You are on page 1of 2

Sher:

Unke dekhe se jo aajati hai muh par rounak


Wo samajhte hain beemar ka haal achcha hai.
Hamko maalum hai jannat ki haqikat lekin
Din ke khush rakhne ko Ghalib ye khayaal achcha hai.
Ghazal: Taskin Ko Hum Naa
1.Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazar mile,
Huraan-e-khuld mein teri surat magar mile.
2.Apni gali mein mujhko na kar dafan baad-e-qatal,
Mere pate se khalaq ko kyon tera ghar mile?
3.Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham,
Har shab piya hi karte hain, mai jis qadar mile.
4.Tujh se to kuchh kalaam nahin lekin ai nadim!
Mera salaam kaheyo agar naama bar mile.
5.Tum ko bhi ham dikhaenge Majnun ne kya kiya,
Fursat kashaakash-e-gham-e-pinhaan se gar mile.
6.Laazim nahin ke khizar ki ham pairwi karen,
Maana ke ek bazurg hamen ham safar mile.
7.Ai saaknaan-e-kucha-e-dildaar dekhna,
Tum ko kahin jo Ghalib-e-aashufta sar mile.
Taskin : Consolation, Zauq _ Taste, Hoor Fairy, Khuld- Paradise
Khalk- People, Kashaakash- Puzzle, Pinahan- Secret, Sakinan- Inhabitants, Steady
Kucha- Narrow lane, Aashuftasar Uneasy, Restless.
taskeen-----------pleasure/khushi
hooran-e-khuld----------------Jannat ki hoorein
baad-e-qatl---------------------Qatl/maarne ke baad
Kashahkash-e-Gham-e-Pinhaan.............pareshaniYon/troubles aur gham se fursat
Saakanaan-e-Koocha-e-Dildaar ..............neighbours of my belove
Aashufta.................................................deewana/mad

Sheir No. 1
Shair kehta hai ke agar mujhe aik baar bhi apney mehboob ko dekhney ka mauqa mil
jaye to main kyun rota phiroon, aur kis baat ka gila karoon, chahey teri soorat
jannat ki hooron se bhi kyun na miley, mujhe to bas is dunya mein teri soorat d
ekhney ki aarzu hai. (Is sher ka aik aur matlab bhi hai, lekin wo haqeeqi meanin
gs mein hai, yani jis ka taaluq aik khaas nazariye se hai, therfore, I donot thi
nk it appropriate to write that meaning)
Sheir No. 2
Mirza kehtey hain ke ae mere mehboob tu mujhe qatal karney ke baad apni gali mei
n dafan na kar, is liye ke main nahin chahta ke log meri qabar dhoond kar tere g
har tak paunch jain, goya shair ka jazba-e-raqaabat is baat ka rawadaar nahin ha
i.
Doosra ye bhi matlab ho sakta hai ke agar logon ke meri qabar mil gayee to ho sa
kta hai ke wo tujh se mere qatal ke baarey mein tarah tarah ke sawalaat karen, a
ur main ye baat bardaasht nahin kar sakta ke meri waja se mere mehboob ko taklee
f paunchey.
Sheir No. 3
Ghalib farmaatey hain ke agar tum aaj by chance saaqi ban hi gay ho, to please ,
khudaara apney profession ka maan aur khayaal rakho, kyunke saaqi ka to kaam hi
sharaab pilana hota hai, is liye jitni sharaab pila saktey ho pilao, is mein tu
mhaari hi izzat hai, warna main to har roz hi sharaab peeta hoon, jitni bhi mujh
e milti hai.
Sheir No. 4
Is sher ki tashree hamein Mirza Ghalib ke baqaul yoon milti hai, wo apne aik dos
t Mirza Abdul Jaleel Junoon ko is ka mafhoom bataatey huey likhtey hain :
ye mazmoon kuch aaghaaz chahta hai, yeni shair ko aik qaasid ki zaroorat hai, lek
in khatka (darr) ye hai ke kahin qaasid (postman) khud hi mahboob per aashiq na
ho jaye. Shair ka aik dost , aik qaasid ko laya aur us ne shair se kaha ke tum i
s aadmi per yaqeen kar saktey ho, iski zamaanat main deta hoon ke ye aisi koi ha
rkat na karey ga. Khair is ke haat khat bheija gaya. Qaza ra (by chance) us shai
r ka gumaan sach hua, aur qaasid mahboob ko dekhtey hi us per waala-o-shefta (me
ans ke us ko dekh kar us per aashiq ho gaya) ho gaya.
Aur us ne shair ka khat us aashiq ko nahin diya. Is waqooey ke baad jab shair do
st se mila to us ne kaha, ke tujh se koi gila nahin hai, lekin agar aik baar bhi
nama bar , wo qasid tujhe miley to usko mera salaam kehna.
Ya salaam , tanz ke meaning mein use hua hai, ke wah kya khoob khat paunchaaya.
Sheir No. 5
Is sheir mein shaair kehta hai, ke main tumko dikha sakta hoon ke majnoo ne lail
a ke peeche kya kya kiya, lekin mujhe apni pareshaanion se nijaat nahin milti, a
ur agar mujhe mauqa mila to ye sab main bhi kar sakta hoon.
Doosra matlab ye hai, ke shaair khud ko majnu se barra aashiq samajhta hai, leki
n wo kehta hai ke agar main bhi majnu ki tarah kaprey phaar kar sehraa mein nika
l jaun to is sey mere mehboob ki badnaami hogi. (lekin pehla meaning strong hai)
Sheir No. 6
Hazrat khizar ke mutalliq mash hoor hai ke wo zinda hain, aur bhooley bhatkey logo
n ko raasta dikhaatey hain, Ghalib kehtey hain ke mere liye zaroori nahin hai ke
main Hazrat Khizar se raasta poochoon, aur unki rah numaai haasil karoon,
Lekin ye alag baat hai ke aik buzar mujhe raastey mein miley they, shaid wo khiz
ar hi haun.
Matlab ye ke shair khud ko hazrat khizar ke baraabar samajhta hai, aur kehta hai
ke zaroori nahin ke unko rahnumaa man na mere liye zaroori ho.
Shier No. 7
Ye ghazal ka maqta hai, is sheir mein ghalib apney mahboob ke mohalley mein rehn
ey waley logon se ye request kar rahey hain ke agar mein tumhen apne mehboob ke
area mein nazar aaun to mera khayal rakhna, kyunke main us ke ishq mein deewana
ho chuka hoon.
Ye thi meri kaushish jisey maine aahaata-e-tehreer mein laaney ki jasaarat ki.
http://www.ebazm.com/discus/messages/5/2184.html?1057003751

You might also like