You are on page 1of 7

Causes of Kidney Failure in

Hindi: Rahe inn Karano se


Satark

HRELATE.COM

Swasth kidney hamare sharir ke vikas ke liye aavshyak hoti hai. Bhale hi hamari
kidney (gurde) chhote hote ho, par hamari sehat ko banaye rakhne mai yeh ek
mahatvpurn bhumika nibhate hai, iske sath hi hamare rakt mai se apshisht aur
taral padarth bhi nikal dete hai. Iske alawa bhi gurde ki kuch pramukh bhumika
hoti hai.
Yeh sharir se bekar (waste) padarth ko nikal dete hai aur sharir mai khanij ya
electrolytes aur taral padarth ke star ko niyamit karti hai. Gurde hormones ka
bhi nirman karte hai, jo sharir ke anya karyo ko niyantrit karte hai, jaise kiraktchaap ko niyantrit karna aur laal rakt koshikayo ko utpann karna aadi.
Har din hamare sharir mai dono gurde 1 se 2 liters urine ka nirman karne ke liye
lagbhag 110 se 120 litres rakt ko filter karte hai, jisme waste aur atirikt taral
padarth bhi shamil hote hai. Gurde bahut hi mahatvapurn hote hai, kyunki yeh
rakt ka sanchar aur stability ko banaye rakhte he, jo ki hamare sharir ko karya
karne ke liye jaruri hota hai.
Gurde ki ek gambhir bimari gurde ko puri tarah fail kar sakti hai, isliye aesi sthiti
mai dialysis upchar ki jarurat hoti hai, aur kuch serious cases mai mareej ko
jinda rakhne ke liye gurde ka pratyaropan bhi karna pad jata hai. Aaiye jante
haiCauses of Kidney Failure in Hindi.
hrelate.com

Causes of Kidney Failure in Hindi: Gurde


Kharab hone ke Mukhya Karan

Kidney problems in hindiagar jane to yeh mukhya roop se tab hota


hai, jab kuch halat aur paristhiti ki wajah se gurde mai dabav
padne lagta hai. Aaiye jante hai gurde failure ke kya karan ho sakte
hrelate.com
hai.

Uccha Raktchaap Blood Pressure


Uccha raktchaap pratyek naadi ke sath dhamaniyo mai utpanna hone
wale dil ke dabav (pressure) ka maap hota hai. Jyada dabav aapke sharir
ke ango ko nuksaan pahucha sakta hai, iske sath hi hriday-rog, stroke ya
kidney ke karya mai rukawat ka karan bhi ho sakta hai. 90% cases mai
uccha raktchaap ke karan agyat hote hai. Vyakti ka swasth, bhojan aur
jivan-sheli iske karak ho sakte hai.
Waise uchha raktchaap ke kuch jokhim karak ho sakte hai jaise ki:

hrelate.com

Madhumeh Diabetes
Madhumeh ek aesi bimari hoti hai, jisme sharir ya to insulin nahi utpanna karta
ya fir bilkul thoda sa insulin utpanna karta hai, ise Type 1 Diabetes kehte hai aur
yadi sharir insulin ka upyog bhi karne mai asamrth ho jata hai to use Type 2
Diabetes kehte hai. Insulin ki jarurat rakt mai glucose ke star ko niyantrit karne ke
liye hoti hai, aur bhojan karne ke bad iss star ke bahut upar jaane aur bhojan
karte samay star ke bahut kam hone ko rokne mai insulin upyogi hota hai.
Agar madhumeh ko thik se niyantrit na kiya jaye, to yeh rakt mai jarurat se kayi
jyada glucose nirman kar sakta hai.Glucose ki adhik matra gurde ke chhote
filters ko kharab kar sakti hai, jo gurde ke apshisht aur taral padartho ko filter
karke bahar karne ki kshamta ko bahut prabhavit kar dete hai.
Yeh anuman lagaya gaya hai ki 20 se 40% log jinhe Type-1 Diabetes hoti hai,
unme gurde ki bimari 50 saal ki umra se pehle ho jati hai.Type-2 Diabeteswale
lagbhag 30% log mai gurde ke damage hone ke lakshan dikhai dene lagta hai.
Madhumeh ke rogiyo mai urine mai protein ka star kam hona gurde ke bigadne ka
sanket ho sakta hai. Isliye ho sakta hai aapke doctor aapko annual urine-test
karane ko kahe, taki agar aapke gurde mai koi samasya ho to jald se jald iska
pata lagaya ja sake.
hrelate.com
Har
madhumeh se pidit vyakti ko saal mai ek bar gurde check jarur hona chahiye.

Kidney Failure Causes Anya Karan Inhe Bhi Janiye


Upar diye pramukh karano ke alawa bhi anyaReasons for Kidney Failurehote
hai, par yeh jyada prabhavi nahi hote hai.

Gurde mai Soojan (Glomerulonephritis)


Gurde mai sankraman (Pyelonephritis)
Anuvanshik karan, jisme alsar ke mass ke badne se dono gurde ka aakar
samanya se jyada bada ho jata hai, ise angreji mai Polycystic Gurde Disease
kehte hain.
Garbh (Womb) mai ajanme shishu ke vikas ke dauran gurde ke samanya vikas
mai failure hona.
Immune system ki dasha, jab sharir videshi uttako (Foreign Tissues) ki tarah
gurde par attack karne lagta hai. (Systemic Lupus Erythematosus)
hrelate.com

Niyamit ya lambe samay tak lithium aur Non Steroidal Anti-inflammatory Drugs
(NSAIDs) jaise dawao ka sevan karna. Udaharan ke liye- Aspirin aur Ibuprofen.
Gurde Stones ya Prostate ki bimari ke karan Blockage hona.
Poisons aur Trauma gurdo ko seedhe aur ugrata ke sath aghaat pahuchate hain,
jisse gurde ki samasya ho sakti hai.

Upar aapne janaCauses of Kidney Failure in Hindi. Ham ummed karte hai ki agar
aap gurde mai hone wali samasyao aur bimaari se bachna chahte hai, to niyam
se check-up karate rahenge aur diye gaye karano par gaur karenge.

hrelate.com

You might also like