You are on page 1of 1

Main Aur Mera Laptop Aksar ye baaten karte hain……..

-------------------------------------------------------------------

Jaise hi ghar se Satsang ko nikla, mein hokar TIP TOP,


Peeche se chidaate hue, kuch yun bola mera LAPTOP.
Satsang mein jaane waale, O dikhaave ke putle,
Gyan ki kuch CHATTING-SHATTING humse bhi karle.
Uske chidaane par aaya mujhe bahut gussa,
Aur mein LAPTOP par jor se barsa.
Bijli ke yantra, SWITH-OFF kar doonga gar jyaada karega baat,
Wo bola, abe jaa, pehle aaine mein jaakar dekh apni aukaat.
Dekh tere Dil ki HARD DISK par, kaise-kaise SOFTWARES ka jaal hai,
Ninda, Nafrat aur Irshya, sabhi SPYWARES to INSTALLED hain.
Inki wajeh se Pyaar ka PROGRAMME theek se RUN nahin ho paata hai,
Aur Manmat ka khatarnaak VIRUS, free mein DOWNLOAD ho jaata hai.
Phir ye VIRUS, Gurumat ki FILES ko READ-ONLY kar deta hai,
Mann ka PROCESSOR chahe STRONG ho, phir bhi ye SYSTEM HANG kar deta hai.
Vaise Nirankar ka SERVER to kabhi DOWN nahin hota hai,
Hamesha tumhara CONNECTION hi TIME OUT hota hai.
Maine LAPTOP ki baton mein, haan mein haan to milaai,
Par khud ko sharm se bachaane ki ek yukti yaad aayi.
Maine kaha- Sewa, Simran aur Satsang ka ANTIVURUS bhi to INSTALL kiya hai,
Aur mann ke SYSTEM ki MAINTAINENCE(AMC) ka CONTRACT Satguru ko jo diya hai.
LAPTOP ne mujhe pyaar se bulaaya,
Aur vyang kaste hue yun samjhaya.
Beta,
Jab Satguru ke vachnon ki EMAILS tumhare mann ke INBOX mein aati hain,
Aur bina padhe hi wo sabhi, doosron ko FORWARD ho jaati hain,
To kewal vachan tumhara kya khaak bhala karenge,
Bachoo, unpe amal kya tumhare chachcha karenge.
Unhen dimaag mein COPY karke, karm mein PASTE karma jaroori hai,
Aajkal LATEST HARDWARE mein, MEMORY ki kahaan majboori hai.
Namrata aur Vishaalta ka SOFTWARE INSTALL karke dekh, phir khoob aish hogi,
Yadi Gyan ka PASSWORD yaad raha, to Sahensheelta ki APPLICATION kabhi nahin CRASH hogi.
Par apne ANTIVIRUS ko UP-TO-DATE karna REPEAT karo,
Aur Ahankar ke VIRUS ko turant CTL+ALT+DELETE karo.
Nirankar prabhu ki WEBSITE pe jaane ke liye, Sakaar Guru ke ICON par DOUBLE CLICK karo,
Phir Anand ke INTERNET EXPLORER se jitni chaho, utni khushiyaan PICK karo.
Tumhari Jholi ka DISK SPACE yakeenan kam padh jayega,
Par iski Rehmaton ka DOWNLOAD khatm na ho payega.
Maine LAPTOP ki bat ko sweekar kiya,
Aur uske sachche sandesh ko namaskar kiya.
(Ardaas)
Hum Bhakti ki WINDOWS mein rahen LOGIN, aur kabhi naa hon LOGOUT,
Bharam rahen phir RECYCLE BIN mein, maaya ki naa ERROR na DOUBT.
Hum sab prabhu ke INTERNET se, sada khud ko rakhen CONNECT,
LIFE ke SHUTDOWN hone se pehle, poora karein PROJECT.
**************************Atul Dhawan*********************

You might also like