You are on page 1of 2

Bodybuilding Diet in Hindi: Achi Body Banane ke Liye Kya

Khaye
kyakyukaise.com /body-banane-ke-liye-kya-khaye-bodybuilding-diet-plan-in-hindi/
Govind

Bodybuilding Diet Plan in Hindi


Aajkal nojawano me bodybuilding ka courage badhta ja rha hai. Log chahte hai ki unki body bhi unke
favourite hero aur model jesi attractive aur t ho. Aajkal bhut se gym aur tness centre kuch mahino mein hi
manchaha body shape dene ka dava karte hai. Body banane ke liye perfect workout ke sath heathy diet bhi
jaruri hai. Is article mein hum janenge bodybuilding diet plan in hindi .
Muscles ka size badhane ke liye hum kai parkar ke bodybuilding supplements aur protein ke dabbe
isteemaal karte hai jiska matlab ye hua ki hum shareer mein jaruri nutritions aur protein ki matra jabardasti bdha
rahe hai jisse hamari kidni aur pachan tantar par asar padta hai. Aur jab ye protein sahi tarike se digest nahi
hota tab ye jodo mein jama hone lagta hai jisse jodo ke dard ki bimari hone lagti hai. Hamari body ke liye natural
protein lena utam hai jese anda, ankurit anaaj, soya, sh, doodh, dahi aur chicken.
Jane Bina Gym ke Ghar Par Body Kaise Banaye

Bodybuilding Diet Plan in hindi Body Banane ke liye Kya Khaye


Body banane ka matlab sirf 6 pack abs, chest ya biceps banana nahi hai. Bodybuilding mein shareer ki
maaspeshiyo ka kasav hota hai jisse shareer sudol banta hai, aur muscles ka size badhane ke liye fat ki maatra
kam karke protein jada liya jata hai aur sath hi heavy workout kiya jata hai taaki body shape mein rahe.
1. Jaldi body banane ke liye kaa workout karna padta hai isliye apni diet ka dhyaan rakhna jaruri hai. Kuch
log body se fat kam karne ke liye apni diet se fat waali cheeje bikul hata dete hai magar shareer mein fat
ki kuch cheeje jaruri hoti hai, nahi to fat ki bilkul kami se heart ki problem hone lagegi, isliye olive oil, sh
jesi kuch cheeje lete rahe.
2. Subh ka naashta kabhi na chode aur naasha hamesha heavy kare, lunch usse halka aur dinner bilkul
light le.

1/2

3. Ek baar mein jada khaane ki bajay din mein 4 se 5 baar thoda thoda khaye. Din mein kai baar thoda
thoda khaane se blood sugar nahi badhta aur workout ke liye stemina badhta hai.
4. Bodybuilding foods mein bre aur protein ki maatra jada rakhe, hari sabjiya aur fal adhik khaye.
5. Junk food paasta, white bread, burger jesi cheeje khane se parheej kare.
6. Sabjiya khane se pahle unhe kaat kar kuch der garam paani mein daal kar rakhe isse sabjiyo mein starch
ki maatra kam ho jaati hai.
7. Maanspeshiyo ka size badhane aur body ka stemina badhane ke liye anda, paneer, doodh, dahi, sh,
chicken, mutton jesi cheeje khaye.
8. Body ka metabolism badhane ke liye diet mein soup aur green tea jesi cheeje le.
9. Jada exercise aur workout karne se jada paseena aata hai jisse shareer mein paani ki kami hone ki
ashanka hoti hai. Isliye din bhar mein 3 se 4 litre paani jarur piye.
10. Agar aap bodybuilder banana chahte hai to cigrate aur sharab ka sevan bilkul na kare. Dhoomarpan
karne se body ka stemina kam hota hai aur sharab peene se pet mein falaavat aati hai jo aapki saari
mehnat khraab kar sakti hai.

Bodybuilding Supplements
Exercise mein muscles tutati hai r judti hai, muscles ko majboot karne ke liye protien ki maatra jada leni
hoti hai jiske liye hum supplemests ka paryog karte hai. Agar hum muscels ka size badhane ke liye
supplements ki bajay bodybuilding foods par jada dhyaan de to hum ek health tarike se bina kisi side
eect ke achi body bana sakte hai.

Bina doctor ki salah ke takat badhane wali kisi bhi parkar ki medicine aur injection ka paryog na
kare.

Jane Best BodyBuilding Tips in Hindi


Dosto Body Banane ke liye Kya Khaye, Bodybuilding Diet Plan in hindi ka ye article kaisa laga hame comment
kar ke bataye aur agar aap ke pass jaldi body kaise banaye ke koi tips hai to hamare sath bhi share kare.

2/2

You might also like