You are on page 1of 4

Pregnancy Mein Kya Khaye Aur Kya Nahi Diet Plan in

Hindi
kyakyukaise.com /pregnancy-diet-plan-food-chart-tips-in-hindi/
By Govind
Pregnancy Diet in Hindi: Pregnancy mein bache ke pure vikas aur achi health ke liye jaruri hai ki garbhwati mahila
ka aahar (food) balanced aur nutritions se bharpur ho. Garbhavastha mein mahila ko dusri mahilao se jada calorie
ki jarurat hoti hai. Har pregnant lady yahi chahti hai ki vo ek swasth aur sehatmand bache ko janam de, iske liye
bahut si baato ka dhyan rakhna padta hai aur poshtik aahar lena unme se ek hai. Bache ki growth uski maa ki
khurak par depend karti hai isliye ye jaruri hai ki maa poshak tatvo se bharpur bhojan kare. Is article mein hum
janenge pregnant woman diet plan for healthy delivery in hindi.
Jane Pahle 3 Mahine Bache ki Dekhbhal Kaise Kare

Pregnancy ke 3rd month mein mahila ke sharer mein bahut adhik halchal hoti hai. Is dauran bache ki
kidney, heart, aankhe, gupt ang ka banana shuru ho jata hai. Garbhavastha ke is samay mein mahila
ko fast food aur dibbe wala khana se door rehna chahiye.

Pregnancy Mein Kya Nahi Khana Chahiye


Garbhwati mahila jo bhi khati hai uska sidha asar bache par padta hai isliye apni diet mein koi bhi food shamil karne
se pahle apne doctor ki salah jarur le aur jitna ho sake ulta sidha khane se bache. Pregnancy mein maa ko kya
khana chahiye isse pahle hum ye jante hai ki kya nahi khana chahiye.

1. Samudri Bhojan (Sea Food)

1/4

Samudri cheejo mein omega 3 fatty acid hota hai jo bacho ki sehat ke liye acha hota hai. Lekin aese kuch
samudari jeev hai jin mein mercury(para) ki matra adhik hoti hai. Aesa bhojan bache ke dimag ko nuksan pahuncha
sakta hai. Salmon fish, kekda aur shark ka maans khane se parhej kare.

2. Kacha Khana Na Khaye


Kache khane mein bacteria aur virus hote hai jo maa aur shishu ke liye hanikarak ho sakte hai. Hamesha achi tarah
pakka hua bhojan hi kare. Fruits mein papita khane se bache. Papite ki tasir garam hoti hai jo bache ke liye thik
nahi.

3. Bina Dhule Hue Fal Aur Sabjiya


Fruits aur vegetables khane ki kuch aesi cheeje hai jinhe kabhi bhi bina dhoye na khaye. Inhe khane se pahle taje
pani mein achi tarah dho le.

4. Sharab aur Smoking Se Door Rahe


Pregnancy mein kabhi bhi smoking na kare aur sharab na piye, isse bache ko nuksan hoga aur inke jada sevan se
garbhpat ka khatra bhi ho sakta hai. Chay aur coffee ka sevan bhi jitna ho sake kam hi kare.

5. Medicine Salah Le Kar Khaye


Agar aap kisi bimari ke ilaj ke liye ki dawa kha rahe hai to pahle apne doctor se is bare mein jaru baat kare. Kuch
mahilao ki aadat hoti hai koi bhi dard ho to use thik karne ke liye pain killer khati hai. Apni is aadat ko pregnancy
mein na dohraye. Kuch medicine bache ke liye hanikarak ho sakti hai.
Jane Normal Delivery Ke Upay

Pregnancy Diet Plan in Hindi Garbhavastha Mein Kya Khaye

1. Iron
Sharir mein khoon ki kami na ho isliye garbhawastha ke shuruati dino se hi iron ki goli khaye aur khane mein
machli(fish), ande ki jardi, brokli, masur, jamun, soyabean, palak khaye.

2. Paani Jada Piye


Sharir ko sahi poshan mile iske liye jaruri hai ki paani paryapat matra mein piye. Rojana 3 se 4 litre paani jarur piye
aur garmi ka mausam ho to isse bhi jada piye. Iske ilava nariyal paani, taje falo ka juice bhi le sakte hai. Paani ko
hamesha ubaal kar hi piye.

2/4

3. Fibers Adhik Le
Kabz (constipation) jesi bimariyo se bachne ke liye fiber wali cheeje apne diet chart mein shamil kare jese
hari patedar sabjiya, fruits, brown bread, khajur, brown rice, ajwaine.
Bache ke shareer mein vitamin B, vitamin C, iron aur magnesium jese nutrition ki jarurat ko pura karne ke
liye gehu ki roti, makka, chawal ko apne diet plan mein shamil kare. Vitamin C se bharpur cheeje khaye jese
ki khate fal, mausami, santra, aawla.

4. Carbohydrates
Bread, aaloo aur chawal mein paye jane wala carbohydrates body mein energy badhate hai jo sharer mein hone
wale badlav ke liye behad jaruri hai. Dhyan rahe aese food adhik khane se weight badhne ke khatra bhi hota hai.

5. Folic Acid
Folic acid bache ke nural tube ke jokhim ko kam karne mein madad karta hai. Strawberry, fruits, hari sabjiya, santre
mein folic acid adhik hota hai.

6. Calcium
Pregnanat women ke liye calcium ki sahi matra lena bahut jaruri hai, isse haddiya majboot hogi aur normal delivery
ke samay jada pareshani nahi hogi. Rojana kam se kam 2 gilass doodh piye aur aesi cheeje bhi khaye jisse sharer
mein calcium ki purti ho jese dahi, oats, saag, badam.

7. Iodine
Bache ke mansik vikas ke liye iodine jaruri hota hai. Iodine ki kami se garbhpat aur bache mein mansik rog jesi
samasya ho sakti hai, isliye jaruri hai ki pregnant lady paryapt matra mein iodine le.

8. Protein
Protein hamari body mein muscles, skin aur ango ko badhne aur majboot rakhne mein madad karta hai. Protein ke
karan hi mahila ke garbhashay aur stano ka vikas ho pata hai. Apni diet chart mein ande, dry fruits, dale shamil
kare. Agar aap non veg nahi khate to soyabean, paneer aur ubale chane khaye. In sab mein protein adhik matra
mein hota hai.

Pregnancy Diet Plan Tips in Hindi


1. Garbhwati mahila ko har 4 ghante mein kuch na kuch khate rehna chahiye, bhukh na lagi ho tab bhi.
2. Pregnancy mein kabhi bukhe na rahe aur upvass bhi na kare.

3/4

3. Teekha aur masale wala khana khane se bache.


4. Kisi bhi parkar ka nasha na kare.
5. Doctor se regular checkup karwate rahe aur agar vo koi vitamin ya iron ki goli lene ki salah de to hi aap uska
sevan kare.

Dosto healthy aur safe delivery ke liye garbhavastha mein mahila kya food khaye aur kya nahi, Pregnancy Diet
Plan in Hindi ka ye lekh aapko mkaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass bhi koi pregnancy
care tips hindi mein hai to hamare sath share kare.

4/4

You might also like