ki aadat si ho gayi hai,
Khamoshi ko ek muddat si ho gayi
hai,
Na shikwa na shikayat karne ki
zaroorat hai
Kyunki ab is tanhaai se mohabbat
si ho gayi hai.

131
Pyar Sabdo Ka Mohtaj Nahi Hota,
Dil mein Har Kisi Ka Raj Nahi Hota,
93

Kyon Intezar Karte Hain Sabhi koi


khaas din Ka
Kya Sal Ka Har Din Pyar Ka
Haqdaar Nahi Hota.

132
Tanhaion mein unko hi yaad karte
hain,
Wo salamat rahen yahi fariyad
karte hain,
Hum unke hi mohabbat ka intezaar
karte hain,
Unko kya pata hum unse kitna
pyaar karte hain.

133
Ek Mohabbat Hai Aur Uss Ki Ek
Nishani Hai
Ek DiL Hai Jaise Koi Haweli Purani
Hai
94

Safar Raat Ka Hai Aur Raat Bhi


Tufani Hai
Samandar Hi Samandar Hai, Kashti
Bhi Doob Jani Hai.
134
Ibteda-e-IshQ Se Inteha-e-IshQ Tak
Main Hi Tha Bewafa Aur Maine Hi
Wafa Nibhai Hai
Main Laut Aaya Hun Manzil Ko
Dekh Kar
Yahan To Yaadon Ki veerani Hi
veerani Hai
Yeh Intezaar Khatam Kyun Nahin
Hota Kis Se Poochoon,
Ye Manzil Mera Muqadar Hai, Yahi
Meri Adhoori Kahani Hai.

135
Najane Kab Tak Ye Aankhen Uska
Intejar Karengi,
Uski Yaad Mein Kab Tak Khud Ko
Bekarar Karengi,
95

Usey To Ehsas Tak Nahi Is


Mohabbat Ka Yaaro,
Kab Tak Ye Dhadkane Uska Aitbaar
Karengi.

136
Humne dil diya wo tere pyar ki
hadd thi,
Jaan di wo mere aitbaar ki hadd
thi.
Mar gaye par khuli rah gaye aankhe
meri,
Wo meri intzaar ki hadd thi.

137
Voh Sadak Ke Us Paar Thi
Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh
Aage Badhi
96

Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh


Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh
Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar The, Aur
Voh Sadak Ke Is Paar Thi.
138
Zindagi Mein Hamesha Naye Log
Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam bhi
Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna aaj ki
shaam
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe
Hum Milenge !

Teri yaadon ke chiragon ko jalaya


har shaam,
Teri baato ko seene Se lagaya har
shaam,
Maangi Rab se teri khushi ki
97

duayein subhah sham,


Tanha baith ke haatho ko uthaaya
har shaam.
139
Chaha ke ye sara Aasma hamara
hota,
Khwahishon ka bhi koi kinara
hota,
Ye soch kar na Roka us musafir ko
humne,
Door jata hi kyun agar wo hamara
hota.
140
Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar
Ubharta Hai,
Samandaron Hi Ke Lahron Mein
Baat Karta Hai

Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke


Bujh Gaye Hote,
Koi To Hai Jo Hawaaon Ke Par
Katarta Hai.
98

141
Sharaafaton Ki Yahaan Koi Ahmiyat
Hi Nahin,
Kisi Ka Kuchh Na Bigaado To Kaun
Darta Hai
Zamin Ki Kaisi Vaqaalat Ho Phir
Nahin Chalti,
Jab Aasman Se Koi Faisla Utarta
Hai
Tum Aa Gaye Ho To Phir Chaandni
Si Baatein Ho,
Zamin Pe Chaand Kahaan Roz Roz
Utarta Hai.

142
Kisi insaan ka pehla pyar banna koi
badi baat nahi,
Banana hai to kisi ka akhri pyar
bano to sahi
Mat socho ki tumse pehle wo kisi
99

aur ki thi,
Koshish karo usey kisi aur ki
zarurat na padi.
143
Geet to hum bhi gate agar wo
aavaz hoti,
Baja to hum bhi lete agar wo saaz
hoti.
Kya bas shahjaha hi taj mahal bana
sakta hai,
Ham bhi bana sakte hai agar dil
mein koi mumtaz hoti.
144
Kuch Nahi Kehta Yeh Dil
Chupchaap Sa Rehta Hai,
Dard-E-Dil Itna Hai Ki Har Pal Ashq
Behta Hai,

Dekhta Hun Jab Bhi Kisi Toote


Huye Taare Ko,
Na Jaane Kyun Wo Kuchh Keh
Raha Sa Lagta Hai,
Yeh Duniya Kyun Itni Matlabi Ban
100

Chuki Hai,
Rishto Se Jyada Ab Paise Pe Kyun
Tik jaati Hai,
Har Ek Saks Dil Ko Seeshe Ki Tarah
Pehle Todta Hai,
Jaroorat Padti Hai To Phir Kyun Ise
Jodta Hai.
145
Main Alfaz Hoon Tera Har Baat
Samajhta Hoon,
Main Ehsas Hoon Tere Jazbaat
Samajhta Hoon,
Jab Poochha Maine Ki Kyun Door
Ho Gayi Mujhse,
Main Dil Rakhta Hoon Tere Halaat
Samajhta Hoon.

146
Apne Karam Se Wo Mera
Muqqaddar Bana Gaye,
Ek Qatre Ko Pal bhar Mein
Samundar Bana Gaye,
101

Phoolon Se Bhi Jyada Narm Tha,


Kabhi Dil Ye Mera,
Itna Tadpaaya Usne Ki ab ham
Patthar Bann Gaye.
147
Tere liye dhadakta hai dil mera,
Fir bhi dil ki dhadkan udaas hai,
Shayad dil mera yeh janta hai,
Ki tere liye to koi aur khas hai.
148
Ek raat rab ne mere dil se poochha,
Tu pyar mein itna kyon khoya hai,
Tab Dil bola Dosto ne hi di hai saari
khushiya,
Warna pyar karke to Dil hamesha
roya hai.

149
Nigahein Nigahon Se Mila Kar To
Dekho,
Jara Hamse Rishta Bana Kar To
Dekho,
Hasrate Dil Mein Dabane Se Kya
Faiyda,
102

Apne Honto Ko Hila Kar meri or To


Dekho,
Aasman Simat Jayega Tumhare
Aagosh Mein,
Jara Chahat Ki Bahein Faila Kar To
Dekho.
150
Bahot Khubsurat hai ye aankhe
tumhari,
Isko bana do kismat hamaari,
Hame kuchh nahi chahiye is zindgi
mein,
Agar mil jayegi hame mohabbat
tumhari.

151
Nigaho se wo is dil mein samaye,
Jab ashk bahe to palko par aaye,
Dar hai kahin wo kho hi na jaye,
Palko ko ab hum kaise jhukaye.
152
103

Meelon ke faaslo mein bhi duri na


ho,
Baat na ho, aisi majburi na ho,
Meri tamanna hai hum Dost rahein
uamr bhar,
Aap bhi dua karna ki ye dua meri
adhuri na ho!
153
Justaju hai tumhe pane ki,
Jarurat nahi kisi bahane ki,
Ab ham se dur na raho,
Mita do ye sabhi duriyan,
Maan lo baat apne diwane ki.

154
Woh ishq bhi kya ghajab raha hoga,
Woh ishq bhi kya rang laaya hoga,
Heer jis mein pyar ki putli huyi thi,
Aur Ranjha jis mein diwana raha
hoga.
104

155
Duniya se mile gum to bahut hain,
In mile gamo se ankhein num to
bahut hain,
Kab ke marr jaate in gamo ko sah
kar.
Par dosto ki duawon mein dum bhi
bhut hai.
156
Tum Se Door Rahoon Magar Kaise
Haal-E-Dil Bhi Kahoon Magar Kaise
Bahut Samjhaya Is Pagal Dil Ko Ae
Sanam
Dil Ko Mazboor Karoon Magar
Kaise
Kuchh To Kehti Hai Aankho Se Woh
Bhi
Woh Baat Kagaz Par Likhoon Magar
Kaise.
157
Mere Nazdeek Aa Ke Dekh Mere
Ehsaas Ki baat
Mera Dil Kitna Dharakta Hai Sirf
Tere Naam Ke Saath.
105

158
Dil aur Pyaar ki ladaayi ne mujhe
barbaad kar rakha hai,
Na to pyaar shikasht khata hai aur
na dil haar manta hai.
158(i)
Hum aapko dil hi dil mein chahte
rahenge,
Mohabbat ka na kabhi izhar
karenge.
Tum na aaoge sanam ye jaante
hain hum,
Phir bhi har mod pe aapka intezar
karenge.

159
Mohabbat woh haseen Gunaah hai,
Jise har insaan khushi Khushi karta
hai,
106

Par Mohabbat mein Intezaar to wo


saza hai,
Jo sirf wo karta hai, Jo such mein
Mohabbat karta hai.
Teri Khushi Se Nahi Gam Se Bhi
Rishta Hai Mera,
Tu Zindgi Ka Ek Anmol Hissa Hai
Mera,
Meri Mohabbat Sirf Lafzo Ki
Mohtaaz Nahi,
Teri Rooh Se Rooh Ka Rishta Hai
Mera.
160
Badi Mushkil Se Bana Hoon, Toot
Jane Ke Baad
Mai Aaj Bhi Roo Deta Hoon,
Muskurane Ke Baad
Tujhse Mohabbat Thi Mujhe
Beintiha Lekin

Aksar Yeh Mehsus Hua Tere Jane


Ke Baad
Ab Tak Dhundh Raha Hoon Apne
Andar Ke Uss Shakhs Ko,
107

Jo Nazar Se Kho Gaya Hai Nazar


Aane Ke Baad.
161
Logo Ne Kaha Ki Mai Sharabi ho
gaya Hoon,
Maine Kaha Unhone Ankhon Se
Pilai Hai,
Logo Ne Kaha Ki Mai Ashiq ho
gaya Hoon,
Maine Kaha Ashiqi Unhone hi
Sikhai Hai,
Logo Ne Kaha Tu Shayar Diwana
ban gaya Hai,
Maine Kaha Unki Mohabbat ab
Rang Lai Hai.

162
Har savaal mein ek javaab chhipa
rehta hai,
Har baat me ek baat chhipi rehti
108

hai.
Agar dhyaan se dekho to har ek dil
mein,
Ek anjaan sa dard chhipa rehta hai.

163
Uska haal kya hoga Yahi gam
satata hai
Neend bhi nahi aati dard badhta
jata hai
Jindgi ki raho mein log hamse
khelte hain
Ek mein bhi tanha the so mein bhi
akele hain.

164
Sona chahta hoon par neend nahi
aati hai,
Badal badal ke karwate yunhi raat
109

guzar jati hai,


Kar bhi le pyaar ka izhar ye meri
jaane jigar,
Akhir kyon tu mujhe itna tadpati
rahti hai.

165
Pyar Ki Anokhi Murat thi meri
mehbooba
Zindagi Ki Ek Zaruat thi meri
mehbooba
Phool To Khoobsurat Hote Hi Hain
Par
Phoolo Se Bhi Khoobsurat thi meri
mehbooba.

166
Haan mera har lamha chura liya
aapne ,
Aakho ko ek chaand dekha diya
110

aapne ,
Hume zindagi di kisi aur ne ,
Par pyaar itna dekar jeena sikhaya
aapne.

167
Meri Har Khata Pe Naraz Na Hona,
Apni Pyari Si Muskan Ko Kabhi Na
Khona,
Sukun Milta Hai Apki Hansi
Dekhkar
Mujhe Maut Bhi Aajaye Tab Bhi Mat
Rona.
168
Kitab-E-Ishq Padh Rahe The
Mera Bhi Naam Usme Juda Mila
Maine apne Naam Ka Panna Khola
Kismat Dekho Wahi Panna FATA
mila.
169
Baadalon ke darmiyan kuchh aisi
saazish hui,
Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar
baarish hui,
111

Usko bhi zid hai bijliyan girane ki,


Aur hamein bhi zid hai wahin
aashiyan banane ki.
170
Dil ko adat si ho gai hai Chot khane
ki
Bhigi palko ke sang Muskurane ki
Kash anjaam hum pehle se jaan
jaate
To koshish na karte Dil lagaane ki.
171
Aaj hame ye duniya tera deewana
nahi,
Mera dushman maante hai.
Maine aapse kitni mohabbat ki thi,
Usse koi jaane ya na jaane,
Magar mera dil jaanta hai.

172
Jee Bhar Ke Dekhoon Tujhe Agar
Tujhko Gawara Ho;
Betab Meri Nazrein Ho aur Pyar
Tumhara Ho;
112

Jaan Ki Fikar Ho Na Zamaney Ki


Parwah;
Ek Tera Pyar Hi Sirf Hamara Ho.
173
Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si
Shaam Hone Do
Mein Khud Hi Laut JaawonGa
Mujhe Nakaam Hone Do
Mujhe Badnaam Karne Ke Bahane
Dhoondte Ho Kyon
Mein Khud Ho JaawonGa Badnaam
Pehle Naam Hone Do
Abhi Mujh Ko Nahi Karna Aitraaf-EShikast
Mein Sab Tasleem Kar LoonGa Ye
Charcha Aam Hone Do
Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik
Nahi Sakta
Wafein Bech Lena Par Zara Nelaam
Hone Do.

174
Tum Jo Chhorr Jaoge Hum To Mar
Hi JayenGe
113

Tumharey Dam Se Zindagi Hai Sirf


Itna Yaad Rakhna
Meri Aankhon Mein Neend Ban Ke
Reh Jao Ab To
Tumhrey Intezar Mein Kitni Raton
ko soya nahi Hai.
175
Naye Aaghaaz Mein Hai Hosla Kyon
door Baythe Ho
Tum Sab Kuch Jeet JaawoGe Zara
Anjaam Hone Do!
176
Wo Meri Qismat Mein Nahi Ye Suna
Hai Logon Se
Phir Sochta Hoon Qismat Rab ne
Likhta Hai Log Nahi
Tum Sath ho To Muqaddar Pe
Hukumat hai Apni
Bin Tere mere Zindagi Ki Auqaat Hi
Kya Hai.

177
Mujhe ChhornEy Ka FaislA To Roz
Karta Hai Wo Shakhs
114

Magar UskA BaSs Nahi Chalta Meri


Wafa Ke Samney.
178
Itna Na Tarpawo Ke Koi Gunaah
Kar Loon Main,
Phir Na Kehna Ke Kyun Barbaad
Kiya Khud Ko
Teri aur Meri Muhabbat Ke Liye.
179
Toofan Dard Ka Bana To Samhar
Jaunga,
Mein Teri Julf Nahi Jo Zindagi Mein
Bikhar Jaunga.
Yaha Se Udega To Ye Mat Puchhna
Ke Kaha Jaunga,
Mein To Dariya Hoon Samundar
Mein Chala Jaunga.

180
Ek Sawaal Hum Zindagi Se Kiya
Karte Hain
115

Ke Hum Is Duniya Mein Kyun Jiya


Karte Hain
Jab Kisi Ke Liye Kisi Ke Pass Waqt
Hi Nahi
Toh Log Kyun Rishta Bana Liya
Karte Hain.
Zindagi Se Badi aur koi Saza Hi
Nahi,
Aur Kya Jurm Hai Pata Hi Nahin
Kitne Hisson Mein Bat Gaya Hoon
Main,
Mere Hise Mein Kuchh Bacha Hi
Nahin.
181
Sach Ghate Ya Bade To Sach Na
Rahe,
Jhooth Ki Koi Intehaan Hi Nahin
JadDo Chandi Mein Chahe Sone
Mein,
Aaeena Jhooth Bolta Hi Nahin.

182
Zindagi bhar ke liye tera saath
Nibhana chahte hai,
116

Tumhari in ankho mein sada ke liye


bas jana chahte hai,
Suna Hai Zindagi Imtehan Leti Hai
Dosto
Par Yahan To Imtehano Ne Zindagi
Leli hai.
183
Ujaale apni yaadon ke humare
saath rehne do
Na jaane kis gali mein zindagi ki
shaam ho jaaye.
184
Jaane Naa Kahan Wo Duniya Hai,
Jaane Naa Wo Hai Bhi Ya Nahi,
Jahan Meri Zindagi Mujhse Itni
Khafa Nahi.
Jaane Naa Kahan Wo Duniya Hai,
Jaane Naa Wo Hai Bhi Ya Nahi,
Jahan Meri Zindagi Mujhse, Itni
Khafa Nahi.

185
Kaate Nahin Kat Te Lamhe Intezaar
Ke
117

Nazaren Bichaein Baithe Hain


Raste Pe Yaar Ke
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husne
Yaar Ke
Laya Hain Unhe Kaun Falak Se
Utaar Ke.
186
Sapna Aisa Dekho Ki Aasmaan Tak
Ja Sako,
Dua Aisi Karo Ke Rab Ko bhi Paa
Sako,
Yun To Zindagi Jine Me Bahot Kam
Pal Hai,
Jiyo Aise Ki Har Pal Mein Zindagi
Paa Sako.

187
Subah ka har pal jindagi de aap ko
Din ka har lamha khushi de aap ko
118

Jahan gham ki hawa chhu ke bhi na


guzre
Rab wo jannat ki jameen de aap ko.
188
Khubsurat sae k pal kissa ban jaata
hai
Jaane kab kaun zindagi ka hissa
ban jaata hai
Kuchh log zindagi mein milte hain
ayse
Jinse kabhi na tutnewala rishta ban
jaata hai.
189
Aahista chal ay jindagi, kuchh karz
chukane baaki hain
Kuchh ke dard mitane baaki hain,
kuchh farz mitane baaki hain.

190
Teri dosti ne diya sukoon itna, ke
tere baad koi bhi achcha na lage
119

Tujhe karni ho bewafaai to is tarah


se karna
Ki tere baad koi bhi bewafa na
lage.
191
Udhas lamho kin a koi yaad rakhna
Tufaan me bhi wazood apna
sambhaal kar rakhna
Kisi ke jindagi ki khushi ho tum,
wahi soch kar tum apna khyaal
rakhna.
192
Ab aur mazil paane ki hasrat nahi
Kisi ki yaad me mar jaane ki fitrat
nahi
Aap jayse dost jab se mile
Kisi aur ko dost banane ki jarurat
nahi.

193
Kho kar paane ka maza hi kuchh
aur hai
120

Ro kar muskurane ka maza hi


kuchh aur hai
Haar to jindagi ka hissa hai mere
dost
Haarne ke baad jeetne ka maza hi
kuchh aur hai.
194
Kuchh patthar me bhi phool khil
jaate hain
Kuchh anjaane bhi apne ban jaate
hain
Is kaatil duniya me kuchh laash ko
kafan bhi naseeb nahi hote
To kuchh laash par taaj mahal ban
jaate hain.

195
Hansna aur hasaana koshish hai
meri
121

Har koi khush rahe yeh duwa hai


meri
Bhale hi koi mujhe yaad kare na
kare
Par apne ko yaad karna aadat hai
meri.
196
Khaayen hain laakhon dhokhe
Ek dhokha aur she lenge
Tu leja apni doli ko
Hum apni arthi ko baarat keh lenge.
197
Koi to dost mere jindagi me aysa
ho
Phoolon ke tarah ho wafaawon
jaysa ho
Mere talaash ki hadd us par khatam
ho jaaye
Zameen par ho magar aasmaan
jaysa ho.

198
Waqt, dost aur rishte, wo cheezen
hain jo hame muft me milti hain
122

Magar inki keemat ka pata tab


chalta hai jab ye kahin kho jaate
hain.
199
Jindagi me agar tum akele ho to
pyaar karna seekh lo
Aur pyaar kar liya hai to intazaar
karna bhi seekh lo
Agar intazaar karna nahi seekha
hai to
Jindagi bhar pyaar ke yaadon mein
rona seekh lo.
200
Apne aankhon mein rahne waalon
ko yaad nahin karte
Dil mein rahne waalon ki baat nahin
karte
Hamari to ruh mein bas gaye ho
aap
Tabhi to ham aap se milne ki
fariyaad nahi karte.

201

123

Yaad mein tere aahen bharta hai


koi har saans ke saath
Maut jindagi ki sachchai hai aakhir
ek roj to aani hai
Tujhi ko ye dil yaad karta rahta hai
chaahe tu door rahe ya phir saath
Sach to yahi hai meri jaan teri
judaai mein har roj yahan koi marta
hai.
202
Na wo kabhi mere paas aa sake na
ham kabhi unke paas ja sake
Na apne dil ka dard ko bujha sake
na us ko kisi ko suna bhi sake
Bas khamosh baythe hain yahin
unki madhur yaadon mein
Na kabhi unhon ne yaad kiya aur na
ham unko kabhi bhula sake.

203
124

Is jahaan mein na jaane kaun si


baat mere liye aakhri ho
Na jaane ke kaun si hamari
mulakaat bhi yahan aakhari ho
Is liye har raat yahan ham sabko
yaad kar ke hi sote hain
Pata nahin ki is jindagi mein meri
kaun si raat aakhari ho.

204
Aaj kal unka kahna hai ki wo ab
mazboor hain
Na chaahate huye bhi wo ham se
door hain
Chura li hai unhonne dil ki
dhadkane hamari
Phir bhi kahate hain ki ab ham
mazboor hain.

205
125

Hamare beech mein dooriyan bahut


hai lekin yeh samajh lo
Ham paas rah ke bhi is jindagi mein
koi rishta nahi bana sake
Ab chalo kuch din tak ek dooje se
bichhad ke bhi dekh lo
Tum dil ke paas itna ho ki ham
dooriyon ka ehsaas na kar sake.
206
Us aakaas ke chaand par bhi kaali
ghata chhaati to jarur hogi
Un aakaas ke chamakte sitaaron
ko muskuraahat aati to hogi
Ham tum laakh chhupaate rahe
apne dard duniyan se magar
Jab ham akele hote honge to ek
dusare ki yaad aati to hogi.

207
126

Aaj ki is kadi vaarish mein tere


sangh nahaane ka dil karta hai
Tum ko chahe bura lage par mera
yeh sapna bada suhana hai
Varish ki wo chandi boonde jo
girengi hamare honthon par
Unhein ham dono ko apne apne
honthon se hi uthaana hai.
208
Agar ham chaahen ki tum meri aur
main tera ho jaawoon
Hamari har raat roshan ho aur badi
khoobsurat sabera ho
Mere pyar ka silsila wayse chalta
rahe jayse main chaahoon
Kaamyaab har manzil pe ham dono
ko har haal mein hona ho
Pyar karne waalon ki har hasti mit
jaati hai aashiyan banane mein
Is duniya mein badi mushkil hoti
hai apne aap ko samjaane mein

127

Dukh to yahi hai ki ek hi pal lagta


hai ab kisi ko bhula dene mein
Magar sachh hai saari jindagi lag
jaati hai kisi ko apna banane mein.
209
Yeh kaisi duniya hai jahan koi
judaa ho gaya koi khafa ho gaya
Na jaane mere is jindagi mein
hamse bhi kitna gunah ho gaya
Na jaane kitne pooja kiye kitne
sajde kiye kisi ko paane ke liye
Jis mehfil mein unko paana tha ant
mein usi ka qaza ho gaya.
210
Bahut bebas aur jaalim lagti hai
jindagi jab dhokha khaate hain
Dil toot jaata hai yeh jeewan ke sab
din tanha lagne lagte hain
Ganimat hai marne ke baad yahan
chaar kandhe mil jaate hain
Jite ji yahan do pyar karne waale
ek dooje ke liye taraste hain.

128

211
Kisi waqt yeh na poochhiye
hamare intazaar ke kitne aalam
hain
Main ne jab bhi pukaara unko yahi
suna ki bas aa rahi hoo main
Ab to ek dam se thak gaye hain
ham unki intazaar karte karte
Yeh dil bechaara toot gaya hai
unse kitne taqraar karte karte
Baaten bahut karna chahte the
ham unse par ruk gaye kahte kahte
Ab to do sabdh bhi nahi nikalte toot
gaya ek tarfa pyar karte karte.
212
Is duniyan mein pyar karne waale
bhi bade ajeeb hote hain
Mil kar kabhi bichhad jaate hain
door to kabhi kareeb hote hain
Kar to dar na kar to bhi dar sab din
hamko ungali pe nachaate hain
Dard na batawo to hamko kaayar
kahte hain bata do to shaayar
kahte hain.

129

213
Unko dilo jaan se chaahana hi
hamari sab se badi kamjori hai
Apne sachhe pyar ka izhaar na kar
paana hamari mazboori hai
Unka hamare khamoshiyon ka
sabab samajh lena hi jaruri hai
Main poochhta hoon kya duniya
mein pyar ka izhaar karna jaruri
hai.
214
Yahan hamare mohabbat ka rishta
bhi kitnta ajeeb hota hai
Mil jaaye to baaten lambi aur
bichhad jaayen to yaaden lambhi
hoti hai.
215
Mere jindagi mein andhere bahut
hain kin kin ko hataawoon main
Jab pariwartan ki bela aati hai to
pyar karoon ya geet gaawoon main
Kin kin dil waalon ko rakhoon main
apne in sooni baahon mein

130

Kin deepon se roshan karoon main


apne in banzar raahon mein
Kaysi mushkil ghadi aayi hai kahna
chahta hoon to shabdh nahin
Kayse chhutkaara doon apne dil ke
dhadkan ko jis mein koi jaan nahin.
216
Saath hamara pal bhar ka tha yun
hi sahi
Par wo pal jaysa mukammal koi bhi
pal nahi
Shaayad ho jaaye milan phir se
hamara kahi
Aap jo nahi to aapki madhur yaaden
hi sahi.
217
Yeh zindagi bhi ajeeb hai itna dukh
dard deti hai
Yeh dil bhi dil hai jo apne pe
ummeed rakhti hai
Jab yeh dil kahti hai ki ab kuchh
nahin hone wala hai
Dil dhadakti hai par kuchh to hoga
yeh ummeed kahti hai.

131

218
Wo paas aaten hai to kabhi door
chale jaaten hain
Akele to the hi ham aur akele hi rah
jaaten hain
Ab is dil ki jakham aur dard to
dikhaye nahi jaate hain
Yahan sabhi malham lagaane
waale hi jakham de jaate hain.

219
Aaj kal hamari aankhen koi bhi
aansuwon se nam nahi hoti hai
Samajhne waale bhi samajh lete ki
mujhko koi gham nahi hoti hai
Kabhi kabhi ham bhi tadap ke ro
dete hain to kuchh nahin hota hai
Mere jaysa gham ko chhupa ke
hansne waala kuchh kam nahin
hota hai.

132

220
Mubarak ho doston khushiyon se
bhari yeh raat
Unke saajan maangne aaye hain
sajni ka haath
Salamat rahe sada yeh jodi aur
saajan sajni ka saath
Phoole phalegi jeewan rahenge
dulha dulhin jab saath.
221
Main apne bagiche se todd leta
unko agar wo gulaab hoti
Main unka sabhi jawab banta agar
wo mera sawaal hoti
Hamare sabhi dost jaante hain ki
hamko nasha nahi hoti
Lekin phir bhi ham peete rahte agar
wo sharaab hoti.

133

222
Hamare janano ke kapde ho gaye
chhote ab sharm kahan se aaye
Hamare sabhi anaaj ho gaye
sasaayanik, sawaad kahan se aaye
Hamare bhojan bante hain sookhe,
tab taakat kahan se aaye
Sabhi netaa chpak gaye kurshi se,
desh mein khushi kahan se aaye
Hamare yahan ke phool huye
plastik ke, khushboo kahan se aaye
Saadgi wale chehre pe lagi hai
maykap, ab roop kahan se aaye
Shikchhakon ki talab gir gayi, ab
bachhon mein padhai kaha se aaye
Dharam karam sab bigad gaye, tab
sanskaar kahan se aaye
Insaan poojta hai paysa ko, ab daya
daan kahan se aaaye
Nal ke jal mein kemikal mil gaye,
ab ganga jal kahan se aaye
Sab santon ka ho gaya ant, ab
satsangat kahan se aaye
Hamare bhakt ho gaye ashakt ab
bhagwaan kahan se laaye.

134

223
Agar yeh jindagi haseen ho jaaye to
ham us se pyar karen
Jab jindagi mein raat aa jaaye to
subah ka intazaar karen
Shaayad kabhi aysa bhi waqt
aajaaye jiska hamko intzaar hai
Bhagwaan par bharosa rakhna hai
aur waqt par aytwaar karna hai.

224
Kisi din ham bhi sab ke nazron se
door ho jaayenge jarur
Na jaane kahin bade door fizaawon
mein kho jaayenge jarur
Tab mere yaadon se lipat ke mere
pyare rone aayenge jarur
Par tab badi der ho jayegi kyun ki
chita mein jal jaayenge jarur.

135

225
Iltija hai ki nahin bulana mere
bichhade sanam ko mere janaze
par
Fikar hai ki meri jaan paydal hogi
aur main chaar logon ke kandhe
par.
226
Aaye the zindagi mein wo bahar
banke
Chha gaye the ham par wo pyar
banke
Par chale gaye hain wo ajnabi
banke
Yaadon mein rah gaye wo phool
banke.

136

227
Ab Meri Dhadkano mein Aap ka Hi
Raaz Hai,
Meri har Baat Ka Bas Yehi Andaz
Hai,
Hamne dosti mein Kabhi Bewafai
Nahi Ki Hai,
Aap ke Dosti Pe hamKo Hamesha
Naaz Hai.
228
Dosti Ki Gehrai Judai Mein bhi Hoti
Hai,
Is judai mein aap se Baatein Hoti
Rehti Hai.
Par Baaton se Dosti Jinda Raheti
hai,
Tabhi Usme sab din Sachai Hoti
Hai.

137

229
Mere jism ke dhadkano mein jiski
aazaadi hai,
Us pe raaz hai jiska tu hi wo
Shehzaadi hai.

230
Jeene ke tareeke,
tum to auron ko bataate ho
Lekin khud apni mutthi mein meri
jaan liye baithe ho.
In haanhon mein tere naam ki
lakeer to hai
Par haanthon mein tera haanth aa
jaye to kafi hai.
Filhaal itna hi arj karne ki meri tamanna
hai
Kabhi rone se fursat mili to aur sunana
hai

138

139

This book was distributed courtesy of:

For your own Unlimited Reading and FREE eBooks today, visit:
http://www.Free-eBooks.net

Share this eBook with anyone and everyone automatically by selecting any of the
options below:

To show your appreciation to the author and help others have


wonderful reading experiences and find helpful information too,
we'd be very grateful if you'd kindly
post your comments for this book here.

COPYRIGHT INFORMATION
Free-eBooks.net respects the intellectual property of others. When a book's copyright owner submits their work to Free-eBooks.net, they are granting us permission to distribute such material. Unless
otherwise stated in this book, this permission is not passed onto others. As such, redistributing this book without the copyright owner's permission can constitute copyright infringement. If you
believe that your work has been used in a manner that constitutes copyright infringement, please follow our Notice and Procedure for Making Claims of Copyright Infringement as seen in our Terms
of Service here:

http://www.free-ebooks.net/tos.html

You might also like