You are on page 1of 25

AS-SALAM-O-ALAIKAM.....

3
Mustamaeen Masa Al Kher
hi-- hellow... MARHABNBIKUM- AHLEN WA SEHLEN
MARHABA- PAKHER RAGHLAY-
KOSHAN GIOR- SHOKS NASAKORI-
BHALI KARE AYO- HARKADAY AO-
KHUSHAMDEED- JEE AYA NU-
SAT BISMILLAH- BONJOUR-
CHAO- Nǐ hǎo! AND WELCOME

Mein Hun Haya Khan aur meri awaz ko apni samaton k


baad dil se kabool karne ka bht shukria
shukran ala qabooli Sauti baad al istamai....
How are you, Shuma Kesti, Kaifa Halukum, Kese Hain ap?
Ki hal aey Twada? Nǐ hǎo ma? Como Estas?
Comment alle-vou ?
i hope you will be fine and i am too fine, Za bilkul Khayam,
Ana Bikheir
Alhamdullillah
Jahan Jahan se ap ne tune kia hua hai
IsLamabad, Rawalpindi, Peshawar, Lahore, Karachi,
HyderaBad, Faisalabad, quetta, MuLtan, Abbotabad,
sheikhupura, Vehari, Muree, Nowshera, Wahcantt, Taxila,
Mardan, Haripur, Quetta, HaweLian, SwaBi, attock, thatta
khalil village, Khariyan, JheLum, laki marwat, talagang,
ChaKwaL, KalarKahar, Monara Village, Gujarkhan, Gujrat,
GujranWala, HassanAbdal, Sargodha, Khushab, Kahuta,
MianWali, phaliya, Sakkhar, BahawalPur, Bahawalnagar,
Di.Khan, Dj.Khan, RahimYar Khan, Chiniot, Rawat, hangu,
Jhang, Bannu, SaidPur Village, Sialkot, Hazara, Kotli
Satyan, Mansehra, Tarbela, Khanpur, khanewal, lodhran,
Azad Kashmir, GiLgit Baltistan, Motarways m1, m2, m3
gharz
Punjab sindh KPK Balouchistan.... Des Pardes, AsMan k
Neechay Zameen K Upar... Shehar mein Ya Gaon Mein..
...Drive karte Hue... , Qaid mein Ya Azadi mein, Duties k
doran ya fursat k lamhat mein,
BeMari mein tou Kahein Geh Get weLL sooN...
kullu minas Samaeena lanal marda shafa humullahu
Noorahibu Bikum Min aaYye Makanin Tasmaoona MarHaban
Narju Antahibbu Barnamajjana…….. Wallah Kaifa aqoolu
Sahihan
Narju ay yakoona youmakum haza Marra Bi Salamatin Wa
aafiatin

ANTA TASTAMIUU MARHABA RAMADAN


MA’AA HAYA KHAN
Today is 21st of may 2018
Mera aur ap ka sath Marhaba Ramzan Aftar
Transmission mein rehta hai 5 bjay se 7 bjay tak
Islamic calendar k mutabik aj 5 Ramadan
Mubarak 1439 hijri hai
Haza alyoumu Al Khamis Min Shahril ramadana
Arba’ata ashara wa salasoona tis’aa minal
hijarati….
‫کی محمد ﷺ سے وفا تو نے تو ہم تیرے ہیں‬
‫یہ جہاں چیز ہے کیا لوح و قلم تیرے ہیں‬
‫مرحبا صد مرحبا رمضان ہے‬
‫کھل اٹھے مرجھائے دل تازہ ہوا ایمان ہے‬
‫ہم گنہگاروں پہ یہ کتنا بڑا احسان ہے‬
‫یا خدا تو نے آتا پھر کردیا رمضان ہے‬

Ramzan ul Mubarak ka Pehla Ashra Rehmat Chal


raha hai aur dua hai hum sab ki k
hamary jo b listners hamad o naat parhny k
khawaishmand han wo hamin call karein aur
apni sheeren awaz man hamad o naat sunanay
ki sa’adat hasil karein

Call Kijye 051-111009999


Yamkinu lakomul kalaamu maana bil hatifi ala raqami
Sifar khamsa wahid
Wahid wahid wahid
Sifar sifar
Wa tisoon wa tisoon- wa tisoon wa tisoon
Da call kolo dapara dial kai
Zero pinza yo
Yo-yo-yo
Dwa zero- dwa nwa- dwa nwa

mein ne jo kiya wou burra kiya

mein ne khud ko khud he tabah kiya

jo tujhe pasand ho mere rab

mujhe is ada ki talash hai

aj ka topic Sabar

Sabar kiya hay?


Sabar ka matlab hay Dattey rehna, Istaqamat
dikhana,,agar hum haq par hain(har wo baat jo ALLAh k
nazdeek pasandeda hay) to Hamain us Haq baat se hatna
nhi chahiye,, chahey us k liye hamain bohat sacrifice
karna parre,,,Istaqmat se Haq k raaste par chalte rehna
aur ALLAH se Umeedain wabasta rakhna hi SABAR hay!
Quran paak may Sabar ki talqeen bohat jaga aayi hay,,Jis
may Insan ko Sabar k saath chalne aur ALLAH se madad
maangne ka kaha gya hay!

Bohat baar hota hay k Hum Haq baat par hotey hain
magar is qadar mukhalfat ka saamna karna parta hay k
HOsla jawab daine lagta hay khaas kar aaj k system aur
society may move karna aur tamam buraio se bach k
rehna mushkil ho jaata hay magar namumkin nahi

Aur Humko Khuda kaafi hay aur wo bohat acha kaarsaaz


hay (al quran)
Aur Jis k Saath ALLAH ka Saath ho usse aur kisi k saath
ki kia zarurat? ALLAH tala sabar aur istaqamat se chalne
waalon k liye Surah AL-baqra may farmaate hain:

Aey Emaan waalo sabar aur nimaz se madad liya karo-


Beshak khuda sabar karne waalon k saath hay(AL-
baqra:153)
aur sabar karo tumhara sabar bhi Khuda ki madad se hi
hay (surah al-nahal:127)

Al-Qur’aan :

Agr Tum Sabar Karo Aur Allah Se


Darrtay Raho Tau Inn (Kaafiro’n )
Ka Makar Tum Ko Zra Sa Bhi Nuqsaan
Nhi Pohnchaa Sakta.

(Parah #4, Surah, Al-Imraan,


Ayat #120)
‫مصطفی نہ کرے‬
‫ٰ‬ ‫زکر‬
‫‪..‬خدا کا ِزکر کرے اور ِ‬
‫‪..‬میرے ُمنہ میں ہو اِیسی زَ باں ُخدا نہ کرے‬
‫ور ُخدا ہُوا‬
ِ ُ‫ظہر ن‬
ِ ‫جسکا ُوجود َم‬..
ِ
‫جسکا ُورود عرض و سماں کی ضیا ہوا‬..
‫ق رضا َ ہوا‬
ِ ‫عالم عش‬
ِ ‫جسکا شہود‬..
‫میں اسکو ظلمتوں کا چراغِ ہدا کہوں‬..
‫جی چاہتا ہے نعت حبیب خدا کہوں‬..

Hazrat AYOUB alyeh salam

Sabr o tahamul mein hazrat Yaqoob alyeh salam ke baad, Ayoub alyeh
salam ke sabr ki misaal di jati hai ..isi liyay pareeshani k alam mein hum
iltaja bi yahi karte hain, ke ya ALLAH humein hazrat e Ayoub jaisa sabr
Ata farma ..

ap ALLAH k bht hi burgazeeda peghambroon mein se aik they, AAP


mulk SHAM ki taraf peghember bana ke bheje gaye..aapki tabiyat
nihayat (narm) ,nihayat saleh aur ala darje k sabir theh ….

aapka mamool tha ke rozana 10 maskeeno ko khana khilaye begair


khud khana nahi khate they ..jab koi naya kapra istamal karte tou pehle
10 ghareebon ko pehnate aur phir khud pehante ..marz mein mubtala
hone se pehle woh sirf ALLAH ke Nabi theh lekin uske baad woh mursil
bnaye gaey

Aap ka silsila e nasb kuch youn tha : aap Ayoub ibn e Mosa*,ibn e
Razih,ibne esau(hazrat yaqoob alyeh salam ke bhai) , ibn e Ishaq ibn e
Ibrahim the . Allah tallah ne quran e paak mein bi hazrat Ayoob alyeh
salam ki tareef bayan ki hai « Beshaq humne inko sabit qadam paya aur
bht khoob bandey aur beshaq woh rujuh karne wale the »(surah 38
:aya 44)

Hazrat ayoub alyeh salam bht hi sabir o shakir aur har haal mein ALLAH
ki marzi mein khush rehne wale aur uska shukr baja lane wale
peghamber the, aur yahi waja hai ke ALLAH ne unke sabr o shukr ki
misaal quran e paak mein bi bayan ki hai.

Aik rawayat hai, ke aik dafa, kuch farishte ALLAH ke bandoon ke bare
mein baat kar rhe the ke jab insan taklif o pareeshani ke alam mein
hota hai tu ALLAH ki taraf rujuh karta hai aur useh khush karne ki
koshish mein lag jata lakin jaise hi woh dobara se khushhaal hota woh
uske ehkamat ko nazar andaz karna shuru kardeta..tu ispar aik farishte
ne kaha « ke aj ke zmane mein ALLAH ka sabse naik banda Ayoub hai ;jo
ke nihayat hi sabir insan hain aur har waqt ALLAH tallah ko yaad rakhta
hai aur uski ibadat mein mashghool rehta hai.aur beshaq woh ALLAH ki
ibadat karne waloon ke liyay aik misaal hain.

aur badle mein ALLAH ne unko bht se neemtoon se nawaza hai, zindagi
mein har kisam ka aram o asayish muhaya hai, lekin iske bawajood woh
apne rab ko yaad rakhe hue hai aur har zarooratmand ki zaroorat pori
karte hain (bhokoon ko khana khilate hai ,ghulamoon ko khareed ke
azad karwate hain aur gharib loogo mein kapre taqsim karte hai )aur in
sab batoon mein woh sirf raza e ilahi talash karte hain apna zaati faida
nahi....
Aik rawayat mein youn bi aya hai... ke farishtoon ne inki ibadat o
bandagi dekh ke tajub kiya... aur ALLAH se arz ki « ke hazrat ayoub maal
o dolat aur zan o farzand( biwi bache)pane k sabab teri bandagi karte
hain... aur tune inko duniya mein har tarah se aram de rakha hai,
isiliyay woh shukr ada karne k liyay harwaqt teri ibadat mein masroof
rehte hain ».

tab ALLAH ne farmaya ke « eh farishtoo ! woh har haal mein shakir o


sabir hain, aur yeh bhi yaad rakho k jis tarah woh is waqt mera
farmabardar hai, halat e ranj o gham o fakiri mein woh is se bhi zyada
meri ibadat karega ».

tu yeh sab batein jo shaitaan mardood sun rha tha... tu usse bari
mayoosi hui, aur woh tadbeer soochne laga, k kis tarah se hazrat Ayoub
as ko ALLAH ki ibadat se roka jaye.

lihaza woh isi niyat se hazrat ayoub alyeh salam ki ibadat gah mein
gya... tu aap ibadat mein masroof theh, usne aapko namaz k doran
duniya ki cheezoon ke bare mein btana shuru kar dya... lakin hazrat
Ayoub as bht hi burgazeda peghmber theh, aap ne iblees ki batoon pe
koi dehan nahi dya aur brabar ibadat mein masroof rahe .aur yeh dekh
se shaitan mardood aur bi bechain hua, aur hazrat Ayoub k liyay apne
dil mein nafrat paida karne laga.

lihaza woh ALLAH k paas gya aur ja keh kehne laga, ke ayoub tumhari
ibadat sirf is liye kartey hain kyun ke aap ne unhe bht zyada rizq ata
farma rakha hai, aur woh aapko mutmayin karne ki koshish mein lage
rehte hain, ke kahin uska yeh rizq us se cheena na jaye .aur yeh uski
dunyawi chezon ki taraf lalach hai, jo usse teri ibadat pe majboor karti
hai (na aozbillah)…aur kehne laga « ke agr tum is se is ka maal cheen lo
geh tu woh tumhara naam dobara kabhi nahi lega, aur na hi teri ibadat
karega »

yeh sun ke ALLAH ne farmaya : « ke eh iblis !ayoub mere naik bandoon


mein se hai aur woh meri ibadat apne faide k liyay nahi karta bulke woh
meri ibadat dil ki gehrai se karta hai.

aur usse dunyavi cheezoon mein koi dilchaspi nahi »lakin ALLAH ne
shaitan ko mutmayin karne k liyay ijazat dedi ke woh jistarah se marzi
ayoub(a)ko vargala saqta hai vargalaye lakin woh unke emaan ko
kamzoor nahi bana saqta .

yeh sunte hi shaitan bht khush hua....hazrat ayoub(a)ko ALLAH ne bht


sarey maal se nawaza tha, aur unke paas dher sare bher bakriya, gaein,
aur ghoray theh. lihaza sh*tan ne soocha k sab se pehle inki dolat inse
cheeni jaye ... tu usne kuch loogo ko sath lagaya aur unke tamaam
maveeshyoon ko aag mein jala dya .

unka aik mulazim aya, aur aap uswaqt ibadat mein masroof theh, woh
kehne laga ke « aag lagi hai aur tamam maveeshi jal gay hai »yeh sunte
hi aap ne farmaya « ke jaise ALLAH ki raza hai uski cheez thi usne wapis
leli »..

aur aise hi kuch dher baar woh mulazim phir aya, aur kehne laga ke
hazrat aap kya kar rahe hain, aapke ghoray bhi mar gaye hain, t0u aap
ne phir farmaya « ke mein kya kar sakta hun, jaise ALLAH ki marzi aur
mein uski raza mein razi hun »…

uske baad shaitaan ne aapka ghar tabah kardya ..aur aapke paas kuch bi
baqi nahi rha, lakin aap phir bhe ibadat mein masroof rhe aur ALLAH ki
sana o tasbih karte rahe ..logon ne aa ke kaha ke, Aeh ALLAH ke nabi,
aapka kuch bi baqi nahi rha, aur aap kuch karte kyun nahi, tu ispe aap
ne farmaya « ke yeh maal o dolat mere khuda ki den thi, aur usne
mujse wapis leli »(subhanALLAh kis qadar khubsurat jawab tha aapka ..

jab shaitaan ne aapko maal kho dene k baad bi sabit qadam paya, tu
ALLAH k paas gya aur kehne laga « ke Aeh ALLAH, ayoub se uske
farzand cheeno kyon k, maa baap ka asli imtahaan unki aulaad hotey
hain, maal o dolat nahi ; aur phir dekho, woh kaise tumhari ibadat se
phir jayega » .

tu ispar ALLAH ne farmaya k woh aise hi sabit qadam rahe gain, par tum
youn bhi karke dekh lo. tou rawayat hai ke hazrat ayoub(a)ke bache(4
bete aur 3 betyan) kisi madrase mein parhte theh, aur us rooz woh
mualim itaafaqan whan pe mojood nahi tha,drasal woh itafaq nahi tha,
woh ALLAH ki taraf se tha, aur sh*taan mardood ne ja ke woh madrase
ki amarat un bachoon pe ghira di, aur woh sab ke sab unke neeche akey
mar gaye…aur phir woh mualim aap ke paas rotey hue gaey aur ja ke
kehne lage, ke eh ALLAH ke nabi !mein kisi kaam se bahir gya tha aur
peeche se yeh hadsa ho gya..

aap ne is pe bi sabr kiya, aur phir shaitan aapke paas aya aur ke kehne
laga « ke eh ayoub ! meine tere bachoon ka waqia suna sun ke bht
afsoos hua, mujhe lagta hai ke tera khuda tuje teri ibadat ka theeq se
sila nahi de raha »shaitaan yeh batein kar ke is intazar mein tha, ke
hazrat ayoub ka ALLAH se bharosa uth jayega ..lakin aapne kaha « ke
mal'oon mera parvardigar agr kuch deta hai tu leta bi hai, aur mere
bache marrey nahi bulkey shaheed hain, aur mein har haal mein uska
shukr baja laney wala hun »…

aur aapke is jawab se shaitaan sakht bezar hua aur apni sari mehnat
zaya hoti hui nazar ai..

beshaq ALLAH tallah quran mein farmata hai, ke mein tumhare maloo o
dolat, aur tumhari aulaad se, tumhari azmayish karonga »

aur yeh aapki azmayish ho rhi thi …aur aap in dono azmayishoon pe
pore utre …aap ne dono hadsat k baad ALLAH ka shukr ada kiya aur
usse bi zyada ibadat ki)…

yani maal o dolat, zan o farzand sab jate rhe ..aur uske baad hazrat
Ayub (a) sajde mein gir pare, aur gham e farzandan mein pari apni biwi
ko bi hosla diya, ke yeh ALLAH ki amanat thi usne wapis leli lihaza tum
sabr o tahamul se kaam lo.

Uske baad sh*tan teesri baar phir se ALLAH k paas gya aur jake kehne
laga « ke eh Allah !hazrat ayoub ki dolat chin gai hai ,auulaad juda ki gai
hai lakin abhi taq woh sehatmand hain, aur jitni dher woh sehtmand
rhe woh aapki ibadat karte rhenge kyun ke woh aur bache bi paida kar
sakte hain aur maal bi hasil kar sakte hain, tu aap muje uske jism ko
taklif puhnchane ki ijazat dein, muje yakin hai is baar woh aapki ibadat
choor dega

»yeh sun ke ALLAH ne usse teesri baar phir ijazat de di lakin sath hi
mein kaha k tum uske jism ko tu nuqsan puhncha sakte hu lakin dil, uski
rooh pe nahi ... aur mein aur mera mazhab uske dil o dimag o rooh
mein basa hai…

ALLAH ko usko baar baar ijazat dene ka maqsad yeh tha k woh sh*tan
ko yakin dilana chahte theh ke uske naik bande har lihaaz mein uska
hukam bja latey hain aur uska shukr ada karte hain so woh kisi kisam ki
azmayish se nahi gabrate, aur na hi shaitani behkawe mein ate hain(
ALLAH hum sab ko shEtan mardood ki panah se mehfooz rakhe (ameen)

Aur uske baad hazrat ayoub alyeh salam k jism mein aik phophola nikla
aur phir ahista ahista aapka tamaam badan uski aghoosh mein agya
…aur us disease ki waja si gosht sar gya, usmein keerey par gaey, aur
haddiyan dikhai dene lagin, aur bawajood itni sakht takleef ke bhi, aap
kabhi ibadat mein susti na karte, bulke aur zyada ibadat mein
mashghool rehte .

aapki halat itni kharab ho gai thi, ke aik hi jaga pare rehte theh, aur
uthne bethne, hilne julne ki taqat na thi…aur isi tarah 4 baras taq rahe,
yahan tak ke aapki ankhoon mein bi kere par gaye theh. lakin app sabit
qadam rahe aur kabhi ALLAH se shikayat na ki…

aur aapki halat pe aap ke mohalle wale aapse nafrat karne lage aur
qareebi rishte dar tak sath chor gaye, aapki 4 biwiyan thi, jinmein se 3
aapka sath choor gai sirf aik biwi jinka naam Rahima tha woh bht naik
thi woh harwaqt aapki khidmat kiya karti thi aur unho ne hazrat e
ayoub as, se kaha k mein jistarah sehat o tadrusti mein aapki maal o
dolat aur aapki sharik e hayat thi, bilkul isi tarah is musebat mein bi
inshALLAH har waqt aapke sath rhon ghi ..aur apki khidmat jahan taq
hu saqegi karonghi... aur jo kuch ranj o musebat ho ghi usko bardasht
karonghi…aur muje umeed hai ke yeh akhrat mein meri nijat ka sabab
hoga…

Uske baad jab shaitan ne yeh sab kuch dekha tu woh mayoos hoke
Rahima yani ayoub(a) ki biwi ke paas gya, aur jake kehne laga « ke
tumhara shohar kaha hain ? »

Tu woh kehne lageen « ke woh kahan haun geh ussi bistar pe nihayat
taklif mein pare hain »

Phir uske baad iblis ne unhe ache dino ki yaad dilana shuru kardi ke eh
Rahima, yaad karo jab tumharay paas paisa tha ,bache the aur tumhara
shohr sehtmand tha aur yeh sunte hi unki ankhoon mein ansoo aghay..

aur uske baad woh hazrat ayoub (as) ke paas jake kehne lagi « ke akhir
kitna arsa aap is taklif mein rhenge jo ALLAH ne aapko di hai ,kya hum
sari umr istarah maal o aulaad ke bagair guzarenge

aap tu ALLAH ke nabi hain, aap dua kyun nahi farmate ke woh humein
is azmayish se nikale »

Yeh sunte hi hazrat ayoub (as) ne farmaya, k yakinan shaitan mardood


ne tumhare kaan bhar diye hain, tum btao ke kitna arsa meine tandrusti
aur dolat mein guzare hain ?tu woh boli : « 80 baras »tu aapne jawab
dya k is taklif mein muje kitna arsa hua ?tu woh boli « 7 baras »uske
baad hazrat ayoub ne farmaya ke muje ALLAH se yeh dua karte hue
sharm ati hai kyonke meri takleef ke lamhe mere ache aur pur aman
lamhat ke muqable mein kuch bi nahi »

uske baad aik din ka zikr hai ke unki biwi rozi ki talaash mein sara din
maari maari phirti rhi lakin kahin kuch kaam na mila …tu mayoos ho ke
kehne lagi, ke aj khali hath kis tarah apne shohr k paas jaon gi aur unko
kya khilaongi ?tu akhir aik eurat k ghar gai (woh aurat kafira thi)woh
kehne lagi mein tujko kaam donghi agr tum apne baal mujko dedo(unke
baal bht khubsurat aur lambhe theh )tu aapki biwi ne bht faryaad ki ke
mera shohr bemaar hai agr mein kaam na kar ke le gai tu usse khana
nahi milega aur woh namaz k liyay mere baloon k sahare uthta bethta
hai… lakin us eurat ne Rahima ki aik na suni aur akhir aapne baal kaat ke
de dya aur khana leke agai..

kuch rawayat k mutabik hai k un ko yeh baat nagawar ghuzri thi..

ab sawal yeh paida hota hai ke hazrat ayoub (a)ne itne saal sabr kiya tu
akhir roye kuon ?

ismein kai rawayat hain, hadis sharif mein aya k aapke rone ka sabab
yeh tha k unke do shagird theh, jo hameesha aapki ayadat o timardari k
liyay aya karte the ..aik din unmein se aik kehne laga k agr hazrat
ayoub(a)koi gunah na karte tu ALLAH inko marz mein kuon ghirftar
karta ?..

aur ALLAH ADIL hai begunah ko nahi pakarta …tab aap ro ke kehne lage
ke « ya ilahi tujko khoob maloom hai mere gunahoon ka haal »…

aur aik rawayat mein youn bi aya hai ke kuch keere rait pe gir pare aur
tarapne lage, aapne dobara unhe utha k apne jism pe rakh dya aur kaha
ke yahi rho, tumhe bi rizq yahi se milta hai, tu woh keere pehle se bi
zyada sakht kaatne lage ..

pehle 7 saal mein kabhi aisa dard na hua …tu ispar hazrat jibrayil(a)hazir
hue aur farmaya ke « aeh ayoob (as) tum kiu rote hu » tu aapne
farmaya k « mein is keere ke katne p betaab hua aur iska katna mein
bardahst nahi kar saka..aur ro para »..

tu hazrat jibrayil ne farmaya « ke aeh ayoub (as) yeh marz tu tum ne


khud ALLAH se manga tha aur is keere ko bi khud apne zakhm pe rakha
ab isiki waja se aapko takleef ho rhi hai »

Quran mein Allah farmata hai :« aur ayoub((a)ka qisa yaad karo !)jab
unho ne apne rab ko pukara k muje takleef hurhi hai aur tu sab rehm
karne walon se bhar ke rehm wala hai »

« aur humne inki dua qabool farma li aur inhe jo takleef puhunch rhi thi
isse door kardya »

(surah 21 :al-anbiya (aya 83-84)

jab is marz se aapko ALLAH ne shifa di tu hazrat jibrayil ko bheja, aur


woh a ke kehne lage, ke Aeh ayoub !uth ALLAH ne tujh pe rehm kiya,
aur rahat di tujko gham se ?

aap bole ke « eh jibrayil kaise uthon ?ke mujh mein kuch bi taqat nahi
hai » hazarat e jibrayil(a) bole « apne pair ko zamin pe mariye aur is
chashme pe jake naha lijye » jaisa ke ALLAH ne quran mein farmaya : «

aur hmare bande ayoub ko yaad kijye jab unho ne ALLAH se iltaja ki ke
muje shaitan ne barri aziyat di hai, aur takleef puhnchai hai » .( tu
irshad hua )apna pao zameen par maro ,pani ka thanda chashma lein
nahane k liyay aur peene k liyay »(surah 38 :aya 41-42)

(aj jo kisi ki bemari par aik lafz bola jata hai « ghusl e sehat » woh isi ki
nisbat hai yani bemarri ke baad nahana chahye yeh chashma is sunat ki
taraf aur is nisbat ki taraf ishara dilata hai ke jab aap taveel bemari se
uthe tu khuda k shukr mein 1 martaba apne poray badn pe pani daliye
aur iska scientific reason yeh hai k jab aap zyda arse ke baad bemari se
uthte hai tu chote chote bacterias aapke jism mein mojood hote hai jo
kisi dawa se nahi marte lakin pani se mar jate hai kuonke pani unki
maut hoti hai lihazan woh aapke pores mein chup jate hai aur jab aap
pani bahate hain tu woh mar jate hain )

ap thiq hone ke baad bht khubsurat ho gaye ke, chand ki roshini bi


aapke samne kam lagne lagi..phir aap pe aik chadar janat se lake orha di
gai …aur aik pull pe ja bethe …sham hone par jab aapki bv wapis lauti tu
dekhti hai ke aapko jahan choor ke gai thi aap whan pe mojood nahi
theh... tu woh preeshan hugai aur rone lagi « ke hi afsoos sad afsoos
kash agr mein janti tu yahan se na jati,

tumko sher kha gya agr mein hoti tu tumhare sath hi jaan de deti aur is
judai se khalasi pati ..»…jab woh hazrat e ayoub(a) ke paas puhnchi tu
aapne ajnabi huke poocha ke « eh bibi tum kuon roti hu ?aur tumhari
kya cheez ghum hugai hai ?

»woh boli « yahan aik bemaar tha ..mein unko talaash karti hun agr
tumko maloom hu tu muje bta do »..tu aap ne poocha k « us bemar ka
naam kya tha aur uski shakl o sorat kaisi thi ? »woh bolein ke : « shakl o
sorat tu aapki si thi jab woh tandrust the ..aur naam unka ayoub tha aur
woh ALLAH ke peghember the aur haal unka aisa tha ke aftaab ki dhoop
bi unke pehlo mein rha karti thi,kuonke tamam badn unka sar gya tha
aur unke badan mein keere par gay the aur woh bht natawan aur zayif
the aur unmein karwat badlne ki bi taqat na thi »…

tu aapne farmaya ke « naam tu mera bi ayoub hai kya tum pehchanti


hu ? »pas raheema bibi ne aapko pehchan liya aur khush huke poochne
lagi ke aap kistarah sehtyaab hue .. ?tu aapne tamam haal bayan
farmaya aur woh chashma apni biwi ko dikhaya tu uske baad aap apne
ghar laut aye aur ALLAH ne aapke bache jo ke shaheed ho gaey they
aapko lauta dyay

aur aapki tamaam khoyi hui chezein maal o dolat ALLAH ne aapko lauta
dya ..aur rawayat ke mutabik pata chalta ke aapki jo 3 biwiyan aapko
chor gai thi woh bi wapis laut ayiii …aap apni rasalat aur nabowat mein
48 baras aur zinda rhe aur phir ALLAH se ja mile …jaisa ke ALLAH ne
quran mein farmaya « aur humne inko inke ehlo ayal bi wapis lautayay
aur inke sath itnay hi aur (ata farma dyay ).yeh hmari taraf se khaas
rehmat aur ibadat ghuzaroon ke liyay nasehat hai .(k ALLAH sabr o
shukr ka ajr kaisa deta) »(surah 21 :al-anbiya aya 84)…

Hazrat ayoub alyeh salam ka waqia humein sabr o shukr ka, aur ALLAH
ki di gai azmayishoon mein sabit qadam rehne ka dars deta hao…aur is
waqia se humein aik bht bari baat seekhne ko milti hai ke jab koi takleef
ya musebat mein girftar hota hai tu zaroori nahi hota ke ALLAH usko
uske gunahoon ki saza de rha hota hai,

bulke aisa bi hota ke ALLAH apne bande ki azmayish kar rha hota hai,
aur beshaq ALLAH apne naik bandoon ki hi azmayish kartaa hai ..isliyay
hmaray haan aksr loogo ko adat hoti hai jab koi pareeshani ya taklif
mein hota tu bjaye uska dukh bantne k, taanazari se mazid usse
pareeshan karte hain

ke yakinan isne kuch gunah kiya ho ga jo iske samne arha hai(bilkul


waise hi jaise hazrat ayoub(a)ke shagird ne soocha aur aapki ankhoon
mein ansoo aghay..)..tu humein is baat ka khayal rakhna chahye ke kahi
hmari baat se kisi ko mazid dukh tu nahi puhunch rha …aur beshaq
ALLAH aise loogo ko pasand nahi farmata jo uske bandoon ko dukh dein
..ALLAH humhe samj ata farmay aur aise jahloon mein shamiil na
farmaye (amin)

http://www.zarbeaahan.com/shukr.php

http://www.zarbeaahan.com/roza_kaffara.php
BISMILLAH IRAH MANNIRAHEEM
ALLAHUMA SALEY ALA SAYIDINA WA
MOULANA MOHAMAED
KAMA SALETA ALA IBRAHIMA WA ALA
AALI IBRAHIMA INAKA HAMIDUM
MAJEED
YA ALLAH YA REHMANU YA RAHEEM
YA ZULJALALI WAL IKRAM
ZULJALALI WALIKRAM - ZUL JALALI
WALIKRAM
RABANA ATINA FID DUNNYA
HASANATUL WAFIL AKHIRATI
HASANATUN WAKINA AZABAN NAR
Ya Allah hum tera shukar ada karty han k tu ne
hamin aj roza rakhny aur usy mukamal karny ki
himat aur taqat atta ki ha.
Ya Allah hamara yeh roza apni bargah man qabool
farma hum se jo b bhool chook hui usy darguzar
farma.
Ya Allah hum gunagaron k liye Ramzan k baqi rozon
man asani paida farma apni rehmat ki barish barsa.
Ya Allah hum sub ki maghfrat farma hum sub ko is
ramzan man bakhsh de hamary tamam saghira aur
kabira guna maaf farma.
Ya Allah is ramzan ki barkat se hamin jo b nematen
mili han hum un ka shukar adda karty han
Jityny b bemar han un ko shifa atta Farma Jitnay
Bhe Log aesi KhatarNak Beemariyon Mein Mubtala
Hain Sab Ko sehat e Kamila Ata Farma...
Ham sab Ko Sehat O Tandrusti Jesi Nemat ata Farma
tamam berozgaron ko rozgar atta farma un ki
preshaniyan dour farma
be-oladon ko olad atta farma, tang dast logon ki
tang dasti dour farma hamary waldeen ko lambi aur
sehat wali umar atta Farma aur hamin un ka haq
adda karny ki tofiq atta farma.
Hum Par REhmat ki Barish Barsa
aur jin k waldeen aur aziz is dunya se rukhsat ho
gay han un ko janat man jaga atta kar aur un k
tamam guna mauf farma. Hamin Roz-e-Qayamat
Hazoor SAWW ki shifa'at naseeb farma.
TU HI DUAON KO SUNANAY WALA
AUR DAR GUZAR KARNEY WALA HAI
RABBANA TAQABBAL MINA
INNAKA ANTAS SAMI UDDUA
SUBHANAKA ALLAHUMA
WABI HAMDIKA
ASTAGHFIRRULAH WA ATOUB ALEK

Ameen Ya Rabul Aalameen

Kehte hain ap ko Happy Aftar


Al-widah------------maʿ as-salāmah,
Fi amani Allāh,
‫إلى ال ِلقاء َوداعا‬
Allah Hafiz, Allah NigehBaan

You might also like