You are on page 1of 2

Shankaracharya's Speech on ISLAM

GURU DEVANAND SARASWATI (JAGADGURU SHANKARACHARYA) Shankaracharya's Speech

on

ISLAM
Date : 18 september 2007 Venue : In an event organized in Delhi on the topic "Misconceptions and it's clarification on Islam" a talk by
Dr.Zakir Naik, Shankaracharya being the cheif guest speaks on Islam

Reference : http://www.youtube.com/watch?v=9Izh-_ehd6o http://www.forumeter.com/video/56311/Shankaracharya-speaksabout-Islam Ay OM dharm prepi sajjano ! Bhagvan ki jab kripa hoti hai to kabhi dharm ki sachay ko jaanne ka avsar milta hai. Musalmano ke bichme lagatar kayi barso se hum jaa rahe hai aur Bharat varsh me ek nayi pratha ka prarambh kiya maine ki, jab jagat guru shanakaracharya bhi musalmano ke bich me jakar ke unke prem ko samaj sake, aur Islam ki sachay ko jaan kar ke islam ko sari duniya me ek insaniyat ka sabse bada Path sikhane wala dharm maanne ke liye logo ko samjave. Jab log islam ko be dharm, musalmano ko be dharm, talvar ke jor par chalnewala dharm batate hai to agar shayad dharti me koy dukhi hota hoga to sabse jyada dukh mujhko hota hai yeh na sachay hai na kabhi sachay ho sakti hai jis islam ne pahela kalma hi Quran-e-Sharif ka yeh batata hai ki nahi hai Ibadat ke kabil sivay parmatme ke aur koi La ilaha illallah Mohammadur Rasulullah to bhala aap bataye bhedo ka ras - bhedo ka ras nichod karke mohammed sahib ne parmatma ki ibadat karke parmatma ke paygaam ko ek hi kalme me se diya isse bada granth duniya me aur kya ho sakta hai, agar Quran ke pahele kalme ko hi pad karke Hindu apne dharm ka palan karna chahe to usse bada dharmatma shayad koy nahi hoga.. Quran ko humne ghehrayiyo me jakar ke to nahi anubhav kiya, lekin Quran ke maanne walo ke dil ke ghehrayi me jake dekha ki islam ko puri duniya agar svikar kar le to isme koy buray nahi hai ki islam parmatma ke dvara bataya gaya Siddhanth hai Islam ka kisi vyakti ka apna niyam nahi hai, apna siddhanth nahi hai Kuch log bhed bhav payda karne ke liye is dharti par musalmano ko be dharm keh dete hai , islam ko bura keh dete hai , mai kehta hoon usse bura is duniya me koy nahi hai, voh shaitan ke bache hai khuda ke bache nahi hai.. kyuki jaha tak meri apni pahonch hai , humne vedo ko pada Quran ko pada, shastro ko hindu dharm grantho ko padauske baad mai musalmano ke bich jana shuru kiya, musalmano se hath milaya to hamara virodh kiya gaya ki Yeh !Yeh anda khanewalo se hath milate hai, shankaracharya kehte hai.. Arey! Humne kaha ki tumhari samaj me nahi aa raha hai, voh 5 baar ibadat kar lete hai khuda ki, tum ghas khate ho aur ek baar bhi ibadat nahi karte ho to tumse bada adharmi is duniya me kaun hai.. tum apne adharm ko dekho kisi ke pravitrata ke siddhanth ka virodh karna pahela adharm hai. Aap kya khate hai hum kaise rehte hai, agar hame aap dukhi nahi karte to aap se bada insane is duniya me koy nahi hai, hum ghas khaye aur aapke dil ko chot pahunchaye to humse bada adharmi koy nahi hai is duniya me, kahene ka 7 parishram ek hai, maine yeh anubhav kiya hai ki ek baat jo maine dekha hai ki aap logo se jo prem mujhe milta hai, puchhte hai ki aap musalmano ke bich kyu jate aho? Aap to shankaracharya ho, to humne kaha ki musalmano se puchho ki humse

Shankaracharya's Speech on ISLAM

Shankaracharya's Speech on ISLAM


itna prem kyu karte ho..? humse jo prem karega hum to jayenge, ya fir , kya hum prem nahi karte hai ? humne kaha hum tumhare bich me payda huve hai, aur tum musalmano se prem nahi karte hai, isliye hum tumse prem nahi karte hai.. Mai aap logo ke bichme aakar k eek baat batata hu ki kuch samay se hindu dharm ke naam kuch sansthayein hindu - musalmano me bhed payda karne ke liye kuch aisa karya kiya jiski vajah se aam hindu sidha sadha hindu bichara jaan hi nahi pata hai ki islam kya hai..? aur sanatan dharm kya hai? Sanatan dharm aur islam dharm me koy bhed nahi hai. To hindu dharm to koy dhram hi nahi hai. Sanatan dharm , dharm hai. Aur shayad jo sankrita sanatan shabd hai agar kisi bhasha me usko islam kaha jaaye to koy buri baat nahi hai, islam aur sanatan me koy bhed nahi hai kyuki parmatma ek hai, parmatma sabka hai, yeh sandesh vishyu maniyu ne diya aur yahi sandesh parmatma ka bheja huva sandesh sayam hamare Mohammed sahab ne is paygam ko hamko diya to hum bhed - bhav kyu kare. Yaha par bharat ka musalman ek baat bilkul mai spasht bata raha hoon aapse agar bharat ka musalman so gaya to bharat so jayega.. is liye bharat ko jagana hai to musalmano ko jagte rehna padega , bharat jag jayega puri duniya jag jayegi, yeh bhi mai janta hoon ki bharat ke sache hindu o ko jo sachhi sanatan dharmi hai unko musalmano se prem chahiye, unko musalmano se bhed nahi chahiye. Aur hum to chahte hai Quran shareef sari duniya me agar ius granth ko pahunchaya jaaye aur pahunchana chahiye.. mai to musalmano se ek jarur baat kahunga ki aap ek chiz ka jarur dhyaan de, aapke pados me jis bhi bhasha ko jaanne wala vyakti rehta ho, jis bhi bhasha ko koshish kijiye ki aap is Quran jaise pravitra granth ko usko uski bhasha me pahunchaye aur meri samaj me jab sari duniya me yeh Quran pahunchega to sari duniya me, sari duniya me shanty hogy, sari duniya me amal hoga aur sari duniya me aise hi itne premiyo ke bichme shankaracharya ko pahunchne me aur bolne me koy dikkat nahi hogi, sankoch nahi hoga.. aap log bhi nidar ho jaaye, aap log bhi sankoch chhodiye hum jante hai kabhi - kabhi sankonch me kabhi kabhi is desh ke kuch firke parast log hai unki ulti sidhi yojnao me hum log ek dusre se mil nahi paate, hum haath pachaade huve aapke samne khade hai, aaye hai hum aapko gale se laga rahe hai, lagate hai.. dil bhi milayenge , gale milenge., jarurat pad gayi to aap logo ke liye dil katane ki aur sir katane ki jarurat pad jaaye to islam ke raksha ke liye shankaracharya aapka sath dega kyuki shankaracharya jaante hai islam dhoka nahi hai, shankaracharya jaante hia islam barbadi ka rasta nahi hai.Shankaracharya ko pata hai ki jo vayd me likha hai vahi Quran me likha hai isiliye hamara dharm nahi chhutega, hamara dharm aura age badega , agar hum musalmano ko apna saga mante hai to musalman parmatma ka banaya hai, aadmi ka nahi.. hindu jo apne ko kehte hai ki voh bhi jaane le ki voh bhi parmatma ke banaye huve hai to musalmano se bhed bhav karna band karde, aur hamari tarah sabse prem kare. Dr. Akhnal sahab, dekhiye mai aparichit tha janta nahi tha aur mai bada prasanna hu ki vohg samay nikale aur yaha aaye unko to mai dhanyavad kya du, mai to yeh chahunga ki parmatma unko shakti de, ki hum logo ko sabko aise hi sundar sabhao me sambodit karte huve aur hum logo ke upar voh svayam kripa banaye rakhe, aur hum unke sath rahenge , jaha bhi jarurat hogi sada jivan mann ka sath dete rahenge in shabdo ke sath jivan me jab bhi yaad karenge jab tak mera sharer hai hum aapke sabha o me aate rahenge. OM SHANTI ! OM SHANTI ! OM SHANTI !

Shankaracharya's Speech on ISLAM

You might also like