You are on page 1of 1

"Pooch uss say keh maqbool hae fitrat ki gawahi, tu sahab-e-manzil hae keh bhutka huwa raahi kaafir

hae musalmaan, tau na shaahi na faqeeri, momin hae tau karta hae faqeeri mein bhi shaahi kaafir hae tau shamsheer pay karta hae bharosa, momin hae tau bay teegh bhi larta hae sipahi kaafir hae tau hae taabae' taqdeer-e-musalmaan, momin hae tau woh aap hae TAQDEER-E-ILLAHI Mein nay kiya hae parda-e-asraar ko bhi chaak dereena hae tera marz, koar nigahi!!....

Khuda naseeb karay hind kay imamon ko! woh sajda jis mein hay millat ki zindagi ka payam" "Nowa peera ho aye bulbul keh ho teray tarannum say, kabootar kay tan-e-naazuk mein shaheen ka jigar paida" "Ghulaami mein na kaam aati hein shamsheerein na tadbeerein, jo ho zoq-e-yaqeen paida tau kat jaati hein zanjeerein, koi andaza kar sakta hae uss kay zor-e-bazu ka? Nigah-e-mard-e-momin say badal jaati hein taqdeerein..."

You might also like