You are on page 1of 2

Zindagi Na Milegi Dobara-Poems

Poem 1
Ik baat honton tak hai jo aayi nahin Bas ankhon say hai jhaankti Tumse kabhi, mujhse kabhi Kuch lafz hain woh maangti Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh Lekin jo yeh ik baat hai Ahsas hi ahsas hai Khushboo si hai jaise hawa mein tairti Khushboo jo be -aawaaz hai Jiska pata tumko bhi hai Jiski khabar mujhko bhi hai Duniya se bhi chupta nahin Yeh jaane kaisa raaz hai

Poem 2
Jab jab dard ka baadal chaya Jab ghum ka saya lehraya Jab aansoo palkon tak aya Jab yeh tanha dil ghabraya Humne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai Duniya mein yunhi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda ghum hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai

Poem 3
Pighle neelam sa behta ye sama, neeli neeli si khamoshiyan, na kahin hai zameen na kahin aasmaan, sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan, keh raheen hai bas ek tum ho yahan, bas main hoon, meri saansein hain aur meri dhadkanein, aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan, aur main sirf main. Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.

Poem 4
Dilon me tum apni betabiyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum Nazar me khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum Hwa ke jhokon ke jaise aazad rehno sekho Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna sekho Hr ek lamhe se tum milo khole apni baahein Hr ek pal ek nya sama dekhe nigahein Jo apni ankhon mein hairanian leke chal rahe ho,to zinda ho tum Dilon mein tum apni betabian leke chal rahe ho,to zinda ho tum

You might also like