You are on page 1of 7

1.

Khusravi Achhi Lagi Na Sarwari Achhi Lagi Hum Faqeero Ko Madine Ki Gali Achhi Lagi

Mai Na Jaunga Kahi Bhi Darr Nabi Ka Chor Kar Mujhko Ko-E Mustafa Ki Chaakri Achhi Lagi

Rakh Diye Sarkaar Ke Qadmo Me Sultaano Ne Sarr Sarwar E Kouno Makaa Ki Saadgi Achhi Lagi

Naaz Kar Tu Ay Haleema Sarwar E Kounain Par Gar Lagi Achhi To Teri Jhopdi Achhi Lagi

Jinko Karni Hai Shahenshaho Ki Taarefe Kare Mujhko Aaqa Bas Tumhari Naat Hi Achhi Lagi

Qabr Roushan Ho Gayi Noor E Nabi Se Is Tarah Aashiqo Ko Maut Bhi Aur Qabr Bhi Achhi Lagi

Maut Jo Maangi Dayar E Mustafa Ke Saamne Maut Ko Bhi Aarzu Meri Badi Achhi Lagi

Mahro Mah Ki Roushni Maana Ki Achhi Hai Magar Sabze Ghumbad Ki Mujhe To Roushni Achhi Lagi

Duur The To Zindagi Be-Rang Thi Be-Kaif Thi Unke Kooche Me Gaye To Zindagi Achhi Lagi

Aaj Mehfil Me Niyazi Naat Jo Maine Padhi Aashiqane Mustafa Ko Wo Badi Achhi Lagi

2. Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me

Hamesha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankho me Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko Hain be shumaar meri Ashkbaar Aankho me Unhe na dekha to kis kaam ki hai ye Aankhe Ke Dekhne ki he saari Bahaar Ankho me Nazar me Kaise samayenge phool Jannat ke Ke bus chuke hai Madine ke Khaar Aankho me Ajab nahi ke likha Lauh ka Nazar Aaye Jo Naqshe Paa ka lagao Ghubaar Aankho me Khule hain deeda-e-Ushaaq Khwaabe marg me bhi Ke Us Nigaar ka he intizaar Aankho me Wo Subz Subz Nazar Aa raha he Ghumbad-e-Subz Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankho me Wahee mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu Unhi Ka Jalwa rahe Aash kaar Aankho me Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankho me Na Aajaye Ke Phir Rahaa he kisi ka Mazaar Aankho me Karam ye mujh pe kiya he mere tassawur ne Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankho me Farishto Poochte ho mujh se kis ki Ummat ho Lo Dekh lo ye hai tasweer-e-Yaar Aankho me Ye Kya sawaal he mujh se ke kis ka banda he Me jis ka banda hoo he Noor Baar Aankho me Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI Hamesha Us ka rahega Khumaar Aankho me

3. Ban ke Noor e Khuda, Mustafa agaye

Marhaba Marhaba Mustafa agaye

Ujri dunya thi Aaqa ne aabaad ki Har taraf dhuum Unke he Milaad ki Sab ke Mushkil kusha, Mustafa agaye Marhaba Marhaba Mustafa agaye

Ho gaye Noor dunya ke zulmat talle Jin ke aane se Mao ko bete mille Sarwar-e-Ambiyaa, Mustafa agaye Marhaba Marhaba Mustafa agaye

Arsh par jashan Jinn ka manaya gaya Sab Rasulon ko jiss me bulaaya gaya Haa wohi Dil Ruba Mustafa agaye Marhaba Marhaba Mustafa agaye

Ab na maa'yuus hoga sawaali koi Aaj Naasir na lote ga khaali koi Muskura e gada , Mustafa agaye Marhaba Marhaba Mustafa agaye

Hamd

4. Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar Allahu Akbar Allahu Akbar Dekhon tu dekhe jaon barabar Allahu Akbar Allahu Akbar

Hamd-e-Khuda say tar hein zubaane kaano mein russ gholtee hein Azaane Bas ik sadaa aarahi he baraabar

Tere haram ki kya baat Mawla tere karam ki kya baat Mawla Ta umar karde aana muqaddar

Maangi hein mein ne jitnee duae manzoor hongi maqbool hongi Meezab-e-Rehmat he mere sar par

Yaad agaye jab apni khataye ashkon mein dhalne lagee iltijaye Roya ghilaaf-e-Kaaba pakar kar

Bheja he Jannat se tujhko Khuda ne chuuma he tujhko khud Mustafa ne Ay sung-e-Aswad tera muqqadar

Mawla sabhi aur kya chahta he bas maghfirat ki ataa chahta he Bakhshish ke talib pe apna karam kar

6 Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu Iss Karam Ki Badolat Barha Hu Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay Meinay Mana Mein Saab Say Bura Hoon Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon Dekhta Hoon Jab Unki Aataein Bhool Jata Hoon Apni Khataein Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo Mein Sisikti Hui Iltja Hoon Shafe Mugniba Kay Karam Nay Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon

7. Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,

jo yaad e Mustafa

se dil ko garmaya nehi karte

ZabaN parr shikwae ranj o alam laya nehi karte, Nabi ke naam lewa gham se gabraya nehi karte yeh he darbaar Aqa ka yahaaN milta he bemange, are nadaN yahaan daman ko phelya nehi karte Yeh darbaar e Mohammad he Yahaan apno ka kya kehna, Yahaan se hath khali gher bhi jaya nehi karte Are o na samaj qurbaan hoja onke roze perr, yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehi karte Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho, sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte Mohammad Mustafa ke baagh keh sabh phool aise hain, Yeh bepaani ke tarr rehte hain murjaya nehi karte Nadamat sath le karr hashr me ae asio jana, sonna he sharm walo ko woh sharmaya nehi karte Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he, woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte Jo inke damaan e rehmet se wabasta hain ae Hamid, Kissi ke samne woh hath phelaya nehi karte Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte, jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte

9. Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai,

Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate Teri Hasraton Main,Teri Chahton Main Bade din Howe Ghar Sajaate Sajaate

Mera Yeh hai Emaan,Yeh Mera Yakeen Hai -Mere Mustafa Sa Na Koi Haseen Hai Ke Rukh Unka Dekha Hai Jabse Qamar Ne Nikalta Hai Moo Ko Chupate Chupate

Qayamat Ka Manzar Bada Purkhatar Hai - Magar Mustafa ka Jo Deewana Ho Ga Who Pul Pay se Guzre Ga Masroor Ho Ke - Naara Nabi Ka Lagate Lagate

Mere Lab Pe Mola,Na Koi Sada Hai - Fakat Mujh Nikamme ki Yeh Hi Dua Hai Meri Saans Nikle Dar-e- Musftafa Pe - Gham-e-Dil Nabi Ko Sunate Sunate

Yeh Mana ke Ek Din Aani Kaza Hai Magar Dosto Tumse Yeh iltaja Hai Ke Shehr-e-Muhammad Ki Har Ek Gali Se Janaza Uthana Ghumaate Ghumaate

Na Kaabe Se Matlab Na Masjid ki Chahat Fakat Dil Main Haakim Tamanna Yahi Jo Mil Jaaye Naksh-e-Kafay Paaye Ahmed Tu Mar Jaayen Sir ko Jhukate Jhukate

You might also like