You are on page 1of 8

Maine Tujhe Kabhi Kuch Kaha Tha Lyrics

Maine tujhe kabhi kuch kaha tha


Jo bhi kaha wo kiya
Arre maine tujhe kabhi kuch kaha tha
Jo bhi kaha wo kiya
Sada ke yeh rishte nibhaane hain sada
Maine tujhe kabhi kuch kaha tha
Jo bhi kaha wo kiya haan
Sada ke yeh rishte nibhaane hain sada
Maine tujhe haan kabhi kuch kaha tha
Jo bhi kaha wo kiya

Doolha banoonga main, baja bajega


Dulhan banegi tu, mandap sajega
Doolha banoonga aaha
Main baja bajega
Dulhan banegi tu, mandap sajega
Phir tu meri maang yun bharega
Ho jo bhi kaha wo kiya
Sada ke yeh rishte nibhaane hain sada
Maine tujhe kabhi kuch kaha tha
Jo bhi kaha wo kiya

Phoolon ki sej pe do dil milenge


Mehakegi zindagi sapne khilenge
Phoolon ki sej pe ho ho
Do dil milenge
Mehakegi zindagi sapne khilenge

Har daur mein apna pyaar hansega


Jo bhi kaha wo kiya
Sada ke yeh rishte nibhaane hain sada
Maine tujhe kabhi kuch kaha tha
Jo bhi kaha wo kiya

Apna to mel hai sadiyon purana


Juda kar sakega na humko zamana
Apna to mel hai sadiyon purana
Juda kar sakega na humko zamana
Main hoon teri, tu bhi mera rahega
Jo bhi kaha woh kiya
Sada ke yeh rishte nibhaane hain sada
Maine tujhe kabhi kuch kaha tha
Jo bhi kaha wo kiya
Jo bhi kaha wo kiya.

Ishq Mera Bandagi Hai Lyrics


Ishq mera bandagi hai
Ishq meri zindagi hai
Aashiqon ka arsh dera
Aashiqon ka farsh dera
Aashiqon ke saaton jahan

Ishq mera bandagi hai


Ishq meri zindagi hai
Aashiqon ka arsh dera

Aashiqon ka farsh dera


Aashiqon ke saaton jahan
Ishq mera bandagi hai

Yoon to jahan mein


Sabhi naam ke hain yeh rishte
Jo ishq mein doob jaayein
Wohi hain farishte
Yoon to jahan mein
Sabhi naam ke hain yeh rishte
Jo ishq mein doob jaayein
Wohi hain farishte
Ishq mein hai woh khumari
Jo na utre umra saari
Din-ba-din yeh hogi jawan
Ishq mera bandagi hai
Ishq meri zindagi hai

Dil jismein shama jale ishq ki dil wohi hai


Maine to apne hi dil ki kahani kahi hai
Dil jismein shama jale ishq ki dil wohi hai
Maine to apne hi dil ki kahani kahi hai
Dharm apna aashiqi hai
Karm apna aashiqi hai
Ishq hi hai mera imaan
Ishq mera bandagi hai
Ishq meri zindagi hai

Aashiq wohi hai jo


Dooje ka gham jaane sehna

Tu is jahan mein kabhi na


Kisi se yeh kehna
Aashiq wohi hai jo
Dooje ka gham jaane sehna
Tu is jahan mein kabhi na
Kisi se yeh kehna
Ishq hai kya tu na jaane
Na suna tu yeh fasaane
Kyon kare yeh jhootha gumaan
Ishq mera bandagi hai
Ishq meri zindagi hai
Aashiqon ka arsh dera
Aashiqon ka farsh dera
Aashiqon ke saaton jahan
Ishq mera bandagi hai
Ishq meri zindagi hai.

Aisa Kabhi Hua Nahi Lyrics


Sunita Sunita Sunita..

Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua


Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua
Dekhte hi tujhe hosh ghum huye
Hosh aaya to dil mera dil na raha
Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua

Reshmi zulfein hain saawan ki ghataon jaisi


Palkein hain teri ghane ped ki chhanv jaisi
Bholapan aur hansi aafreen aafreen
Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua

Dekhte hi tujhe hosh ghum huye


Hosh aaya to dil mera dil na raha
Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua

Jheel si aankhon mein


Masti ke jaam leharayein
Jab honth khule tere
Sargam baje, mehke fizayein
Har adaa dil-nashin aafreen aafreen
Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua
Dekhte hi tujhe hosh ghum huye
Hosh aaya to dil mera dil na raha
Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua

Patli si gardan mein ek bal hai surahi jaisa


Andaz matakne ka dekha na kisi ne aisa
Gulbadan nazanin aafreen aafreen
Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua
Dekhte hi tujhe hosh ghum huye
Hosh aaya to dil mera dil na raha
Aisa kabhi hua nahi, jo bhi hua khoob hua.

Jeene Ko To Jeete Hain Sabhi Lyrics


Jeene ko to jeete hain sabhi
Pyar bina kaisi zindagi
Jeene ko to jeete hain sabhi
Pyar bina kaisi zindagi
Aao mil-jul ke sukh-dukh baantein
Kyon hum rahein ajnabi

Humsafar hain sabhi

Jeene ko to jeete hain sabhi


Pyar bina kaisi zindagi
Aao mil-jul ke sukh-dukh baantein
Kyon hum rahein ajnabi
Humsafar hain sabhi

Sur mein hamaare aake sur to mila


Pyar bhare naghme zamane ko suna
Sur mein hamaare aake sur to mila
Pyar bhare naghme zamane ko suna
Luta de kisi ke liye tu apni khushi
Jeene ko to jeete hain sabhi
Pyar bina kaisi zindagi
Aao mil-jul ke sukh-dukh baantein
Kyon hum rahein ajnabi
Humsafar hain sabhi

Tum bhi gao na

Apne liye jo bhi jeete hain yahan


Unko bhula de ek pal mein jahan
Apne liye jo bhi jeete hain yahan
Unko bhula de ek pal mein jahan
Rahenge dilon mein jo baantein sabko hansi
Jeene ko to jeete hain sabhi
Pyar bina kaisi zindagi
Aao mil-jul ke sukh-dukh baantein
Kyon hum rahein ajnabi

Humsafar hain sabhi


Jeene ko to jeete hain sabhi

Shikwe gile bhi hain pyar ki adaa


Kyon na bhula dein jo bhi hua
Shikwe gile bhi hain pyar ki adaa
Kyon na bhula dein jo bhi hua
Milenge dilon mein jalaa ke lau pyar ki
Jeene ko to jeete hain sabhi
Pyar bina kaisi zindagi
Aao mil-jul ke sukh-dukh baantein
Kyon hum rahein ajnabi
Humsafar hain sabhi.

Mil Gayi Aaj Do Lehrein Song Lyrics

Taalaab mein yoon kankar phenko


Kitne hi toofan uthaade
Ik chalti phirti laash mein phir
Jeene ke armaan jagaade

Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah


Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Ab na saahil mile to koi gum nahin
Haath mein haath le yoon hi chalte rahen
Ab na manzil mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah

Pyar ka ek pal itna anmol hai


Pyar bin saare jeevan ka kya mol hai
Pyar ka ek pal itna anmol hai
Pyar bin saare jeevan ka kya mol hai
Saari duniya mein jis pal ka charcha rahe
Saari duniya mein jis pal ka charcha rahe
Aisa ik pal mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Ab na saahil mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah

Jee rahe the isi aas pe hi sanam


Ek na ek din mil hi jaayenge hum
Jee rahe the isi aas pe hi sanam
Ek na ek din mil hi jaayenge hum
Mil gaye to mili ek nayee zindagi
Mil gaye to mili ek nayee zindagi
Maut ab kal mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Ab na saahil mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Mil gayeen mil gayeen
Mil gayeen mil gayeen
Mil gayeen mil gayeen.

You might also like